![]() |
@tanveer6 | |
dil diya hai. baaqi baad main. only for urdu poetry. be cool and post best urdu poetry u ever have. lets start |
||
43
Replies
6004
Views
0 Favourites
|
Page #: 1/3 |
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
ye ishq jb hota hai na janey dil main kya hota hai.* wohi dukh de jata ha jo jaan se b piyaara hota hai
|
||
![]() |
@rody9499 | 8 December 12 |
Wo aey hain pasheman laash par ab,Tujhe ay zindagi laun kahan se.
|
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
kabi hamari mehfil main b aakar to dekho*** hum aaj b waisey hi hain jaisa tum chor gaye KAR they
|
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
diidah ashkbaar hai apnaa aur dil-e-be-qaraar hai apnaa * chashm-e-giryaaN se, chaak-e-daamaaN se haal sab aashkaar hai apnaa * haa-o-huu meN har ek khoyaa hai kaun yaaN Gham-gusaar hai apnaa * sirf ek vo haiN sab ke muKhtaar un pe kyaa iKhtiyaar hai apnaa * bazm se un ke jab se niklaa hai dil Gharib-ud-dayaar hai apnaa * hai yahii rasm-e-maikadaa shaayad nashaa un kaa, Khumaar hai apnaa * kyaa Ghalat sochte haiN (Z...G) sher kahnaa shaar hai apnaa.. *
|
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
hazaar ahl-e-junuuN halqaa-e-rasan meN rahe magar Khayaal-e-parastaarii-e-chaman meN rahe * tere Khayaal ke ehsaaN raheNge yaad hameN jis anjuman meN rahe terii anjuman meN rahe * gayaa na qaid-e-qafas meN bhii baaNkpan apnaa usii tarah se rahe jis tarah chaman meN rahe * vo Khaar jinse guzarte haiN log bach bach kar bahaar ban ke vohii mere pairahan meN rahe * tamaam raat guzaarii Khayaal-e-KhuubaaN meN tamaam raat sitaaroN kii anjuman meN rahe * kuch is tarah se r
|
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
main to aavaaraa shaayar huun merii kyaa vaqa'at ek do giit pareshaan se gaa letaa huun * gahe gahe kisii naakaam sharaabii kii tarah ek do zahar ke saaGar bhii charhaa letaa huun * tuu ke ik vaadii-e-gul_rang kii shah_zaadii hai ek bekaar se insaan ke liye vaqf na ho * tere Khvaabon ke jaziiron mein barii raunaq hai ek anjaan se tuufaan ke liye vaqf na ho.. *
|
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
maiN nazar se pii raha huuN ye samaaN badal na jaaye na jhukaao tum nigaaheN kahiiN raat Dhal na jaaye * abhii raat kuch hai baaqii, na uThaa naqaab saaqii tiraa rind girte girte, kahiiN phir saNbhal na jaaye * mirii zindagii ke maalik, mire dil pe haath raKhna tire aane kii khushii meiN miraa dam nikal na jaaye * mire ashk bhii haiN is meN ye sharaab ubal na jaaye miraa jaam chhuune vaale tiraa haath jal na jaaye * maiN banaa to luuN nasheman kisii shaaKh-e-gulsitaaN pe
|
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
phir vahii maange hue lamhe, phir vahii jaam-e-sharaab phir vahii taariik raaton mein Khayaal-e-maah_taab * phir vahii taaron kii peshaanii pe rang-e-laazavaal phir vahii bhuulii huii baaton kaa dhundhalaa saa Khayaal * phir vo aankhen bhiigii bhiigii daaman-e-shab mein udaas phir vo ummiidon ke madafan zindagii ke aas-paas * phir vahii fardaa kii baaten phir vahii miiThe saraab phir vahii bedaar aankhen phir vahii bedaar Khvaab * phir vahii vaaraftagii tanhaaii afasaanon
|
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
Teri Doli Uthay gi Meri Mayeeyat Uthy Gi. Phool Tuj Pay bi Houn Gay Phool Muj Pay bi Houn Gay. *Farq Sirf Itna Sa Hy* * Tu Saaj kay Gai Mujy Sajaya gaya. Tu bi Ghar ko Chali main bi Ghar ko Chala. Tera Ghar Tha Bara mera Ghar tha Choota. *Farq Sirf Itna Sa Hy* * Tu Uth kay gai Mujy Uthaya gaya. Saheliyan Teri bi thi Dost Meray bi thi. Mehfil Wahan bi lagi Loog yahan bi thy. *Farq Sirf Itna Sa Hy* * Un ka Hansna Wahan Tumhari Taraf orr rona yahan Meri taraf
|
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
kabhii to aasmaan se chaand utare jaam ho jaaye tumhaare naam kii ik Khuubasuurat shaam ho jaaye * hamaaraa dil savere kaa sunaharaa jaam ho jaaye charaaGon kii tarah aankhen jalen jab shaam ho jaaye * ajab haalaat the yuun dil kaa saudaa ho gayaa aakhir mohabaat kii havelii jis tarah niilaam ho jaaye * samandar ke safar mein is tarah aavaaz do hamako havaayen tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jaaye * main Khud bhii ehatiyaatan us galii se kam guzarataa huun,
|
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
nazar nazar se milaakar sharaab piite hain ham unako paas biThaakar sharaab piite hain * isii liye to andheraa hai maikade mein bahut yahaan gharon ko jalaakar sharaab piite hain * hamen tumhaare sivaa kuchh nazar nahiin aataa tumhen nazar mein sajaakar sharaab piite hain * unhiin ke hisse mein aatii hai pyaas hii aksar jo duusaron ko pilaakar sharaab piite hain ..
|
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
jalataa huun hijr-e-shaahid-o-yaad-e-sharaab mein shauq-e-savaab ne mujhe Daalaa azaab mein * kahate hain tum ko hosh nahiin iztaraab mein saare gile tamaam hu_e ek javaab mein * phailii shamiim-e-yaar mere ashk-e-surKh se dil ko GAzab fishaar huaa pech-o-taab mein * rahate hain jamaa kuuchaa-e-jaanaan mein Khaas-o-aam aabaad ek ghar hai jahaan-e-Kharaab mein * badanaam mere giriyaa-e-rusavaa se ho chuke ab uzr kyaa rahaa nigaah-e-behijaab mein * matalab kii justaju
|
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
khote na hoon jo hosh unhen ghar bulaa ke pii in meh- washon ko saamane, apane biThaa ke pii * behad naa pii, naa bol bahut, josh mein na aa ruk ruk ke pii, sukuun se pii, sar jhukaa ke pii..
|
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
na tum jano na hum janeyein ho mere dil k kareeb
|
||
![]() |
@tanveer6 | 10 December 12 |
DIL aaj b dhondta hai wo chehra jo kabi humara piyar tha.wohi dokha dey gaye jin pr kabi khud se zayad etbaar tha.*
|
||
![]() |
@tanveer6 | 11 December 12 |
hamain to loot liya husn waalon ney kaaley kaaley baalon ney gorey gorey gaalon ney
|
||
![]() |
@tanveer6 | 11 December 12 |
A DIL tu phir se mera youn tamaasha na bana zamaaney main*** wo bewafai kr k bhool gaye tu wafa kr k bhool ja.*
|
||
![]() |
@tanveer6 | 11 December 12 |
Wo aye hamari gali main un ka ehsaan hai.@*wo to humara hi. *baaqi baaaaaad main*
|
||
![]() |
@tanveer6 | 13 December 12 |
Ishq hai tum se yeh ab maan b jao***hum apno ki tarah dikhawa nahi kartey
|
||
![]() |
@tanveer6 | 13 December 12 |
chalo koh nahi aya apney ko kya hai
|
||