
![]() |
@hamza21 | |
Akely pan se darti hoon juda honay se darti hoon, Meri ankhein batati hain ke main sonay se darti hoon, Meri ungli pakar lena mujhe tanha nahi karna, Ye duniya ek mela hai tumhain khonay se darti hoon, Main hasti hon to ankhon k goshay bheeg jatay hain, Tumhein maloom hai main is tarha ronay se darti hoon, Jab se khwab dekha hai mujhe tum chor jaogy, Main darti hon khwabwon se main ab sonay se darti hoon... |
||
115
Replies
7672
Views
2 Bookmarks
|
Page #: 1/6 |
![]() |
@hamza21 | 26 January 11 |
Itna piyar say chaha jaye to pather b apne ho jate hain faraz, Na jane ye fani insan itna ana parast kion hay.. |
||
![]() |
@hamza21 | 26 January 11 |
wo jo khud pairv-e-ehd-e-wafa krta tha, mujse milta tha to talqeen-e-wafa krta tha, us k daman me koi phool nahi mery liye, jo meri tangi-e-daman ka gila krta tha, aaj jo usko bulaya to wo gumsum hi raha, dil dhrkny ki jo awaz suna krta tha, aaj wo meri har ik baat k ma'ani pochy, jo meri soch ki tafseer likha karta tha, uski dehleez pe sadyon se khara hoon, mohsin, mujse milne k jo lamhat gina karta tha. |
||
![]() |
@amnveer | 26 January 11 |
Wah bhra
|
||
![]() |
@amnveer | 26 January 11 |
kitabo mere fasane dhundte hain..nadan hain gujre jamane dhundte hain.. jb wo thai talash e zindgi b thi.. ab toh maut k thikane dhundte hain.. kal khud he nikala tha apni mehfil se.. ab hue se wo diwane dhundte hain.. musafir bekhbr hai teri ankho se.. tere shehr mein maikhane dhundte hain.. tujhe kya pata ae sitm dhane wale..ham toh rone k bahane dhundte hain.. unki ankho ko yu na dekho FARAZ..naye teer hai nishana dhundte hain.
|
||
![]() |
@hamza21 | 26 January 11 |
Wohi raaton ki bedaari hai ab tak, Tamanna ka safar jaari hai ab tak, Khayal e zabt aur tark e talluq, Yehi pathar bohat bhari hai ab tak, Akeli chandni raaton main dil ko, Sulag uthney ki beemari hai ab tak, Abhi pichley dinon jo ham pe guzri, Ussi rut ka nasha tari hai ab tak, Badan se ho k jo roohan main utri, Ussi qurbat ki sarshari hai ab tak, Main hijrat kar to loon chaman sy ,,wasi,, Par parindon se meri yaari hai ab tak.. |
||
![]() |
@amnveer | 26 January 11 |
yan toh tabeer bta do mere sab khwbo ki..yan koi khwab in ankho ko dikhaya na karo.. tum kisi aur ki kismat mein ho , tum meri nahi..ye agar sach b hai toh muje btaya na karo
|
||
![]() |
@hamza21 | 26 January 11 |
Talism e ishq tha sab us k sath hone tak, Khayal e dard na aaya nijaat honey tak, Mila tha hijar k rastay main subha manind, Bichar gaya tha musafir say raat honey tak, Ajeeb rang badalti hay us ki nagri b, Har ik nehr ko dekha faraat honey tak, Wo iss kamaal se khelta tha ishq ki bazi, Main apni fatah samajta tha maat honey tak, Main usko bhoolna chahu to kya karon, Wo mujh main zinda hai khud meri zaat honey tak.. |
||
![]() |
@amnveer | 26 January 11 |
ukh fasana nahi k tujh se kahen..dil bhi mana nahi k tujh se kahen.. aaj tak apni bekhyali ka sabab..khud b jana nahi k tujh se kahen.. ek tu harfashana tha magar ab zamana nahi k tujhse kahen..be tarha dil hai, aur tujh se dostana nahi k tujh se kahen.. ai khuda dard e dil hai bakhshish e dost.. ab o dana nahi k tujh se kahen
|
||
![]() |
@hamza21 | 26 January 11 |
Kabi jo waqt parh jaye Tumhain mujh se bicharna ho, Tumhain waday se phirna ho To beshak dair mat karna, Mujhy naraz kar daina Tum apna rukh badal lena, Tum apni simt chal daina Magar jab lot k ana Tumhain mitti k teelay par Main shayad na dikhaai doon, Magar heraan mat hona Wahain 2 char qadmon par Mazaar-e-bekran ho ga Wahan ik phool rakh daina Aur ik shama jala daina Aur apn rukh badal lena ,,AUR APNI SIMT CHAL DAINA.. |
||
![]() |
@hamza21 | 26 January 11 |
Abhi jab lout kar phir tum hamare dar pe aye ho, Ye tum se keh diya kis ne, K tum bin reh nahh sakte, K ye dukh seh nahi sakte, Chalo ye maam laitey hain, K tum bin ham bohat roye, Kai ratoon ko na soye, Magar ek baat hai JANA, K tum jan-na chaho, K aisa kion kiya ham ne, To sun ln ghour se JANA, Purani ik riwayat dor di ham ne, Mohabat chor di ham ne, MOHABAT CHOR DI HAM NE.. |
||
![]() |
@hamza21 | 26 January 11 |
Uth uth k kisi ka intizar kar k dekhna, Kabhi kisi se payar kar k dekhna, Kaise toot'te hain mohabton k rishty Ghaltian do char kar k dekhna, Zindgi ka falsafa samjhna ho to Barish main kachi diwar khari kar k dekhna, Nafrat ho jaygi tum ko b dunya se Mohabat kisi se beshumar kar k dekhna.. |
||
![]() |
@hamza21 | 27 January 11 |
Apni haseen aankhon main chupa lo mujh ko Mohabat agr karte ho to chura lo mujh ko, Khone ka agr khof hai to meri jan Dil ki har darkhan main basa lo mujh ko, Tere har dukh ko seh lain gy hans kar ham Apnay badan ki chadar agr bana lo mujh ko, Sahil say pehly chor to na do gy wada karo Tum abhi aaghaz-e-safar main bata do mujh ko, Zindagi b tery naam kar doon ga main Bus chand lamhay apne seeny say laga lo mujh ko.. |
||
![]() |
@hamza21 | 27 January 11 |
Yehi zindagi ka ussol hai Jo bichar gaya ussy bhool ja, Jo mila hai dil say laga k rakh Jo nahi mila ussy bhool ja, Na wo dhoop tha na wo chandni Na chirag tha na wo roshni Wo khayal tha koi khuwab tha Wo tha aaina ussy bhool ja, Wo jo tery dil k qareeb tha Wo na jany kis ka naseeb tha Tujhe hans k usny bhula diya Tu bhi muskura kar ussy bhool ja.. |
||
![]() |
@hamza21 | 27 January 11 |
Dheere se sarkti hay raat us k aanchal ki tarha Uska chehra nazar aata hay jheel main kanwal ki tarha, Baad muddat usko dekha to -o-jaan ko yun laga Pyasi zameen pe jesy koi baras gaya badal ki tarha, Roz kehta hai seeny pe sar rakh k raat bhar jagaon ga Sar-e-sham hi mujhe aaj phir sula gaya kal ki tarha, Mere hi dil ka makeen nikla wo shakhs,,Ghalib,, Or ham shehar bhar main dhoondtay rahy usay kisi pagal ki tarha.. |
||
![]() |
@hamza21 | 27 January 11 |
Rukhsat howa to baat meri maan kr gaya Apne tamaam dard mere naam kr gaya, Bichra kuch is ada se k rut hi badal gai Ik shakhs saray shahir ko veeran kr gaya, Dilchasp waqia hay k kal ik aziz dost Apnay mufaad par mujhe qurban kr gaya, Kitni sudhar gai hai judai main zindagi Haan wo jafa say mujh pe ye ehsan kr gaya, Wo jo har aik baat pe kehta tha mujh ko,JAAN, Wo shakhs aik din mujhe bey ,JAAN, kr gaya.. |
||
![]() |
@hamza21 | 27 January 11 |
Raat kat-ti rhai chand dhalta raha Aatish-e-hijar main koi jalta raha, Ghar ki tanhaiyan dil ko dasti rahien Koi bechain karwat badalta raha, Aas-o-umeed ki shama roshan rahi Ghar ki dehleez ko koi takta raha, Raat bhar chandni gungunati rahi Raa bhar koi tanha sisaka raha, Ashk palkon pe aa k bikharte rahe Naam lab pe kisi ka larazta raha, Aaj phir raat basar ho hi gai Aaj phir koi khud se larta raha.. |
||
![]() |
@hamza21 | 27 January 11 |
Teri surat ko nigahon main basa kar rakhon Dil ye kehta hai tujhe tujh say chura kar rakhon, Tujhe dekhon tujhe chahon tujhi say pyar karon Tere rang roop ko main sab say chupa kar rakhon, Karlo qaid apne dil main tere jivan ko Tujhe main ishq ki zanjeer pehna kar rakhon, Koi b jaan na paye teri aankhon ki gehrai Main tujhe aisi kanwal jheel bana kar rakhon, Dil ye kehta hai tere baad koi tujh sa na ho Main tujhe akhri sans tak apna bana kar rakhon.. |
||
![]() |
@hamza21 | 30 January 11 |
Nafrton sy dil ko dukhaya or bhool gae Khushi k lamhon tak sath nibhaya or bhool gae, Main koi gham ka ansu to na tha ,,hamza,, Jo ankh sy giraya or bhool gae.. |
||
![]() |
@hamza21 | 30 January 11 |
Phir dil ne kaha hai tujhay mangon khuda se Phir aankhon ne teri deed ki chahat ki hai, Phir aaj baras gaien aankhain yaad main teri Phir neend ne aankhon se shikayat ki hai, Phir lehjay main dukh aan simta hai Phir aansuon ne aankhon se bagawat ki hai, Phir woh tera sath yaad aa gaya Phir dil ne mehsos teri zarorat ki hai.. |
||
![]() |
@hamza21 | 30 January 11 |
Ham ko aata hi nahi zakhmoon ki numaish karna Khud hi rotay hain taraptay hain behltay hain our so jatay hain.. |
||


