
![]() |
@aryan.k8 | |
Shayari Collection! Post your shayari here! |
||
33
Replies
4187
Views
0 Bookmarks
|
Page #: 1/2 |
![]() |
@adnaan69 | 27 November 12 |
Tu mujhse naaraaz hai kai roz se lekin, Hai meri khata kya mujhe maaloom nhi hai, Adnan sa Aashique hai tujhe chahne wala, Aye jaan e jigar kya tujhe maaloom nhi hai.?.? |
||
![]() |
@aryan.k8 | 28 November 12 |
Mili Azadi Jisse Wo Shaks Musalman hi Tha, Diya Hind ko Taj Mahal jisne Wo Shaks Musalman hi Tha, Aaj kehte Hai Ye Log ki Dehshat Gard Hai Musalman, Shuru ki Jisne Jang-E-Aazaadi Wo Tipu Sultan Musalman hi Tha, Jaha Lehraate Hai Tiranga Aaj Bhi Badi Shaan Se, kiya Taameer Jisne Laal Qila Wo Shaks Musalman hi Tha, Sare Jahan Se Accha Hindustan Hamara Hai, Likha Jisne Tarana-E-Hind Wo Shaks (Allama Iqbal) Musalman hi Tha.!
|
||
![]() |
@adnaan69 | 29 November 12 |
Very nice bro. god bless u.
|
||
![]() |
@aryan.k8 | 29 November 12 |
Khuda ko ek maante hain lekin Khuda ki ek nahi maante...
|
||
![]() |
@aryan.k8 | 29 November 12 |
Mere Bachpan ke din bhi kya khoob the, BE-NAMAAZI bhi tha aur BE-GUNAH bhi..
|
||
![]() |
@aryan.k8 | 29 November 12 |
Badnaam Kar Rahe Hain Naam Jihaad Ka, Dehshat Phailaana Nahi Hai Kaam Jihad Ka, Jihaad To Wo Paak Cheez Hai Jiske Aage Insaaniyat Ajeez Hai, Karte Hain Hifaazat Maasoomon Ki,Taaqat Bante Hain Ye Mazloomon Ki, Haq Ke Liye Sada Ye Ladte Hain, Roshni Dene Ke Liye Ye Marte Hain, Bujhkar Bhi Ujaala Jo Kar Jaate Hain, Sachchai Ki Raah Pe Jo Mar Jaate Hain, Insaaniyat Ki Jo Hifaazat Karte Hain, Khair Ke Liye Jo Sooli Chadte Hain. Wo Log Jihadi Nahi Hain Azeem, Jo Masoomon Ka Khoon Bahaate Hain. Wo Log To Shaitaan Ke Saathi Hain, Jo Bane Basaaye Ghar Ujaadte Hain. Jihad Naam Hai Aman Ka, Khair Ka, Jihad Naam Nahi Ruswaai Ka, Na Hi Bair Ka, Yahi Hai Doston Farmaan Jihad Ka, Phir Kyun Kharaab Kar Rahe Hain Log Naam Jihad Ka? |
||
![]() |
@aryan.k8 | 30 November 12 |
Phool hun Gulaab ka Chameli ka na samajhna, Phool hun Gulaab ka Chameli ka na samajhna, Aashiq hun aap ka, apni saheli ka na samajhna!.. |
||
![]() |
@aryan.k8 | 30 November 12 |
Hawa Khilaaf thi lekin Chiraagh bhi khoob jala, Khuda bhi apne hone ka kya saboot deta hai.. |
||
![]() |
@aryan.k8 | 30 November 12 |
Tere pyaar me na jaane kitna ghum paya hai, Na jaane kitne aansu kitna Lahu bahaya hai, Soorat jo teri dekhi thi Khoobsoorat tu nazar ayi thi, Dil jab nazar aya to bewafai hi chaayi thi! Na jaane is tarah tumne Kitno ko tadpaya hai, Tere Pyaar me na jaane kitna ghum paaya hai... ![]() |
||
![]() |
@aryan.k8 | 30 November 12 |
Log kehte hain be-akal hai tu.. Maine socha mere baare me kya ye Rabbul Aalameen se zyada waaqif hain?
|
||
![]() |
@adnaan69 | 30 November 12 |
Baandh rakha hai zehen mein jo khyaal Uss mein tarmeem kyun nahin karte, Beysabab uljhanon mein rehte ho Mujh ko tasleem kyun nhin kerte.. |
||
![]() |
@aryan.k8 | 30 November 12 |
Zindagi se hum apni kuch udhaar nahi lete, Kafan bhi lete hai to apni zindagi de kar!.. |
||
![]() |
@aryan.k8 | 30 November 12 |
Very nice adnaan bro thanx alot.. Apne baaki saathiyo ko bhi yaha post karne ke liye invite karo!
|
||
![]() |
@adnaan69 | 30 November 12 |
Insha Allah.
|
||
![]() |
@adnaan69 | 30 November 12 |
MOSAM BADAL RAHA HAI APNA KHAYAAL RAKHNA KYUNKI.. ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? BADALTE MOSAM ORR BADALTE LOG DONO TAKLEEF DETE HAIN...MOSAM BADAL RAHA HAI APNA KHAYAAL RAKHNA KYUNKI.. ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? BADALTE MOSAM ORR BADALTE LOG DONO TAKLEEF DETE HAIN... |
||
![]() |
@aryan.k8 | 1 December 12 |
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai, Dekhnaa hai zor kitnaa baazu-e-qaatil mein hai. Ek se kartaa nahin kyon doosara kuch baat-cheet, Dekhta hun main jise woh chup teri mehfil mein hai. Aaye Shaheed-E-Mulk-O-Millat mein tere oopar nisaar Ab teri himmat ka charchaa gair ki mehfil mein hai, Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai, Dekhna hai zor kitnaa baazu-e-qaatil mein hai. Waqt aane de bataa denge tujhe aye aasamaa, Hum abhi se kyaa bataayen kya hamaare dil mein hai! Kheench kar laayee hai sabko qatl hone ki ummeed, Aashiqon ka aaj jamaghat koonch-e-qaatil mein hai, Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai, Dekhnaa hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai! Hai liye hathiyaar dushman taak mein baithaa udhar, Aur hum taiyyaar hain seena liye apnaa idhar. Khoon se khelenge holi agar vatan muskhil mein hai, Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai Haath jin mein ho junoon kat te nahin talvaar se, Sar jo uth jaate hain vo jhukte nahin lalkaar se. Aur bhadkega jo shola sa hamaare dil mein hai, Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai! Hum to nikle hi the ghar se baandh kar sar pe kafan, Jaan hatheli par liye lo badh chale hain ye qadam. Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai, Sarfaroshi ki tamannaa ab hamaare dil mein hai! Yun khadaa maqtal mein qaatil keh rahaa hai baar-baar Kya tamanna-e-shahaadat bhi kisi ke dil mein hai? Dil mein toofaanon ki toli aur nason mein inqilaab, Hosh dushman ke udaa denge hamein roko na aaj Door reh paaye jo hamse dam kahaan manzil mein hai, Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai bhi kya hai jis mein na ho khoon-e-junoon, Kya wo toofaan se lade jo kashti-e-saahil mein hai. Chup khade hain aaj saare bhai mere khaamosh hain, Na karo to kuchh kaho mazhab mera mushkil mein hai, Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai, Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai! |
||
![]() |
@adnaan69 | 2 December 12 |
Very nice bro.
|
||
![]() |
@aryan.k8 | 2 December 12 |
Thanx man but this shayari was actually said by Ram Prasad Bismil- an Indian freedom fighter
|
||
![]() |
@adnaan69 | 2 December 12 |
I know. but mujhe puri yaad ni thi.
|
||
![]() |
@aryan.k8 | 3 December 12 |
Momin Ke Liye To Jan-E-Hasti Hay NAMAZ Iman Ki Aghosh Me Basti Hay NAMAZ Milti Nahi Mehshar Me Kisi Bhi Qeemat Par O Zindagi Walon Parh Lo Abhi Sasti Hay Namaz.. |
||


