Prodigits |
! You are not logged in to Prodigits. Please register or login.
* Jannah > Topics
aysha111
***CHHUPAYA NA JA SAKA***

iss baar ahd e zabt nibhaya na ja saka

aankho'n mai aansuo'n ko chhupaya na ja saka



jo bhi milay thai gham wo bhala kiss tarah kahoo'n

kehnay chala tau mujhsay bataya na ja saka



raushan kiye thai dill nai taray naam k charagh

tujhsay tau unn ujalo'n mai aaya na ja saka



unn k bhi aitebar mai badlaw aa gayap

ham se bhi unn ko sarr pe bitthaya na ja saka



basnay laga hai rooh ki gehraiyo'n mai wo

chahat ka ye parhaw chhupaya na ja saka



thi uski nafrato'n mai bhi chahat bhari lagan

dil say IJAZ k wo bhulaya na ja saka
161 Replies 4071 Views 0 Bookmarks
Page #: 1/9
> »
> »
topics posts
Page#

* Jannah Forum
fav Bookmarks

* Jannah


Download PRODIGITS Android APP