
![]() |
@smam | |
mere dosto ye Mirza Ghalib ki Ghazal aur un ke sher ka topic hai yaha ap sab Mirza Ghalib ki Ghazal,sher post kare jo aap jante hain. [b]Mirza ghalib [b] Born 27 December 1797 Agra , Maratha Confederacy Died 15 February 1869 (aged 72) Delhi , Punjab, British India Pen name Asad , Ghalib Occupation Poet Period Mughal era Genres Ghazal Subjects Love , Philosophy |
||
57
Replies
7799
Views
0 Bookmarks
|
Page #: 1/3 |
![]() |
@raees.k | 22 August 11 |
aah ko chaahiye ik umr asar hone tak, kaun jiitaa hai tirii zulf ke sar hone tak. . daam-e har mauj mein hai halqah -e sad kaam - e nihang dekhein kyaa guzre hai qatre pah guhar hone tak . aashiqii sabr -talab aur tamannaa betaab dil kaa kyaa rang karuun khun - e jigar hone tak . ham ne maanaa kih tagaaful na karoge lekin khaak ho jaaeinge ham tum ko khabar hone tak . partav- e khur se hai shabnam ko fanaa ki taaliim main bhii huun ek inaayat kii nazar . hone tak yak nazar besh nahiin fursat- e hastii gaafil garmii- e bazm hai ik raqs -e sharar hone tak . gam- e hastii kaa asad kis se ho juz marg ilaaj shamma har rang mein jaltii hai sahar hone tak. |
||
![]() |
@raees.k | 22 August 11 |
Zulmat kade mein mere shab - e- Ghum ka josh hai , Ik shamah hai daleel-e -Sahar so khamosh hai. .. Nay muzhda -e -Visaal na nazara -e -Jamaal , Muddat hui k aashat- e- Chashm-o - Gosh hai ... May! nay kiya husn khud aara ko bay baqaab, Ay shauq yan ijazat tasleem hosh hai. .. Deedar badah , hauslah saaqi, nigah mast , Bazm khayal, maikada -e -Bay kharosh hai. .. Dagh - e- Firaq -e -Suhbat -e - Shab key jali hui , Ik shamah reh gayi hai so woh bhi khamosh hai .. . Aatay hain ghaib say yeh mazamein khayal hai mein , Ghalib! sareer- e- Khamah nawaye sarosh hai. |
||
![]() |
@smam | 22 August 11 |
Dard e minnat kashe dawa na hua ... Main na acha hua bura na hua ... Jama karte ho kyoun raqeebo ko .. Ek tamahsha hua gila na hua .... |
||
![]() |
@rahebar | 22 August 11 |
Nice ghazal raees bhai n samam bhai.
|
||
![]() |
@rafeeq02 | 23 August 11 |
nice.topic.samam bhai bazincha-e-atfal hai duniya mere aage ,, shabo.roz tamasha mere aage |
||
![]() |
@smam | 23 August 11 |
Hue marke jo hum ruswa to ghum kya sar ke katne ka .... Na hota juda tan se to zaano pe dhara hota ..... |
||
![]() |
@rafeeq02 | 23 August 11 |
![]() |
@rafeeq02 | 23 August 11 |
![]() |
@rafeeq02 | 23 August 11 |
![]() |
@smam | 23 August 11 |
Woow....bahut khub ...rafeeq bhai raees bhai rahebar bhai.....thanks for sharing ... |
||
![]() |
@rafeeq02 | 23 August 11 |
![]() |
@abdulla9 | 23 August 11 |
Ye sanhdilon ki duniya hay yaha sambhal ke chalna .GALIB Yaha palkho pe bithaya jata hay Nazron se girane ke liye |
||
![]() |
@rafeeq02 | 23 August 11 |
wah wah...abdullah bhai
|
||
![]() |
@rahebar | 23 August 11 |
Wo Subha Neend Se Jagey To Mujh Se Larney Aaye Ghalib! K Tum Kon Hoty Ho Mery Khuwabo Mein Aaney Waly? |
||
![]() |
@rahebar | 23 August 11 |
Teri yaaden Bhi, tujh si zalim hain, GHALIB Jb dekhti hain tanha hamen, sataane chali aati hain!! |
||
![]() |
@rahebar | 23 August 11 |
kitna ajeeb he logon ka andaz-e-muhbt ==ghalib== roz ik naya zakhm de kr kehte hain Apna Khyal RAkhna |
||
![]() |
@abdulla9 | 23 August 11 |
Hathon ki lakhiron pe mat ja ay GHALIB.. Naseeb un ke bhi hote hay jin ke haat nahi |
||
![]() |
@mahfooz | 25 September 11 |
ghar se nikalna hai agar haan nikaliye nahaq hujjaten na meri jaan nikaliye le bosa ya museebate hijraan bayan kare ek mun hai kya kya armaan nikaliye |
||
![]() |
@benzu05 | 25 September 11 |
![]() |
||
![]() |
@mahfooz | 2 October 11 |
phir kuch ek dil ko beqarari hai seena jo yae zakhm kaari hai phir jigar kuredne laga hai nakhun aamade fasl lalakari hai phir usi bewafa pe marte hai phir wahi zindagi hamari hai.... bekhudi besabab nahi hai ghalib kuch to hai jiski.parda dari hai... |
||


