
![]() |
@zunera | |
Main ghazal kahon main ghazal parhon mujy de to husn e khayal de, tera gham hi hai meri tarbiat mujy de to ranj o malal de, sbi char din ki hai chandni ye imarten ye wizarten, mujy us faqeer ki shan de k zamana jis ki misal de, meri subha tere salam se meri sham tere hi nam se, tere dar ko chor k jaon ga ye khayal dil se nikal de...!! |
||
6
Replies
1421
Views
0 Bookmarks
|
![]() |
@mahn00r | 6 April 08 |
Apnay ashkon ko khud se chupaa kar rona,jub bhi rona chiraaghon ko bhujaa kar rona,loag parh laite hain chehre pe likhi tehreerain,kitna mushkil hai logom se chupaa kar rona,apni barbaadi ka hum khud sabab hain yaaro,ab kis se gila karain, kis ko sunaa kar rona,woh to tanhai main bohat roxa tha MAHNOOR,main ne chaaha tha jise seenay se lagaa kar rona.
|
||
![]() |
@nadimali | 14 October 08 |
Nice poem Zunera
|
||
![]() |
@rafyas | 9 November 08 |
achcha zauq hai.
|
||
![]() |
@zakkhan | 29 December 08 |
WISH U ALL HAPPY NEW ISLAMIC YEAR 1430 HIJRI DUWAON KA TALIB ZAK KHAN |
||
![]() |
@safi..r | 15 April 12 |
achchi ghazal hai, bahot khoob.
|
||
![]() |
@safi..r | 15 April 12 |
main bhi kuch likhna chahta tha, but abhi mera mood fresh hai isliye nahi likh sakta, bas ek rubaai likh raha houn, k wo mujhse naaraaz hai kai roz se lekin, hai meri khata kya mujhe maaloom nahi hai, SHAKEEB sa aashique hai tujhe chahne wala, Aye jaan e jigar kya tujhe maaloom nahi hai.....????
|
||


