
![]() |
@sajjad85 | |
..... |
||
8
Replies
2771
Views
0 Bookmarks
|
![]() |
@sajjad85 | 31 July 09 |
Mein nazar se pee raha hoon ye samaan badal na jaaye Na jhukaao tum nigaahain kahin raat dhal na jaaye Abhi raat kuch hai baaqi na uthaa niqab saaqi Tera rind girtay girtay kahin phir sanbhal na jaaye mere ashk bhi iss mein ye sharab ubal na jaaye mera jaam choonay waalay tera hath jal na jaaye Meri zindagi ke maalik mere dil pe hath rakh de Teray aanay ki khushi mein mera dum nikal na jaaye Mujhay phoonknay se pehle mera dil nikal lena Ye kisi ki hai amanat kahin sath jal na jaye |
||
![]() |
@sajjad85 | 3 August 09 |
Jub teri dhun mein jiya karte the.... Hum bhi chup chaap phira karte the Aankh mein pyaas huwa karti thi.... Dil mein toofan utha karte the Log aate te ghazal sun'ne ko... Hum TERI baat kiya karte the Sach samajhte the tere waadon ko... Raat din ghar mein raha karte the Kisi veerane mein tujh se mil kar.... Dil mein kya phool khila karte the Ghar ki Deewar sajane ke liye... Hum TERA naam likha karte the Wo bhi kya din te bhula kar Tujh ko.... Hum Tujhe yaad kiya karte the Jub Tere dard mein dil dukhta tha.... Hum Tere haq mein Dua karte the Bujhne lagta ta jo chehraa tera.... Daagh seenay mein jalaa karte the Apne jazbon ki kamandon se tujhe... Hum bhi taskheer kiya karte te Apne aansoo bhi sitaaron ki tarha... Tere honton pe saja karte the Cherta tha Gham-e-Dunya jub bhi.... Hum Tere ghum se gila karte te KAL TUJHE DEKH KE YAAD AAYA HAI.... HUM SUKHANWAR BHI HUWA KARTE TE......!!!!!!! |
||
![]() |
@sajjad85 | 3 August 09 |
Azaab-e-Deed mein aankhen lahoo lahoo kar ke.... Meiin Sharamsar huwa Teri justujoo kar ke Khandar ki teh se bareeda badan saron ke siwa.... Mila na kuch bhi khazano ki aarzoo kar ke Suna hai shehr mein zakhmi dilon ka melaa hain... Chalen ge hum bhi magar pairahan rafoo kar ke Musafat-e-Shab-Hijraan ke baad bhaid khula.... Hawa dukhi hai! Charaghon ki aabro kar ke Zameen ki pyaad usi ke lahoo ko chaat gayi.... Wo khush huwa tha samandar ko aabjoo kar ke YE KIS NE HUM SE LAHOO KA KHIRAJ PHIR MAANGA?.... ABHI TU SOYE TE MAQTAL KO SORKHAROO KAR KE Jaloos-e-Ahl-e-Wafa kis ke darr pe phuncha hai.... Nishaan-e-Tauq-Wafa zeenat-e-Galoo kar ke Ujaar roth ko gulaabi banaye rakhti hai.... Hamari aankh teri Deed se wazoo kar ke Koi tu Habs-e_Hawa se ye poochta MOHSIN.... Mila hai kya osey kalyon ko be-namoo kar ke!!!!!!!!!!!!!! |
||
![]() |
@sajjad85 | 3 August 09 |
abb bhala chhorh k hamm kya kartey shaam k waqt safar kya kartey teri masroofiyatain jaante hain apne aaney ki khabar kya kartey jab sitarey hee nahee'n mill paye le k hamm shams o qamar kya kartey wo musafir hi khuli dhoop ka tha saaye phaila k shajar kya kartey khaak hi awwal o aakhir thhehri karr k zarrey ko ghauhar kya kartey raaye pehley se banali tooney dill mai abb ham terey ghar kya kartey ishq ne saarey saliquey bakhshey husn se kasb e hunar kya kartey (PARVEEN SHAKIR) |
||
![]() |
@sajjad85 | 11 August 09 |
Kahaan Aa Kay Rukney Thay Raastey, Kahaan Moor Tha, Ussay Bhool Jaa, Joo Mil Gaya Ussay Yaad Rakh, Joo Nahien Mila Ussay Bhool Jaa, ............ Woh Tere Naseeb Ki Baarishein, Kisi Aur Chhat Pe Pe Baras Gayien, Dil-e-Bekhabbar Meri Baat Sun, Ussay Bhool Jaa, Ussay Bhool Jaa ............ Mein Too Gum Thaa Tere Hi Dehyaan Mein, Teri Aass Tere Gumaan Mein, Saba Keh Gayi Mere Kaan Mein, Mere Paas Aa Ussay Bhool Jaa ............ Kisi Ki Aankh Mein Nahien Ashq-e-Gham, Tere Baad Kuch Bhi Nahien Hai Kam, Tujhe Zindagi Ney Bhulaa Diya, Tu Bhi Muskuraa Ussay Bhool Jaa ............ Naa Woh Aankh Hi Teri Aankh Thi, Naa Woh Khuaab Hi Tera Khuaab Thaa, Dil-e-Muntazir Too Yeh Kis Liye Tera Jaagnaa, Ussay Bhool Jaa ...... ............ Yeh Joo Raat Din Ka Hai Khel Saa, Ussay Dekh Iss Pe Yakeen Naa Kar Nahien Aks Koi Bhi Mustaqil Sar-e-Aaena, Ussay Bhool Jaa ............ Joo Bisaat-e-Jaan Hi Ulatt Gaya, Woh Joo Raastey Mein Palatt Gaya Ussay Rookney Sey Husool Kya, Ussay Matt Bulaa Ussay Bhool Ja... |
||
![]() |
@sajjad85 | 11 August 09 |
poora dukh or aadha chand! hijir ki shab or aisa chand! . din main wehshat behel gai thi raat hui or nikla chand . kis maqtal se guzra hoga itna sehma sehma chand . yadon ki aabad gali main ghoom raha hai tanha chand . meri karwat par jag utthay neend ka kitna kaccha chand . mere munh ko kis hairat se dekh raha hai bhola chand . itnay ghane badal ke peche kitna tanha hoga chand . aansu roke noor nahay dil darya tan sehra chand . itne roshan chehre par bhi suraj ka hai saaya chand . jab pani main chehra dekha tu ne kis ko socha chand . burgad ki ek shakh hata kar jane kis ko jhanka chand . badal ke resham jhoole bhour samay tak soya chand . raat ke shane par sar rakhe dekh raha hai sapna chand . sukhe patton ke jhurmat main shabnam thi ya nannha . hath hila kar rukhsat hoga us ki surat hijir ka chand . sehra sehra bhatak raha hai apne ishq main saccha chand . raat ke shayad aik baje hen sota hoga mera chand ** [PARVEEN SHAKIR] |
||
![]() |
@sajjad85 | 12 August 09 |
Piyar Ka Pehla Khat Likhne Mein Waqt To Lagta Hai, Naey Parindon Ko Urrne Mein Waqt To Lagta Hai, . Ki Baat Nahi Thi Un K Dil Tak Jana Tha, Lambi Doori Tey Karne Mein Waqt To Lagta Hai, . Ganth Agar Lag Jaey To Phir Rishte Hon Ya Dauri, Laakh Karein Koshish Khulne Mein Waqt To Lagta Hai, . Humne Illaj-e-Zakhm-e-Dil To Dhoond Lia Lekin, Gehre Zakhmoon Ko Bharne Mein Waqt To Lagta Hai, . Piyar Ka Pehla Khat Likhne Mein Waqt To Lagta Hai, Naey Parindon Ko Urrne Mein Waqt To Lagta Hai |
||
![]() |
@sajjad85 | 7 November 10 |
Mere kareeb to aao ke bahut Udaas hoon main Bus aaj Toot ker chaaho ke bahut Udaas hoon main Kisi bhi Jhoote Dilase se Dil ko behlaao Koi Kahani sunao ke bahut Udaas hoon main Andheri Raat hai kuch bhi Nazar nahi aata Sitaare Torr ker lao kee bahut Udaas hoon main Suna hai Tere Nagar main Khushi bhi milti hai Mujhe Yaqeen dilao ke bahut Udaas hoon main Ye Shaam youn hi guzar jaayegi dabe paaon Dosti ka Geet sunao ke bahut Udaas hoon main (SAHIR LUDHYANVI) |
||


