
![]() |
@sajjad85 | |
4
Replies
1476
Views
0 Bookmarks
|
![]() |
@sajjad85 | 21 February 09 |
Mere dil mere musafir Mere dil mere musafir hua phir se hukm sadir ke watan badar huN hum tum dieN gali gali sadaayeN karieN rukh nagar nagarka ke suraag paayeN kisi yaar e naama bar ka har ajnabi se puuchieN jo pata tha apny ghar ka sar e ku.e.naashna yaaN hamieN din se raat karna kabhi iss se baat karna kabhi uss se baat karna tumhieN kya kahooN ke kya hy shab e gham buribala hy hamieN ye bhi tha ghaneemat jo koi shumaar hota hamieN kya bura tha marna agar ek baar hota! |
||
![]() |
@sajjad85 | 21 February 09 |
Mera dard naghma e be sadaa Mera dard naghma e be sadaa meri zaat zarra e be.nishaaN mere dard ko jo zubaN mily mujhy apna naam o nishaaN mily miri zaat ka jo nishaaN mily mujhy raaz e nazm.e jahaaN mily jo mujhy ye raaz e nihaaN mily meri kahmushi ko bayaN mily mujhy kainat ki sarwari mujhy doalat e do jahaaN milay! |
||
![]() |
@sajjad85 | 26 February 09 |
== Geet == Jalney lagien yaadon ki chitaayen aao koi bait banaayen inki rah takty jugg beetay chahay wo aayen ya nahien aayen aankhen moond ke nit pal dekien aankhon mien unki perchhaayen apne dardon ka mukt pehn kar bedardon ke saam.ne jaayen jab rona aaye muskaayen jab dil tuutay deep jalaayen prem katha ka ant na koi kitni baar issay duhraayen prem ki reet anoki saajan kuch nahi maangien sab kuch paayen FAIZ un se kya baat chhupi hy hum kuchh kah kar kyun pachhtaayen! |
||
![]() |
@sajjad85 | 1 August 09 |
Dil ki baat labo'n par la kar ab tak hum dukh sehtay hai'n Hum nay suna tha iss basti mei'n dil waalay bhi rehtay hai'n Beet gaya saawan ka maheena mausam ne nazarei'n badlee Lekin inn pyaari aankho'n say ab tak aansoo behtay hai'n Ik hummei'n awaara kehna koi bada ilzaam nahi'n Duniya waalay dil waalo'n ko aur bohat kuch kehtay hain Jis ki khatir shehar bhi chhorah, jin ke liye badnaam hue Aaj wohi hum say be'gaane be'gaane say rehtay hain....!! |
||


