
![]() |
@sajjad85 | |
Poetry of Ibn-e-Insha. |
||
20
Replies
8982
Views
0 Bookmarks
|
![]() |
@sajjad85 | 23 February 09 |
Sab MaayaHai By insha sab maya hai , sab dhaltee phirtee chaya hai iss ishq mein hum nay jo khooya jo paya hai jo tum nay kaha hai, faiz nay jo farmaya hai sab maya hai **** haan gahay gaahay deed ke doulat haath aye ya aik woh lazat naam hai jiss ka ruswayee buss uss kay siwa tu jo bhi sawab kamaya hai sab maaya hai **** ik naam tu baqi rehta hai, gar jaan nahi jab daikh liya iss sooday mein nuqsaan nahi tab shama pay dainay jaan patanga aaya hai sab maaya hai **** maloom hmain sab qais miyaan ka qissa bhi sab aik say hain, yeah ranjha bhi, yeh insha bhi farhad bhi jo ik nahar se khood kay laya hai sab maya hai **** kiyon dard kay naamay likhtay likhtay raat karoo jis saat samandar par ke naar ke baat karoo uss naar say koi aik nay dhoka khaya hai ? sab maaya hai **** jis goori pay hum aik ghazal har shaam likhain tum jantay hoo - hum kiyonkar uss ka naam likhain dil uss ke chookhat chom kay wapis aaya hai sab maaya hai **** woh larki bhi jo chaand nagar ke raani thee woh jiss ke alhaar ankhoon mein hayraani thee aa uss nay bhi pay'ghaam yeehi bhijwaya hai saab maya hai **** jo loug abhi tuk naam wafa ka laytay hain woh jaan kay dhokhay khatay, dhokay daitay hain haan thook baja kay hum nay hukam lagaya hai sab maaya hai **** jab daikh liya har shakhas yahaan harjayee hai iss shehar say door - aik kutiya hum nay banaye hai aur uss kutiyaa kay maathay pay likhwaya hai sab maaya hai **** |
||
![]() |
@sajjad85 | 6 March 09 |
Log hilaal-e shaam sey barh kar pal main mah-e tammam howe Log hilaal-e shaam sey barh kar pal main mah-e tammam howe Hum har burj main ghatte ghatte subha talak ghumnaam howe ------ Un logo.n ki baat karo jo ishq main khush unjaam howe Najd main Qais yahan per Insha khwaar howe, na-kaam howe ------ Kis ka chamakta chehra lain, kis soraj sey maangain dhoop Ghor undhaira cha jata hay, khilwat-e dill main shaam howe ------ Aik sey aik junoo ka mara is basti main rehta hay Aik humain hushiyaar they yaaro, aik humain ba-naam howe ------ Shouq ki aag, nafas ki garmi, ghatte ghatte sard ho na ho? Chah ki raah dikha kar tum tu waqf-e dareecha-o baam howe ------ Un sey bhahar-o baagh ki baatain kar k jee ko dukhana kya Jin ko aik zamana guzra kunj-e qafas main raam howe ------ Insha sahab pho phatti hay, taarey dobeby, subha hoi Baat tumhaari maan k hum tu shab bhi be-araam howe |
||
![]() |
@sajjad85 | 12 March 09 |
DILL PEET KI AAG MAIN JALTA HAY Dill peet ki aag main jalta hay, haan jalta hay ise jalne do is aag sey logo door raho, dhandhi na karo pankha na jhalo hum raat dina yoon hi ghulte rahain, koi pochey k hum ko na pochey koi sajan ho ya dushman ho, tum zikr kisi ka mat chiaro sab jaan k sapne dekhtey hain, sab jaan k dhokey khaatey hain ye dewaane sada hi sahi, per itne bhi sada hain yaroo? kis meethi tapish k malik hain thitharti hoi aag k angiyaarey tum nay tu kabhi sainka hi nahi, tum kya samjho, tum kya jano dill peet ki aag main jalta hay, haan jalta hay isey jalne do is aag sey tum tu door raho, dhandhi na karo pankha na jhalo har mehfil main hum donoon ki kya kya nmahi batain hoti hain in baatoon ka mafhoom hay kya, tum kya samjho, tum kya jano dill chal k laboon tak aa na saka, lub khul na sake ghum ja na saka apna tu bas itna qissa tha, wo waqt kahan wo baat kahan jab marte they marne na diya, abb jeetey hain abb jeene do dill peet ki aag main jalta hay, haan jalta hay isey jalne do is aag sey Insha door raho, dhandhi na karo pankha na jhalo logoo.n ki tu baatain sachchi hain....aur dill ka bhi kehna karna howa per baat humaari mano tu...ya un k bano ya apney raho raahi bhi nahi, rehzan bhi nahi, bijli bhi nahi, khirman bhi nahi aisa bhi bhala hota hay kaheen, tum bhi tu ajab deewane ho is khail main har baat apni kahan, jeet apni kahan maat apni kahan ya khail sey yak-sar uth jaao, ya jaati baazi jane do DILL PEET KI AAG MAIN JALTA HAY |
||
![]() |
@sajjad85 | 29 March 09 |
tum hansti achi lagti ho....... tum waqi achi larki ho yah mujh ko achi lagti ho cherey ki udasi door karo kiyun ji apna ranjoor karo woh waadey wafa nibhaney ke tum bhool gaein mujhay yaad rahe kiya shaan tumhari ghat jati jo eafa karne aa jatein?? abb kin batoon main khoi ho abb kin sochoon main dobi ho? cherey ko zara uthao tou aankhain bhi chaar karo dekho tum hansti achi lagti ho cherey ki udasi door karo jub hum ne kaha tha man jao aur c ke hum ko mat jao tum sunti thein chup reti thein cherey pe liye udasi si tum bekal bekal rehti thein jub hum ne kaha tha ghum choro ghum c dil ki baat kaho tum hansti achi lagti ho cherey ki udasi door karo woh khat jo tumhara aaya tha woh khat tha yah afsana tha ger peet hamari chaye thi jholi ko zara pehlana tha haan eid tou aati rehti hai per deed tou baqi rehti hai ger eid per tum hi aa jatein aur deed tumhari ho jati woh baat tou aani jaani thi per ban gai kahani si abb uss ka qissa pak karo tum hansti achi lagti ho cherey ki udasi door karo |
||
![]() |
@sajjad85 | 29 March 09 |
Darwaaza khula rakhna...... Dil dard ki shiddat say khoon gushta-o-see parah Iss sheher main phirta hay ek wehshi aawarah Shayaer hay keh aashiq hay,jogi hay keh banjara Darwaaza khula rakhna.............. Seney sey ghata uthay,aankhoon sey jhari barsey Phagan kaa nahin baadal,jo char ghari barsey Barkha hay yeh bhadoon ki,barsey tou bari barsey Darwaaza khula rakhna........... Aankhoon main tou ek aalam,aankhoon main tou dunya hey Hoonton peh magar mohrein,monh sey kuch nahin kehta hey Kis cheez ko kho betha hey,kiya dhondney nikla hey??? Darwaaza khula rakhna......... Haan tham mohabbat ki ger tham sakay doori...... Saajan hay tera saajan,abb tujh sey tou kiya chori Yeh jiss ki mana di hey basti main teri gori.......... Darwaaza khula rakhna........... Shikwon ko utha rakhna,aankhoon ko bicha rakhna Ek shamma dareechay ki chokhat peh jala rakhna Maayus naa phir jaye,haan paas-e-wafa rakhna Darwaaza khula rakhna.......... |
||
![]() |
@sajjad85 | 29 March 09 |
Chand K Tammanaai . shehr-e dill ki galiyoo.n main shaam sey bhataktey hain chaand k tammanaai be-qarar sodaai dill gudaaz tareeki jaa.n gudaaz tanhaai roh-o jaan ko dasti hay roh-o jaan main basti hay shehr-e dill ki galiyoon main taak-e shab ki bailoo.n per shabnamee.n sarakshoo.n ki be-qarar logoo.n nay be-shumaar logoo.n nay yaad-gaar chorhi hay itni baat thori hay? _ sad-hazaar baatain thee.n heela-e shakaibaai soratoo.n ki zaibaai qamatoo.n ki ranaai in siyaah raatoo.n main aik bhi na yaad aai ja-baja bhataktey hain kis ki raah taktey hain chaand k tammanaai ye nagar kabhi pehley is qadar na weeraa.n tha kehne waaley kehtey hain qayaa-e nigaraa.n tha khair apney jeene ka ye bhi aik samaa.n tha _ aaj dill main weeraani ab'r ban k ghir aai aaj dill ko kya kaheye ba-wafa na harjaai apni wehshat-e dill k bun lieye hain afsaaney khush khayyal duniya nay garmiyaa.n tu jaati hain wo rutain bhi aati hain jab malool raatoo.n main dostoo.n ki baatoo.n main jee na chain paay ga aur aoub aay ga aahatoo.n sey gonjey gi sheh-e dill ki pehnaai aur chaand raatoo.n main chandni k shaidaai har bahaane niklain gai aazmaane niklain gai aarzo ki gairaai dhoondh'ne ko ruswaai sard sard raatoo.n ko zard chaand bakhshey ga be-hisaab tanhaai be-hijaab tanhaai shehr-e dill ki galiyoon main |
||
![]() |
@sajjad85 | 29 March 09 |
kaisi bhi ho is shakhs ki oqaat azizo Kaisi bhi ho is shakhs ki oqaat azizo Insha ki ghanimat hay abhi zaat azizo is shehr-e khirad main kahan miltey hain dewaane paida tu karo is sey mulaqaat azizo paband-e salasil hay, pe zindaan-e jaha.n main rindaan-e jaha.n ki si karey baat azizo hay mufli-o mohtaaj pe hum nay tu dekha is ko ba dar-e qibla-e hajaat azizo paya hay magar khaak basar eh'el-e talab main utri ho jaha.n husn ki baraat azizo is shakhs nay yoon koun sa maidaa.n nahi mara bas ishq ki baazi main hoi maat azizo us main bhi raha haath pe shiraza sukhan ka ushshaaq k matlub ki ghazliyaat azizo |
||
![]() |
@sajjad85 | 29 March 09 |
Aati hai Pawan, Jaati Hai Pawan joogi ka bana kar bhais phiray barhan hai koye, jo dais phiray seenay mein liyeah seenay ke dukhan aati hai pawan, jaati hai pwan pholoo nay kaha, kantoon nay kaha kuch dair thehar, daman na chura par iss ka chalan, wehshee ka chalan aati hai pawan, jaati hai pawan iss ka tu kaheen maskun na makaan awara ba dil, awara bajaaan logoon kay hain ghar, logoon kay watan aati hai pawan, jaati hai pawan yahaan koun pawan ke negaah mein hai woh jo rah mein hai, bus raah mein hai parbat keh nagar, sehra keh chaman aati hai pawan, jaati hai pawan ruknay ke nahi jaa, uth bhi chukoo insha jee chaloo haan tum bhi chaloo aur saath challay dukhta howa mun aati hai pawan, jaati hai pawan |
||
![]() |
@sajjad85 | 29 March 09 |
Saaye Sey . kyu merey saath saath aata hay? meri manzil hay be-nishaa.n na-daa.n? saath mera tera kahan na-daa.n? thak gai paoo.n, par gagi chaaley manzilain timtima rahi hain door.......! bastiyaa.n aur ja rahi hain door.........! main akela chaloo.n ga ay saay koun eh'd-e wafa nibhata hay? kyu merey saath aata hay? tu abhi ja miley ga sa'yoo.n sey main kahan jaoo.n? main kahan jaoo.n? kis ki aghoosh main amaa.n paoo.n? |
||
![]() |
@sajjad85 | 29 March 09 |
Koun Jane Mere Gham Ki Hakikat Kya Hai (*)Tugh ko maloom nahi , tugh ko bhala kya maloom(*) tere chehre k yeh saada se achoote se nakoosh mare takhi-ul ko kya rang aata kerte hain tere zulfien , tere aankhen , tere aariz , tere hont kaisi anjaani si masoom khata kerte hai (*) khilwat-e-bazm ho Ya Jilwat-e-tanhai ho (*) tera Paiker meri nazron main ubhar aata hai koi sa-at ho , koi fiqr ho , koi mahol mugh ko her simat tera husan nazar aata hai (*) Chalte chalte qadam jo aap tha-tak jate hain(*) sochta hoon keh kahin tu ne pukara to nahi gum si ho jati hai nazren to khayaal aata hai iss main pinhaan kahin teri aankhon ko ishara to nahi (*) dhoop main saaya bhi hota hai Guraizan Jis dam(*) tere zulfen mare shaano pe bikhar jatee hain thak ke sir jab kisi pathar pe ti-kaa deta hoon teri baahen meri gardan main ut-tar jaati hain (*) aankh lagti hai to dil ko yeh guman hota hai(*) sir-e baalen koi baitha hai baade pyaar k saath (*) Kis ko maloom mere khaboon ki tabiir kya hai(*) kon jaane mere gham ki haqeeqat kya hai main samagh loon bhi agar iss ko muhabbat ka janoon mugh ko iss ishq-e-janoon khaiz se nisbat kya hai (*) Tugh ko maloom nahi toogh ko na ho ga maloom(*) tere chehre k yeh saada se achoote se nakoosh mere takhi-ul ko kya rang aata kerte hai tere zulfain , tere aankhain , tere aariz , tere hont kaisi anjaani si masoom khata kerte hain |
||
![]() |
@sajjad85 | 29 March 09 |
Ghoom Raha Hai Peet Ka Payasa daikh tu goori kissay pukaaray basti basti dawaray dawaray bar mein jhooli hath mein kasa ghoom raha hai peet ka payasa dil mein aag dabi hai, darna ankhoon mein ashkoon ka jharna lab par dard ka bara masa ghoom raha hai peet ka payasa kantoon say chalni hain paon dhoop mali chehray par chaoon aas mali ankhoon mein naras ghoom raha hai peet ka payasa baat humari maan kay goori sab duniya say choori choori ghoongat ka pat khool zara sa ghom raha hai peet ka payasa sourat hai insha jee ke see baal parayshan, ankhain neechi naam bhi kuch insha jee sa ghoom raha hai peet ka payasa souch nahi sajan ko bula lay aagay barh, seenay say laga lay tujh bin day issay koun dalasa ghom raha hai peet ka payasa |
||
![]() |
@sajjad85 | 29 March 09 |
Uss Angan Ka Chand sham samay aaik oonchi seehriyon walay ghar kay angan mein chand ko utaray daikha hum nay, chand bhi kaysa ? poora chand insha jee in chahnay wali, daikhnay wali ankhoon nay mulkoon mulkon, shehroon shehroon, kaisa kaisa daikha chand har aik chand ke apni dhuj thi, har aik chand ka apna roop laykin aisa roshan roshan, hansta battain karta chaand ? dard ke tees tu uth'ti thee, par itni bhi , bharpor kabhi ? aaj say pehlay kab utra tha dil mein itna gehra chaand ! hum nay tu kismat kay dar say jab paye andhayaray paye yeah bhi chand ka sapna ho ga, kaisa chand, kahaan ka chand ? insha jee duniya waloon mein bay sathi bay doost rahay jaisay taroon kay jhurmat mein tunha chand, akayla chand in ka daman iss doulat say khali ka khaali hee raha warna tha duniya mein kitnay chandi chand aur soona chand jug kay charoon koot mein ghooma seelani hayraan howa iss basti kay iss koochay kay iss angan mein aisa chand ? ankhoon mein bhi chitwan mein bhi chand he chand jhalaktay hain chand hee teeka, chand hee jhoomar, chehra chand aur matha chand aik yeh chand nagar ka baasi jiss say door raha sunjoog warna iss duniya mein sab nay chaha chand aur paya chand anbar nay dharti par phaikee noor ke cheent udaas udaas aaj ke shab tu andhi shab th, aaj kidhar say nikla chand ? insha je yeh aur nagar hai, iss basti ke reet yeahi hai sab ke apni apni ankhain, sab ka apna apna chand apnay seenay kay mat'la par jo chamka woh chaand howa jis nay man kay andhyaaray mein aan kiya uj'yaara, chaand chanchal muskaati muskaati goori ka mukhra mehtaab bath jhar kay pairoon mein at'ka peela sa ik patta chand dukh ka darya skh ka sagar iss kay dam say daikh liyeah hum ko apnay saath he lay kar dooba aur ubhra chaand jhuki jhuki palkoon kay neechay numnaaki ka naam na tha! yeah kanta jo humain chubha hai kaash tujhay bhi chubhta chand roshniyoon ke peeli kirchain, poorab pacham phail gaieen tu nay kis shay kay dhookay mein pathar pay day tapka chand hum nay tu dono ko daikha, dono he bay dard khathoor dharti walla, anbar walla, pehla chand aur dooja chand chand kissi ka ho nahi sakta, chand kissi ka hota hai ? chand ke khatir zid nahi kartay, aye mairay achay insha chand |
||
![]() |
@sajjad85 | 29 March 09 |
Insha Jee Bohat Din Beet Chukay insha jee bohat deen beet chukay tum tanha tha, tum tanha hoo yeah joog bajoog tu theek nahi yeah roog kissi ka acha ho ? kabhi poorab mein, kabhi pacham mein tum purwa ho, tum pachwa hoo? jo nagri nagri bhatkaye aya bhi na mun mein kanta ho kaya aur sabhi choonchal yahaan ? kaya aik tumhee yahaan dukhiya ho kaya aik tumhee par dhoop karee jab sab par sukh ka saya hoo tum kiss jungal kay phool miyaan tum kis bagiyaa ka bayla ho ? tum kis sagar ke lehar bhala tum kis badal ke barkha ho ? tum kis ponam ka ujayaara kis andhee rain ke oosha hoo tum kin hathoon ke mehandi ho tum kis mathay ka teeka ho kiyon shehar taja, kiyon jog liya kiyon wehshi ho, kiyon ruswa ho hum jab daikhain behroop naya hum kaya jannain tum kaya kaya ho ? jab soraj doobay sanjh bhaye aur phail raha andhayara ho kissi saaz ke lay par jhan'an jhan'an kissi geet ka mukhra jaga hoo iss taal pay nachain pairoon mein aik chup chup behtee nadiya hoo ho charoon koot sughandh basee jeevan jangal pehna gajra hoo yeah ambar kay mukh ka anchal ho iss anchal ka rung ooda ho ik goot ro'pehlay taroon kee aur beech sunehra chanda hoo iss sundar sheetal shaant samay haan bolo bolo phir kaya ho ? woh jis ka milna na mumkin woh mil jaye tu kaisa hoo ? kiyon aisay sapnay daikhtay hoo insha jee tum aap bhi sapna ho ik beetain likhtay shayar hoo ik geet ugalte beena hoo yeah battain mein mein woh sochay jo kaya batlyain kaisa ho ? woh jiss kay hat mei kismat kee aik lambee gehree raikha hoo woh shakhas puranay qisoon kaa ik mud'mata shehzada hoo jo shehar ka rasta bhoola ho aur jungal mein aa nikla hoo woh raja kaashi nagree ka woh wali'e bulkh o bukhara ho kuch uss kay taj pay kalghee ho kuch uss ka chand sa chehra ho woh malik mehal ataariyoon ka woh roppay soonay walla hoo ya koye anookha gunn walla woh jiss ka jug mein charcha ho ya koyee sajeela banjara jo nagri nagri ghooma hoo hum nugri nugri ghoomay tu jab niklay thay awara hoo woh landon ho, woh paris ho woh barlun ho, woh roma ho woh kabul ho, woh lanka ho woh sahil seen o rayan ho ya sahit e neel o dajla ho woh jeen ka daish washaal kaheen ya pucham dais amrica ho woh chooti fuji yama kee ya ulpus ka barpad ooncha ho woh chattain gulabi laydan ke ya neela aab janeva ho din astanbool ke galiyoon mein ya sab ke sair praha hoo kuch sourattain theen, kuch mortain theen kauch aur bhi shaid daikha ho jahaan nazrain thereen theetki hoon jahaan dil ka kanta atka hoo par hum ko tu kuch yaad nahi kuch khoya ho, kuch paya ho in batoon mein, in ghatoon mein sajoog ka koye lamha ho hum apnay jo khud aap nahee phir bolo koun humara hoo youn samjhoo shehar saraye mein shab bhar kay liyeah koye utra ho koye pardaisi, koyee saylaani woh jis ka door thikana ho shaam aye sawairay koch kiya jab dhundhla dhundla rasta ho jab dhartee sooni sooni hoo jab anbar pheeka pheeka hoo aik alam tha, kaya alam tha woh sacha hoo, ya jhoota hoo hum apnay aap mein doob gaye khud pathar ban, khud darya hoo jeevan ghaas ka tinka jungle jeevan andhi mein koye pata ho hum kis say kahain, kis toor kahain koye baat humaree samjha hoo! hum uss say millain jo apna hoo hum uss say kahain jo hum sa ho jab yeah bhi nahi, jab woh bhi nahi kaya baat banay, kaya rasta hoo iss zindaan mein koye rozan ho iss gunbad mein darwaza ho aye jogi, aye darwaish qavi kiyon umaar ganwaye ramta ho kiyn tun pay rakh bhaboot mallay tu gorakh naat ka cheela hoo ya porab pucham kuch bhi nahi yeah joog bajoog bhi dhooka hoo jo tujh say juda sab maya hai ya apnay ko gar pana hoo kiyon aur pay jee ko rujhata hai yeah peet ke reet tu phanda ho jo hara jaan say haar gaya jo jeeta woh bhi ruswa ho dhooni na rama, basram na kar bus alakh jaga kar chalta ho tu apna reh, tu apna ban tu insha hai, tu insha hoo |
||
![]() |
@sajjad85 | 29 March 09 |
Dil hijr ke dard say bojhal hai ab aan milo to behtar ho... dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho iss baat say hamko kya matlab ye kaise ho, ye kyunkar ho ik bheek ke dono kaasey hein, ik pyas ke dono pyaley hein ham kheti hein tum badal ho, ham nadya hein tum sagar ho ye dil hai ke jalte seene mein aik dard ka phora alhar sa na geet rahey na phoot bahey, koi marham ho koi nishtar ho ham sanjh samey ki chaya hein, tum charhti raat ki chandarma ham jatey hein tum aatey ho, phir mail ki surat kyunkar ho ab husn ka rutba aali hai, ab husn se sehra khali hai chal basti mei banjara ban, chal nagri mein sodagar ho wo raatein chand ke saath gayeein, woh baatein chand ke saath gayeein ab sukh ke sapne kya dekhein jab dukh ka suraj sar par ho ab insha ji ko bulana kya, ab pyar ke deep jalana kya jab dhoop aur chaya aik se hon, jab din aur raat barabar ho.. |
||
![]() |
@sajjad85 | 29 March 09 |
Faro-guzasht dard ruswa na tha zamane main dill ki tanhaiyoo.n main basta tha harf-e na-gufta tha fasana-e dill aik din jo unhain khayyal aaya poch betheyudaas kyu ho tum bas yoon hi, muskura k main nay kaha dekhtey dekhtey sar-e mushgaa.n aik ansoo magar dhalak aaya ishq norus tha.... khaam kar tha dill baat kuch bhi na thi magar humdam abb mohabbat ka wo nahi alam aap hi aap sochta hon main dill ko ilzaam dey raha hon main dard bewaqt ho gaya ruswa aik ansoo tha, pee lya hota husn mohtaat ho gaya us din ishq touqeer kho gaya us din haayy kyu itna be-qarar tha dill |
||
![]() |
@sajjad85 | 29 March 09 |
Daikh Humaari Deed K Karan daikh humari deed k karan kaisa qabil-e deed howa aik sitara baithey baithey tabish main khursheed howa aaj tu jaani rasta takte, shaam ka chaand padeed howa tu nay tu inkaar kya tha, dill kab na-ummeed howa aan k is bemaar ko dekhey, tujh ko bhi toufeeq hoi? lub per us k naam tha tera, jab bhi dard shadeed howa haan us nay jhalki dikhlaai, aik hi pal ko dareechey main jaano ik bijli lehraai, aalam aik shaheed howa tu nay hum sey kalam bhi chora, arz-e wafa k suntey hi pehley koun qareeb tha hum sey, ab tu aur baeed howa duniya k sab karaj c y, naam pe terey Insha nay aur isey kya t y ghum thay? tera ghum mazeed howa |
||
![]() |
@sajjad85 | 29 March 09 |
Yeh Battain Jhooti Battain Hain yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain hain lakhoo roog zamanay mein, kiyon ishq hai ruswa bay'chara hain aur bhi wajhain wehshat ke, insaan ko rukhteen dukhyaara haan bay kal bay kal rehta hai, hoo peet mein jiss nay jee haara par shaam say lay subah talak youn koun phiraay ga awaara ? yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain * yeh baat ajeeb sunatay hoo, woh duniya say bay'aaas howay ik naam suna aur ghush khaya, aik zikar pay aap udaas howay woh ilam mein aflatoon sunay, woh shair mein tulsi daas howay woh tees baras kay hotay hain, woh BA MA paas howay yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain * gar ishq kiya hai tab kaya hai, kiyon shaad nahi abaad nahi jo jaan liyeah bin tal na sakkay, yeah ayeesi bhi aftaad nahi yeah baat tu tum bhi manoo gai, woh qais nahi farhaad nahi kaya hijar kar daroo mushkil hai ? kaya visal kay nushkhay yad nahi yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain * woh larki achi larki hai, tum naam na loo hum jaan gai woh jiss kay lambay gaisoo hain, pehchaan gai pehchaan gai haan sath humaray insha bhi uss ghar mein thai mehman gai par uss say tu kuch baat na kee, anjaan rahay anjaan gai yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain * jo hm say kaho hum kartay hain, kaya insha ko samjhana hai ? uss larki say bhi keh layain gai, goo ab kuch aur zamana hai ya choorain ya tukmeel karain, goo ab kuch aur zamana hai yeh kaisa goorukh dhunda hai, yeah kaisa tana bana hai yeah battain kaisi battain hain, jo logoon nay phaylaye hain tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee sodaaye hain ? |
||
![]() |
@sajjad85 | 29 March 09 |
sab ko jee k daagh dikhay, aik tumhi ko dikhla na sake sab ko jee k daagh dikhaay, aik tujhi ko dikha na sake tera daman door nahi tha, haath humain phaila na sake tu aay dost kahan lay aaya chehra ye khursheed misaal seene main aabad karain gai, ankhoo.n main tu sama na sake na tujh sey kutch hum ko nisbat, na tujh ko kutch hum sey kaam hum ko ye maloom tha lakin dill ko ye samjha na sake abb tujh sey kis munh sey kah dain saat samander paar na ja beech ki ik dewaar bhi hum tu phaand na paay dhaa na sake mun paapi ki ujri khaiti sookhi ki sookhi hi rahi umdey badal, girjey badal, bondain do barsa na sakey |
||
![]() |
@sajjad85 | 4 April 09 |
Sukh Chaho Tu Farsh pe bethey ik jogi nay arsh k chand pe hara jee sher humarey sun'ney waloo.n.... rakhiyo jaan sey piyara jee har basti har ghar per chanchal chand nay chehra chamkaya is jogi k hisse main per ghor undhaira hi aaya matwaloo.n nay sapnoo.n k tagoo.n ki chadar phailaai ujiyara tu kya milta... jag nay tehrayaa sodaai yaaroo.n nay so so jatanoo.n sey samjhaya nakaam howe jogi je daman hi daman phailaay bad-naam howe door ufaq per chanda pal bhar thitka, hans kar doob gaya Insha (haan wo ramta jogi) duniya sey mahjoob gaya abb logo batlaao...sukh main achcha ya dukhiyara jee? sukh chacho tu peet na kejiyo.....rakhiyo jaan sey piyara jee |
||
![]() |
@sajjad85 | 11 August 09 |
Kal chaudhavin ki raat thi, shab bhar raha charcha tera Kuchh ne kaha ye chaand hai, kuchh ne kaha chehra tera -------- Ham bhi wahin maujood the, hamse bhi sab poochha kiye Ham hans diye, ham chup rahe, manzoor tha parda tera -------- Is shehr mein kisse milein, han se to chhooti mehfilein Har shakhs tera naam le, har shakhs deewana tera -------- Kooche ko tere chhod kar jogi hi ban jaaein magar Jangal tere, parbat tere, basti teri, sehra tera -------- Ham aur rasm-e-bandagi aashuftagi? Uftaadgi? Ehsaan hai kya-kya tera, ai husn-e-beparwa tera -------- Do ashq jaane kiske liye, palkon pe aa kar tik gaye Altaaf ki bearish teri, ikraam ka darya tera -------- Ai bedareeg-o-beamaan, hamne kabhi ki hai fughaan? Hamko teri wehshat sahi, hamko sahi sauda tera -------- Ham par ye sakhti ki nazar? Ham hein faqeere rehguzar Rasta kabhi roka tera? Daaman kabhi thama tera? -------- Haan-haan teri soorat haseen, lekin to aisa bhi nahin Is shakhs ke ashaar se shohraa hua kya-kya tera -------- Bedard sunni ho to chal, kehta hai kya achhi ghazal Aashiq tera, ruswa tera, shaair tera insha tera |
||


