
![]() |
@sajjad85 | |
Urdu nazm. |
||
12
Replies
3348
Views
0 Bookmarks
|
![]() |
@sajjad85 | 6 March 09 |
samajh lena woh main hoon... agar kabhi meri yaad aaye tau diyon ki roshni ko dekhna jo roshni bujhti huwi dikhaai de samajh lena woh main hoon... agar kabhi meri yaad aaye tau kitabon mein pare huwe patton ko dekhna jo patta sab se ziyada zard dikhaai de samajh lena woh main hoon... agar kabhi meri yaad aaye tau bahar mein phoolon ko dekhna jo phool khuhsboo na de samajh lena woh main hoon... agar kabhi meri yaad aaye tau aasmaan ki taraf badlon ko dekhna jo tukra sab se alag dikhaai de samajh lena woh main hoon... agar kabhi meri yaad aaye tau apne dil se poochna jo woh jawab de b]samajh lena woh main hoon...[/b] |
||
![]() |
@sajjad85 | 15 March 09 |
Suna hai............!!!! Suna hai Chand taroon main jinhien dhondo Wo ik din mill bhi jatay hain Suna hai Bheegti barish ki raatoon main Jinhien socho Wo ik din pass aatay hain Suna hai Samander per kharay ho ker Jinhien tasawar main dekho Wo ik din unkahi baatoon ko Khud hi sun bhi laitay hain Mager jana Sunnay aur sunannay ki Sabhi baatien poori nahien hotien Muqader to nahien hota Naseeba to nahi hota To tum bhi Bhula do to hi acha hai |
||
![]() |
@sajjad85 | 24 March 09 |
Agar main dur ho jaon To palkon ko jhapak daina Agar ansu koi giraay Samajh lena wo main hoon.... Hathaili saamnay rakhna Keh sab aansuu giraay us main Jo ruk jaye ga hounto per Samajh lena wo main hoon.... Kabhi jo chand ko daikho To tum yun muskura dena Keh phirr baadal bhi aajayee Samajh lena wo main hoon.... Jo chal jayee hawa thandi To ankhain band ker laina Jo jhonka taiz ho sab say Samajh lena wo main hoon.... Jo zeeyada yaad aaon main To tum ro laina jee bher ker Agar hichki koi ayee Samajh lena wo main hoon.... Agar tum bhoolnaa chaho Mujhay shayad bhula do tum Magar jab saans aye gii Samajh lena wo main hoon.... |
||
![]() |
@sajjad85 | 31 March 09 |
Bicharne se zara pehley Bicharne se zara pehle Tumhein bhi soch laina chahye tha Tumhein bhi soch laina chahye tha Kay youn chahat ko thukraya nahi karte Kay youn beetay dinon ko bhoolna acha nahi hota Kay youn anjan ban kar chain se jeena hamare waastay Mumkin nahi hoga Tumhein bhi soch laina chahye tha Kay wo baatein jo hum ik doosre se kar chukay hain Ab kabhi wapis na ayien gi Kay wo lamhe jo hum ik doosre mein jee chukay hain Phir kabhi zinda na hon gay Bicharne se zara pehle Tumhein bhi soch laina chahye tha |
||
![]() |
@sajjad85 | 31 March 09 |
Khuwab Martai nahi Khuwab dil hain na aankhain na sansain joo raiza raiza hwai tou bikher jain gai ki moot sai yeh bhi mar jain gai khuwab martai nahi khuwab tou rooshni hain nawa hain hawa hain joo kaalai pahaaroon sai ruktai nahi zulm kai doozakhoon sai bhi tai nahi rooshni aor nawa aor hawa kai alam muqtaloon mei pohanch kar bhi jhuktai nahi khuwab tou hurf hain khuwab tou noor hain khuwab suqraat hain khwab mansoor hain |
||
![]() |
@sajjad85 | 2 April 09 |
MOHABBAT ROG HAI JANA Mohabbat ROG hai jana Bada sanjog hai jana Bade Boodhe batatey hein Kaye qisaey sunatey hein Magar hum jaantey kab thay Ye sub kuch mantey kab thay ye batein zikar k qabil Bhalla gerdantey kab thay Ana k takht per bethay Hmein maloom kab tha Tumhari yaad ka gehra samandar jaag utha hai Qalam jab bhi uthao'n mein Ghazal jab gungunao'n mein Mere ander se bus Teri awaz aati hai Qalam jab tujh ko likhta hai Tou bus likhta hi jata hai Yehi liktha hai tere bin Koi lamha nahin guzra Guzarna bhi nahin shayad Humari maut tak jana Mohabbat rog hai jana |
||
![]() |
@sajjad85 | 2 August 09 |
agar kabhi meri yaad aye to chand raaton ki nurm dil geer roshni main kisi sutare ko dekh laina, agar woh nakhle fulaq se urr ker tumhare qudmoon main aa gerai to yeh jaan laina wo isteyara tha mere dil ka.....agar nay aye magar yeh mumkin hi kis terah hai keh tum kisi per nigah dalo to us ki deeware jaan na totte woh apni husti na bhool jay, agar kubhi meri yaad aye guraiz karti huwa ki lahron pe haath rekhna main khushbwoo main tumhain miloonga mujhy gulabon ki pettiyoon main telaash kerna main oos qatroon ke aaiynoon main tumhai milonga, agar sitaron main, oos qatron main, khushbwoon main na paoo mujhe ko to apne qadmoon main deikh leina mein gird hoti mosafton main tumhai milonga kahein pe roshen cheragh dekho to jaan leina keh her pattenge key saath main bhe bikher chuka hoon tum apne hathoo se in pattangoon ke khaak darya main daal deina main khak ben ker samandroon main safar keronga kisi na dekhey howe jezeere pe ruk ke tum ko sadayein donga sumendroon ke safar pe neklo to us jazeere pe bhe uterna = (AMJAD ISLAM AMJAD) |
||
![]() |
@sajjad85 | 4 August 09 |
KASAK Chalo tasleem karte hain Bahot si chaahatein paayii Bahot si raghbatein dekhi Bahot si ulfatein simti Zara si umr mein hum ne Kayii rangon ke pal dekhe Kayii sadiyon ka sukh dekha Kayii mausam naye paaye Zara si umr me humne Jo sab ko mil nahin sakte Vo taare humne paaye the Nazaare hum ne paaye the Sitaare hum ne paaye the Magar vo aik lamha tha Vo kitna sakht lamha tha Kasak jiski nahin jaati Khalish banke jo atka hai Humare dil ko dastaa hai Har aik lamha sadaa pal pal Ke vo hum se jab bichada tha Humey tanhaaiiyaan de kar Humare saare sukh lekar Mita kar saari taabeerein Bhula kar saari taqdeerein Unhi khwaabon ke jo usne Humey pal pal dikhaye the Vo tanha kar gayaa humko Musalsal dagh furqat ka Aik aisa de gayaa hum ko Achaanak aik lamhe mein Judaa jab vo huwa humse Judaa jab vo huwa humse |
||
![]() |
@sajjad85 | 12 August 09 |
Titliyon k mosam main, Nochna ghulabon ka, Reet is nagar ki hay or janay kab say hay. Is shahar k bashinday, Boo k beej nafrat k, Intizar kartay hain,Fasal ho mohabat ki, Chod kar haqeqat ko,Dhondna sarabon ka, Reet is nagar ki hay or janay kab say hay. Tum abi naye ho na,Is liya preshan ho, Asman ki janib, Is tarah say mat dekho, aftain jub ani hon, tootna sitaroon ka, Reet is nagar ke hy or jany kab say hy, ajnbi musafir say, ajnabi fazaoon men, apny her taaluq ka, Daimi samajh laina, Or jab bicharna to, Mangna duaon ka, Reet is nagar ki hay or janay kab say hay... |
||
![]() |
@1sarfraz | 15 August 09 |
Raat abhi tanhaai ki pehli dehleez pay hai, Aur meri jaanib apnay hath badhaati hai, Soch rahi hoon, In ko thaamoon, Zeena zeena sannaton kay teh-khaanon mai utroon, Ya apnay kamray mai thehroon, Chaand meri khidki pr dastak det hai.... By: Parveen Shakir |
||
![]() |
@salamah | 23 June 10 |
YEH MILTIE HE KHUDA KE 'AASHIQO SEE '' . . .NAZM BA'OONWAAN. ZUBAAN -E- ISHQ. ARIFBILLAH HAZR AT -E-AQDAS MOULANA SHAH HAKEEM MUHAMMAD AKHATR SAHEB R.A. DARE RAZE SHRIAT KHOLTIE HE, ZUBAANE ,ISHQ JAB BOLTIE HE. **** KHIRAD MEHWA -E- HAIRAT OOS ZUBAA SE. BAYAAN KARTIE HE JO AAHO FUGHAA SE, **** JO LAFZO SE HOEWE ZAAHIR MA'AANH WOH PAA SAKTE NAHIE DARDE NIHAANIE. ***** MUHABCT DIL KIE KEHTH HE KAHAANI, KAHAA PAA'O GE SADRA BAAZEGHA ME. MAGAR DOLAT YE MILTIE HE KAHAA SE. ***** |
||
![]() |
@salamah | 23 June 10 |
YEH MILTIE HE KHUDA KE 'AASHIQO SEE '' . . .NAZM BA'OONWAAN. ZUBAAN -E- ISHQ. ARIFBILLAH HAZR AT -E-AQDAS MOULANA SHAH HAKEEM MUHAMMAD AKHATR SAHEB R.A. DARE RAZE SHRIAT KHOLTIE HE, ZUBAANE ,ISHQ JAB BOLTIE HE. **** KHIRAD MEHWA -E- HAIRAT OOS ZUBAA SE. BAYAAN KARTIE HE JO AAHO FUGHAA SE, **** JO LAFZO SE HOEWE ZAAHIR MA'AANH WOH PAA SAKTE NAHIE DARDE NIHAANIE. ***** MUHABCT DIL KIE KEHTH HE KAHAANI, KAHAA PAA'O GE SADRA BAAZEGHA ME. MAGAR DOLAT YE MILTIE HE KAHAA SE. ***** |
||


