
![]() |
@sajjad85 | |
Syed Nasir Raza Kazmi, (1925-1972): was a renowned Urdu poet of Pakistan. He was one of the greatest poets of this era, especially in the use of ista'aaray and chhotee beher. Kazmi was born on December 8, 1925 at AmbalainBritish India. He was educated at Ambala,Simlaand La . He returned to Ambala in 1945 and started looking after his ancestral land. After the creation of Pakistan in 1947, he came toLa . He did some journalistic work withAuraq-e-Nauas an editor and became editor-in-chief of the magazineHumayunin 1952. Later he was associated withRadio Pakistan, La and other literary publications and organizations. Nasir Kazmi started his poetic life in 1940 by following the style of Akhtar Sherani and wrote romantic poems and sonnets. Laterhe began writing ghazals under the guidance of Hafeez Hoshyarpuri. He was a great admirer of Mir Taqi Mir and probably the melancholy and Ehsaas-e-Mehroomi in his poetry was a direct result of that. His tutor in poetry was Hafeez Hoshyarpuri, who himself used a lot of symbols from nature in his poems. 'Yaad ke benishan jazerun se Teri awaz arahi hai abhi...' Nasir, few days before his death, said in a TV interview by Intezaar Hussain, that 'horse riding, hunting, wandering in a village, walk along the river side, visiting mountains etc were my favourite pastimes and probably this was the time when my mind got nourishment for loving nature and getting close to the expression of poetry. All my hobbies are related with fine arts, like singing, poetry, hunting, chess, love of birds, love of trees etc... i started poetry because I used to reflect that all the beautiful things those I see, and those in nature are not in my hands, and they go away from me. Few moments, that time which dies, cannot be made alive. I think can be alive in poetry, that is why I (Nasir) started poetry!' Nowadays, very few people may remember that Nasir used to hum his poetic verses and that humming had much attraction in it. 'Phir kaga bola ghar ka suna angan mei Rut ayi peeley phulun ki, Tum Yad Aye...' He migrated from Ambala, India to La Pakistan in August 1947. He also worked as a Staff Editor in Radio Pakistan. He used tosit at Tea House and wander at Mall Rd, La with his friends. He was fond of eating, wandering and enjoying life. Normally people take him as a sad poet but most of his poetry is based on romantic happiness and the aspect of hope. 'Yaas mei jab kabhi aansu nikla Ik nayi aas ka pehlu nikla' His last four books tragically were published after his death. He died in La on March 2, 1972 due to stomach cancer. Few people know that he did some great translations of English poets, especially his translation of Walt Whitman's Crossing Brooklyn Ferry by the title of Brooklyn Ghaat Ke Paar is a real masterpiece and worth reading. |
||
25
Replies
3757
Views
0 Bookmarks
|
Page #: 1/2 |
![]() |
@sajjad85 | 8 June 10 |
Books: *.Barg-e-Nae(1952) *.Deewaan(1972) *.Pehli Baarish(1975) *.Nishat-e-Khwab(Collection ofnazms, 1977) *.Sur Ki Chhaya(Manzoom Drama, Katha 1981) *.Khushk Chashme ke Kinare (Prose, 1982 edited by Hassan Sultan Kazmi, New Edition 1990, essays, radio features, dialogues, editorials, last interview etc) *.Nasir Kazmi Ki Dairy (Chand Pareshan Kaghaz)(Autobiography, 1995 compiled by Hassan Sultan Kazmi) *.Intekhab-e-Meer(poetry 1989) *.Intekhab-e-Nazeer(poetry 1990) *.Intekhab-e-Wali Dakni(poetry 1991) *.Intekhab-e-Insha (poetry 1991) *.'Intekhabs' of other poets courtesy: wikipedia.Org |
||
![]() |
@sajjad85 | 8 June 10 |
WOH SAHILON PE GANE WALE KYA HOWE... woh kas**tiyaan jalane wale kiya howe... Voh Subh Aate Aate Rah Gaye Kahan Jo Kafle Thay Aane Vale kya Hove Main Unki Rah Dekhta Hoon Raat Bhar Voh Roshni Dikhane Vale Kya Hove Yeh Kaun Loag Hain Mere Idhar Udhar Voh Dosti Nibhane Vale Kya Huey Yeh Aap Hum Tou Bojh Hain Zameen Ka Zameen Ka Bojh Uthaney Valey Kya Huey Vo Sahilon Pay Ganey Valey Kya Huey Vo Kashtiyan Jalaney Valey Kya Huey Written in 1971..When Bangladesh became a separate nation .He was sad so he wrote this poem in nostalgiac mode. |
||
![]() |
@sajjad85 | 8 June 10 |
Dil Dharakne Ka Sabab Yaad Aaya Woh Teri Yaad Thi, Ab Yaad Aaya Aaj Mushkil Tha Sanbhalna, Aye Dost Tu Museebat Mein Ajab Yaad Aaya Din Guzara Tha Bari Mushkil Se Phir Tera Wada Shab Yaad Aaya Tera Bhoola Huva Pemaan-e-Wafa Marr Rahein Gey, Ager Ab Yaad Aaya Phir Kayi Loog Nazar Se Guzre Phir Koi Shehr-e-Tarab Yaad Aaya Haal-e-Dil Hum Bhi Sunate They, Lakin Jab Woh Rukhsat Huva , Tab Yaad Aaya Beth Kar Saye Gul Mein , Nasir Hum Bohot Roye Woh Jab Yaad Aaya. |
||
![]() |
@sajjad85 | 8 June 10 |
Dil mein Ik Lehr Si Utthi Hai Abhi.. Koi Taza Hava Chali Hai Abhi Shor berpa hai Khana-e-Dil mein .. Koi Divar Si Giri hai Abhi Kuch tou nazuk Mizaj hai Hum bhi .. Aur ye Chout Bhi naye hai Abhi Ji jalaney dey Hamnafs kay Mujhay .. Fursat hai Nala-e-shab hai Abhi Bhari Dunya main ji nahin lagta .. Janey Kis cheez ki kami hai abhi Tu shareek-e-sukhan nahin hai tou kya .. Hum sukhan Teri Khamushi Hai abhi Yaad kay benishan Jazeeron say .. Teri Aawaz Aarahi Hai abhi Shehr Ki Becharagh galiyon mein .. Zindagi tujh ko Dhoondhti hai abhi Sou Gaye Loag Iss haveli kay .. Ik Khirki magar khuli hai Abhi Tum tou yaaron abhi say Uthh Bethay .. Shehr mein raat Jagti hai abhi Waqt Acha bhi aaye ga Nasir .. Gham na ker Zindagi Pari hai abhi |
||
![]() |
@sajjad85 | 8 June 10 |
aaj to be-sabab udaas hai jii ishq hotaa to ko_ii baat bhii thii jalataa phirataa huu.N kyuu.N do-paharo.n me.n jaane kyaa chiiz kho ga_ii merii vahii.n phirataa huu.N mai.n bhii Khaak ba-sar is bhare shahar me.n hai ek galii chhupataa phirataa hai ishq duniyaa se phailatii jaa rahii hai rusvaa_ii ham_nashii.n kyaa kahuu.N ke vo kyaa hai chho.D ye baat niind u.Dane lagii aaj to vo bhii kuchh Khaamosh saa thaa mai.n ne bhii us se ko_ii baat na kii ek dam us ke haath chuum liye ye mujhe baiThe baiThe kyaa suujhii tuu jo itanaa udaas hai 'Nasir' tujhe kyaa ho gayaa bataa to sahii |
||
![]() |
@humma | 8 June 10 |
grt info thnks.
|
||
![]() |
@sajjad85 | 10 June 10 |
'Nasir' kya kahta phirta hai kuch na suno to behtar hai diwana hai diwane k mun na lago to behtar hai kal jo tha wo aj nahi jo aj hai kal mit jayega rukhi-sukhi jo mil jaye shukr karo to behtar hai kal ye tab-o-tawan na rahegi thanda ho jayega lahu nam-e-Khuda ho jawan abhi kuch kar guzro to behtar hai kya jane kya rut badle halat k koi thik nahi ab k safar main tum bhi hamare sath chalo to behtar hai kapre badal kar bal bana kar kahan chale ho kis k liye rat bahut kali hai 'Nasir' ghar main raho to behtar hai |
||
![]() |
@sajjad85 | 11 June 10 |
araish-e-khayal bhi ho dilkusha bhi ho wo dard ab kahan jise ji chahta bhi ho ye kya k roz ek sa gam ek si ummid is ranj-e-bekhumar ki ab inteha bhi ho ye kya k ek taur se guzre tamam umr ji chahta hai ab koi tere siwa bhi ho tute kabhi to khwab-e-shab-o-roz ka tilism itne hujum main koi chehra naya bhi ho diwngi-e-shauq ko ye dhun hai in dinon ghar bhi ho aur be-dar-o-diwar sa bhi ho juz dil koi makan nahi dahar main jahan rahzan ka khauf bhi na rahe dar khula bhi ho har zarra ek mahmil-e-ibrat hai dasht ka lekin kise dikhaun koi dekhta bhi ho har shay pukarti hai pas-e-parda-e-sukut lekin kise sunaun koi hamnawa bhi ho fursat main sun uftagi-e-guncha ki sada ye wo sukhan nahi jo kisi ne kaha bhi ho baitha hai ek shakhs mere pas der se koi bhala-sa ho to hamain dekhta bhi ho bazm-e-sukhan bhi ho sukhan-e-garm k liye taus bolta ho to jangal hara bhi ho |
||
![]() |
@sajjad85 | 12 June 10 |
dil dharakne ka sabab yad aya wo teri yad thi ab yad aya aj mushkil tha sambhalna ai dost tu musibat main ajab yad aya din guzra tha bari mushkil se phir tera wada-e-shab yad aya tera bhula hua paiman-e-wafa mar rahenge agar ab yad aya phir kai log nazar se guzre phir koi shahar-e-tarab yad aya hal-e-dil ham bhi sunate lekin jab wo rukhsat hue tab yad aya baith kar saya-e-gul main 'Nasir' ham bahut roye wo jab yad aya |
||
![]() |
@z_haidar | 12 June 10 |
Hmmmmm...bohot khoob sajja.. ![]() |
||
![]() |
@sajjad85 | 16 June 10 |
Jenaab Nasir Kazmi really b0hat khoobsurat shayri karta thy. Men tou fan hokgaza unka @zH.
|
||
![]() |
@sajjad85 | 16 June 10 |
] One of my favourites hoti hai tere nam se wahshat kabhi kabhi barham hui hai yun bhi tabiyat kabhi kabhi ai dil kise nasib ye taufiq-e-iztirab milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi tere karam se ai alam-e-husn-e-afrin dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi kabhi dil ko kahan nasib ye taufiq-e-iztirab milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi josh-e-junun main dard ki tugyaniyon k sath ashkon main dhal gai teri surat kabhi kabhi tere qarib rah k bhi dil mutmain na tha guzri hai mujh pe bhi ye qayamat kabhi kabhi kuch apna hosh tha na tumhara khayal tha yun bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi ai dost ham ne tark-e-muhabbat k bawajud mahsus ki hai teri zarurat kabhi kabhi |
||
![]() |
@z_haidar | 16 June 10 |
Hmmmmmm...nice yar sajjo, main to tera fan ho giya...bohot ummmda poetrys post ki hai... ![]() |
||
![]() |
@sajjad85 | 18 June 10 |
Zarra nawazi hy ap ki @zee bhai
|
||
![]() |
@sajjad85 | 18 June 10 |
kisi kali ne bhi dekha na ankh bhar k mujhe guzar gai jars-e-gul udas kar k mujhe main so raha tha kisi yad k shabistan main jaga k chor gaye qafile shahar k mujhe main ro raha tha muqaddar ki sakht rahon main ura k le gaya jadu teri nazar ka mujhe main teri dard ki tugyaniyon main dub gaya pukarte rahe tare ubhar ubhar k mujhe tere firaq ki raten kabhi na bhulengi maze mile inhin raton main umr bhar k mujhe zara si der thaharne de ai gam-e-duniya bula raha hai koi bam se utar k mujhe phir aj ai thi ik mauj-e-hawa-e-tarab suna gai hai fasane idhar-udhar k mujhe |
||
![]() |
@z_haidar | 18 June 10 |
Hmmmmm.. ![]() ![]() ![]() |
||
![]() |
@sajjad85 | 19 June 10 |
kitna kam karenge ab aram karenge tere diye hue dukh tere nam karenge ahal-e-dard hi akhir khushiyan am karenge kaun bacha hai jise wo zer-e-dam karenge naukari chor k Nasir apna kam karenge |
||
![]() |
@sajjad85 | 22 June 10 |
kuch to ehsas-e-ziyan tha pahle dil ka ye hal kahan tha pahle ab to manzil bhi hai khud garm-e-safar har qadam sang-e-nishan tha pahle safar-e-shauq k farsang na puch waqt beqaid-e-makan tha pahle ye alag bat k gam ras hai ab is main andesha-e-jan tha pahle yun na ghabraye huye phirte the dil ajab kunj-e-aman tha pahle ab bhi tu pas nahi hai lekin is qadar dur kahan tha pahle dere dale hain bagolon ne jahan us taraf chashm-e-rawan tha pahle ab wo dariya na basti na wo log kya khabar kaun kahan tha pahle har kharaba ye sada deta hai main bhi abad makan tha pahle kya se kya ho gai duniya pyare tu wahin par hai jahan tha pahle ham ne abad kiya mulk-e-sukhan kaisa sunsan saman tha pahle ham ne bakhshi hai khamoshi ko zuban dard majbur-e-fugan tha pahle ham ne roshan kiya mamur-e-gam warna har simt dhuan tha pahle gam ne phir dil ko jagaya 'Nasir' khanabarbad kahan tha pahle |
||
![]() |
@i_am_ur | 22 June 10 |
brlnt clctn @saj , bahot nyc poetry ![]() |
||
![]() |
@sajjad85 | 22 June 10 |
Thanks bro.. Apka z0q hai ye ke apko collection atcha laga.
|
||


