
![]() |
@tehzeeeb | |
Parveen Shakir is my favorite Poet may be u guys dont agree with me but,She has given the most beautiful female touch to Urdu poetry she is a gr8 poet. friends plz. express ur tribute to her and post here Parveens contribution. Thanx |
||
147
Replies
9661
Views
0 Bookmarks
|
Page #: 1/8 |
![]() |
@tehzeeeb | 11 December 09 |
paa-ba-gil sab hai.n rihaa_ii kii kare tadabiir kaun dast-bastaa shahar me.n khole merii zanjiir kaun [rihaa_ii = freedom; tadabiir = solution/way] [dast-bastaa = tied hands] meraa sar haazir hai lekin meraa munsif dekh le kar rahaa hai mere fard-e-jurm kii tahariir kaun [munsif = judge; fard-e-jurm = tale of guilt] [tahariir = writing] aaj darvaazo.n pe dastak jaanii pahachaanii sii hai aaj mere naam laataa hai merii taaziir kaun [taaziir = punishment] niind jab Khvaabo.n se pyaarii ho to aise ahad me.n Khvaab dekhe kaun aur Khvaabo.n ko de taabiir kaun [ahad = era/times] ret abhii pichhale makaano.n kii na vaapas aa_ii thii phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamiir kaun [lab-e-saahil = on the s line; taamiir = construct] saare rishte hijrato.n me.n saath dete hai.n to phir shahar se jaate hue hotaa hai daaman_giir kaun merii chaadar to chhinii thii shaam kii tanhaa_ii ne beridaa_ii ko merii phir de gayaa tashahiir kaun dushmano.n ke saath mere dost bhii aazaad hai.n dekhanaa hai khe.nchataa hai mujh pe pahalaa tiir kaun |
||
![]() |
@nasheen1 | 11 December 09 |
tahzeeb sis u hit sixer i luv too Parveen poetry...i aslo thwt to post the topic of Parveen Shakir 's poetry.but u did 1st.. Best wishes 4 u...
|
||
![]() |
@bhola | 11 December 09 |
mujhe bhi P.shakir ki shairy achai lagtee hai tehzeeb sis shukria shandar topic add karne ka... ![]() |
||
![]() |
@nasheen1 | 11 December 09 |
~--IKHTIYAR KI EK KOSHISH--~ Agar ban may rahna muqaddar hy, Aur ye aik tay shuda amar b hy, Kah har ban may bas bhediye muntazir hen mary, To yeh sochti hn, Kah is soorat e hal mey, Kun na phir! Apni marzi kay jangal may ja basoon!.... |
||
![]() |
@tehzeeeb | 12 December 09 |
Thnx,BB,Nasheen sis, aap nay bhi bohat hi khoubsorat poem post ki hai thnx for sharing. |
||
![]() |
@tehzeeeb | 12 December 09 |
dasht-e-shab par dikhaa_ii kyaa dengii silavaTe.n roshanii me.n ubharengii ghar kii diivaare.n mere jaane par apanii tanhaa_iyo.n ko sochengii u.Ngaliyo.n ko taraash duu.N phir bhii aadatan us kaa naam likkhengii rang-o-buu se kahii.n panaah nahii.n Khvaahishe.n bhii kahaa.N amaa.N dengii ek Khushbuu se bach bhii jaa_uu.N agar duusarii nikahate.n jaka.D lengii khi.Dakiyo.n par dabiiz parde ho.n baarishe.n phir bhii dastake.n dengi |
||
![]() |
@tehzeeeb | 13 December 09 |
Ek omer k baad iss ko dekha Aankhon main sawal thy hazaraoo Hountoo per mager wohi Tabssum Chehray per likhi howi Udaasi Lehjay main mager billaaa ka tehraaoo Awaaz main Gounjete Juddae Baanhain thy magger Wisal-e-Saman Simtee howu oss k bazoouoo main taveer main Sochta rha tha kis Aber greeza pa ki khater main kaisayshajer say kut geya kis Chaaoun ki tarek ker diya main iss k galay lagay howa tha wo ponch rha tha meray Aansoo Liken bari Dair ho chuki thi |
||
![]() |
@tehzeeeb | 14 December 09 |
kiya baat hai jiska ghum bohat hai kuch din se ye ankh num bohat hai mil leta hai guftugo ki had tak itna hi tera karam bohat hai gher ap hi jagmaga uthe ga dehleez pe ek kadam bohat hai mil jaye ager teri rafakat mujh ko yehi janam bohat hai kiun bujhne lage chragh mere ab k tu hawa bhi kam bohat hai chup kiyon tujhe lag gaye perween sunte the tujh mein num bohat hai |
||
![]() |
@kaainat | 14 December 09 |
nice ![]() |
||
![]() |
@nasheen1 | 14 December 09 |
Fantastic..... Tehzeeb nyc poetri aap ne share ki
|
||
![]() |
@nasheen1 | 14 December 09 |
kainat tarif se kaam nhi chaly ga aap ko b is topic me shirkat karni hogi......
|
||
![]() |
@tehzeeeb | 15 December 09 |
thank you for liking nasheen,kaiynat ![]() |
||
![]() |
@tehzeeeb | 15 December 09 |
youn hosla Dil nay hara kab tha Surtaan mera sitara kab tha lazem tha guzerna Zindge say bin zaher pieay Guzara kab tha kuch pel Ossay Or dekh saktay Aashkoo ko mager Gawara kab tha Hum khud bhi Judie ka Sabeb thy oss ka hi Kasoor sara kab tha Aab or k Sath hai to kya dukh Phely bhi koi humara kab tha Ek naam pa zakhem khul Utthay thy Qatil ki traf Ashara kab tha Aieay Ho to Roshni howi hai iss baam pa koi tara kab tha dekha howa gaher tha per kisi nay Dulhen ki trah Sunwara kab tha |
||
![]() |
@tehzeeeb | 17 December 09 |
ab kaisi parda daari , khabar aam ho chuki maa ki rida tu din howe neelam ho chuki ab aasmaa.n sey chadar-e shab aay bhi tu kiya be-chadari zameen pe ilzaam ho chuki ujrey howe diyaar pe phir kyu nigah hai is kasht pe tu barish-e ikraam ho chuki soraj bhi us ko dhondh k wapas chala gaya ab hum bhi ghar ko lout chalain shaam ho chuki shimley sanbhaltey hi rahey maslehat passand hona tha jis ko piyaar main bad-naam ho chuki aankhain hain a ur subha talak tera intezaar mishal bad'dast raat terey naam ho chuki koh-e nida sey bhi sukhan utrey agar tu kiya na-sameoo.n main hurmat-e ilhaam ho chuki |
||
![]() |
@nasheen1 | 17 December 09 |
![]() |
||
![]() |
@kaainat | 18 December 09 |
![]() |
||
![]() |
@tehzeeeb | 19 December 09 |
thanks for liking sis.
|
||
![]() |
@tehzeeeb | 19 December 09 |
dasht-e-shab par dikhaa_ii kyaa dengii silavaTe.n roshanii me.n ubharengii ghar kii diivaare.n mere jaane par apanii tanhaa_iyo.n ko sochengii u.Ngaliyo.n ko taraash duu.N phir bhii aadatan us kaa naam likkhengii rang-o-buu se kahii.n panaah nahii.n Khvaahishe.n bhii kahaa.N amaa.N dengii ek Khushbuu se bach bhii jaa_uu.N agar duusarii nikahate.n jaka.D lengii khi.Dakiyo.n par dabiiz parde ho.n baarishe.n phir bhii dastake.n dengii |
||
![]() |
@ajnabii | 20 December 09 |
wah bhohat khoob thanks you posting
|
||
![]() |
@aadi21 | 21 December 09 |
Subhan Allah ... Mujhe nahi pata ye kis k sher hai.. Bahot hi umda sher hai.... Khuda ne kya salahiyat di . Zindagi hai pehlo . Gazal me bayan karne ki.
|
||


