
![]() |
@shaan92 | |
Mere hamraah manzilen bhi ravaan hai musaafir main huun yaa sara jahaan hai haqeeqat tak rasaaii hi kahan hai yaqeen jis ko samajhte ho, gumaan hai vahanN pahunche jahan jaanaa nahin thaa safar jitnaa kiya, raaigaan thaa vahan main dhundtaa hoon jaavidaani jahan har chiiz be-naam-o-nishaan hai badaltaa hai din bhar meN vo kaii ruup falaq shaayad chiraaghon kaa dhuaan hai ajab aaseb hai ye Khaana-e-dil makiiN hote hue Khaalii makaan hai dahaktaa koylaa hai har harf-e-matlab magar ye koylaa merii zubaan hai mere dil mein chamakte hain sitaare mere andar bhii shaayad aasmaan hai pahunchnaa hai mujhe apne Khudaa tak magar saarii Khudaaii darmiyaan hai ye kis ko chhuu liyaa Shaan maine sakat dil mein ab na haathon mein jaan ha |
||
1
Replies
370
Views
0 Bookmarks
|
![]() |
@sidra21 | 17 March 10 |
![]() |
||


