Prodigits |
! You are not logged in to Prodigits. Please register or login.
* ChanDNagaR > Topics
sajjad85
Chirra or Chirya

ek thee chirya, ek tha chira. Chirya laayee daal ka daana, chira laaya chaawal ka daana. is say khichree pakayee. dono.n nay pait bhar kar khayee. Aapas mai.n itefaq ho tau ek ek daanay kee khichree bhee bohot ho jaatee hay.
Chira baitha oongh raha tha keh is key dil mai.n waswasa aaya keh chaawal ka daana bara hota hay, daal ka daana chotta hota hay.pus doosray roz khichree pakee tau chirray nay kaha is mai.n say chappan hissay mujhay day, chawalis hissay tu lay. aey bhaagwan. pasand kar ya na pasand kar. haqaiq say aankh mat bund kar. chirray nay apnee chonch mai.n say chand nikaat bhee nikaalay or us bibi kay aagay daalay. bibi heraan hoee balkay ro ro kar halkaan hoee keh is kay saath tau mera janam ka saath tha. laikin kya kar saktee thee.
doosray din phir chirya daal ka daana laayee or chirra chaawal ka daana laaya. dono.n nay alag alag hundia charhaaye, khichree pakayee. kya dekhtain hain keh do hee daanay hain. chirray nay chaawal ka daana khaya, chirrya nay daal ka daana khaya. Chirray ko khaali chaawal say paichish ho gayee, chirya ko khaali daal say qabaz ho gayee. dono.n ek hakeem kay paas gaye jo ek billa tha. us nay dono.n kay siro.n per shafqat ka haath phera or pherta hee chala gaya.
dekha tau thay do musht per
yeh kahani bohot puraanay zamanay kee hay. aaj kal tau chaawal export ho jaata hay, or daal mahengi hay. itni keh wo larkiya.n jo maulvi ismail meerthi kay zamanay mai.n daal bhigara kartee thee.n, aaj kal faqat shaikhi bhigartee hain.
(Urdu ki Aakhri Kitaab)
0 Replies 491 Views 0 Bookmarks
topics posts

* ChanDNagaR Forum
fav Bookmarks

* ChanDNagaR


Download PRODIGITS Android APP