
![]() |
@sajjad85 | |
Chand K Tammanaai . shehr-e dill ki galiyoon main shaam sey bhataktey hain chaand k tammanaai be-qarar sodaai dill gudaaz tareeki jaan gudaaz tanhaai roh-o jaan ko dasti hay roh-o jaan main basti hay shehr-e dill ki galiyoon main taak-e shab ki bailoon per shabnameen sarakshoon ki be-qarar logoon nay be-shumaar logoon nay yaad-gaar chorhi hay itni baat thori hay? _ sad-hazaar baatain theen heela-e shakaibaai soratoon ki zaibaai qamatoo.n ki ranaai in siyaah raatoon main aik bhi na yaad aai ja-baja bhataktey hain kis ki raah taktey hain chaand k tammanaai ye nagar kabhi pehley is qadar na weeraan tha kehne waaley kehtey hain qayaa-e nigaraan tha khair apney jeene ka ye bhi aik samaan tha _ aaj dill main weeraani ab'r ban k ghir aai aaj dill ko kya kaheye ba-wafa na harjaai apni wehshat-e dill k bun lieye hain afsaaney khush khayyal duniya nay garmiyaan tu jaati hain wo rutain bhi aati hain jab malool raatoon main dostoon ki baatoon main jee na chain paay ga aur aoub aay ga aahatoo.n sey gonjey gi sheh-e dill ki pehnaai aur chaand raatoon main chandni k shaidaai har bahaane niklain gai aazmaane niklain gai aarzo ki gairaai dhoondh'ne ko ruswaai sard sard raatoon ko zard chaand bakhshey ga be-hisaab tanhaai be-hijaab tanhaai shehr-e dill ki galiyoon main |
||
0
Replies
959
Views
0 Bookmarks
|


