
![]() |
@sajjad85 | |
Insha Jee bohat deen beet chukay tum tanha tha, tum tanha hoo yeah joog bijoog tu theek nahi yeah roog kissi ka acha ho ? kabhi poorab mein, kabhi pacham mein tum purwa ho, tum pachwa hoo? jo nagri nagri bhatkaye aya bhi na mun mein kanta ho kaya aur sabhi choonchal yahaan ? kaya aik tumhee yahaan dukhiya ho kaya aik tumhee par dhoop karee jab sab par sukh ka saya hoo tum kiss jungal kay phool miyaan tum kis bagiyaa ka bayla ho ? tum kis sagar ke lehar bhala tum kis badal ke barkha ho ? tum kis ponam ka ujayaara kis andhee rain ke oosha hoo tum kin hathoon ke mehandi ho tum kis mathay ka teeka ho kiyon shehar taja, kiyon jog liya kiyon wehshi ho, kiyon ruswa ho hum jab daikhain behroop naya hum kaya jannain tum kaya kaya ho ? jab soraj doobay sanjh bhaye aur phail raha andhayara ho kissi saaz ke lay par jhan'an jhan'an kissi geet ka mukhra jaga hoo iss taal pay nachain pairoon mein aik chup chup behtee nadiya hoo ho charoon koot sughandh basee jeevan jangal pehna gajra hoo yeah ambar kay mukh ka anchal ho iss anchal ka rung ooda ho ik goot ro'pehlay taroon kee aur beech sunehra chanda hoo iss sundar sheetal shaant samay haan bolo bolo phir kaya ho ? woh jis ka milna na mumkin woh mil jaye tu kaisa hoo ? kiyon aisay sapnay daikhtay hoo insha jee tum aap bhi sapna ho ik beetain likhtay shayar hoo ik geet ugalte beena hoo yeah battain mein mein woh sochay jo kaya batlyain kaisa ho ? woh jiss kay hat mei kismat kee aik lambee gehree raikha hoo woh shakhas puranay qisoon kaa ik mud'mata shehzada hoo jo shehar ka rasta bhoola ho aur jungal mein aa nikla hoo woh raja kaashi nagree ka woh wali'e bulkh o bukhara ho kuch uss kay taj pay kalghee ho kuch uss ka chand sa chehra ho woh malik mehal ataariyoon ka woh roppay soonay walla hoo ya koye anookha gunn walla woh jiss ka jug mein charcha ho ya koyee sajeela banjara jo nagri nagri ghooma hoo hum nugri nugri ghoomay tu jab niklay thay awara hoo woh landon ho, woh paris ho woh barlun ho, woh roma ho woh kabul ho, woh lanka ho woh sahil seen o rayan ho ya sahit e neel o dajla ho woh jeen ka daish washaal kaheen ya pucham dais amrica ho woh chooti fuji yama kee ya ulpus ka barpad ooncha ho woh chattain gulabi laydan ke ya neela aab janeva ho din astanbool ke galiyoon mein ya sab ke sair praha hoo kuch sourattain theen, kuch mortain theen kauch aur bhi shaid daikha ho jahaan nazrain thereen theetki hoon jahaan dil ka kanta atka hoo par hum ko tu kuch yaad nahi kuch khoya ho, kuch paya ho in batoon mein, in ghatoon mein sajoog ka koye lamha ho hum apnay jo khud aap nahee phir bolo koun humara hoo youn samjhoo shehar saraye mein shab bhar kay liyeah koye utra ho koye pardaisi, koyee saylaani woh jis ka door thikana ho shaam aye sawairay koch kiya jab dhundhla dhundla rasta ho jab dhartee sooni sooni hoo jab anbar pheeka pheeka hoo aik alam tha, kaya alam tha woh sacha hoo, ya jhoota hoo hum apnay aap mein doob gaye khud pathar ban, khud darya hoo jeevan ghaas ka tinka jungle jeevan andhi mein koye pata ho hum kis say kahain, kis toor kahain koye baat humaree samjha hoo! hum uss say millain jo apna hoo hum uss say kahain jo hum sa ho jab yeah bhi nahi, jab woh bhi nahi kaya baat banay, kaya rasta hoo iss zindaan mein koye rozan ho iss gunbad mein darwaza ho aye jogi, aye darwaish qavi kiyon umaar ganwaye ramta ho kiyn tun pay rakh bhaboot mallay tu gorakh naat ka cheela hoo ya porab pucham kuch bhi nahi yeah joog bajoog bhi dhooka hoo jo tujh say juda sab maya hai ya apnay ko gar pana hoo kiyon aur pay jee ko rujhata hai yeah peet ke reet tu phanda ho jo hara jaan say haar gaya jo jeeta woh bhi ruswa ho dhooni na rama, basram na kar bus alakh jaga kar chalta ho tu apna reh, tu apna ban tu insha hai, tu insha hoo |
||
0
Replies
765
Views
0 Bookmarks
|


