
![]() |
@sajjad85 | |
Chal So Chal by: Ibn e Insha __ jis din ki reh daikhi Insha itne barsoon aaj aur kal wo din aaya beet gaya mun phir bhi raha bojhal bojhal phaagan aay sawan aay is dharti ka haal wohi gadla anbr, ujri khaiti, phulwaari main phool na phal kis ko batain mun main humarey maat k ghaao kaise hain aaj k ik duniya ki nazar main aik humain hum hain pagal toota sahas dhundhli beeta rait k todey gaam bagaam waqt ka kora sar sar sar sar cheekh raha hay chal so chal * Aaj to apni aik dagar hay apney sabhi yaaroon sey juda apna jahan apna hi jahan hay ya jaado ka gung mehel is rut main tu aur bhi ujri lagti hay mun ki bagiya kumlaay sabhi gull botey aasha ki lata nainoon k kam'l baagh nay kitni kaliyaan khoeen basti tak pohanchi khushbo aankh sey kitne neer bahey hain daman tak pohancha kajal aq'l nay soda aur kia hay ghataa khaa aur moul ganwa banjaare is raah ko chor, ay banjaarey is painth na chal yaani is bazaar main dill ko ik unti main baich diya is Yousuf k dill ko chahat honi thi is tour saphal sheh'r-e junoo.n sey dasht-e junoon tak kitni musafat thi Insha Aik humain lout aay hain warna yaar gai sab door nikal.. |
||
0
Replies
527
Views
0 Bookmarks
|


