
![]() |
@amanveer | |
Main Shayer Hoon Toa Aksar Laog Mujh Se Poochtay Hain Is Haseen Israar Kay Baray main Batain Toa Bhala Kiya Hai? Muhabbat Akhirish Hai Kiyaa..? Wasi Main Hans Kay Kehta Hoon Kisi Piyasay Ko Apnay Hissay Ka Pani Pilana Bhi.. Muhabbat Hai! Bahnwar Mai Doobtay Ko Sahil Tak Lai Kay Jana Bhi.. Muhabbat Hai! Kisi Kay Wastay Nanhi Si Qurbani.. Muhabbat Hai! Kaheen Hum Raaz Saray Khoal Saktay Hoan Magar Phir Bhi, Kisi Ki Babasi Ko Daikh Ker Khamosh Hojana Bhi Muhabbat Hai! Ho Dil Mai Dard, Veraani Magar Phir Bhi Kisi Kay Wastay Jabran Hi Hoantaon Pe Hansi Lanaa Zabardasti Hi Muskana Muhabbat Hai! Kaheen Barish Mai Sehmay, Bheegtay Billi Kay Bachay Ko Zara Si Dair Ko Ghar Lai Kay Anaa Bhi Muhabbat Hai! Koi Chirya Jo Kamray Mai Bhatakti Aan Nikli Ho Toa Us Chirya Ko Pankhaa Band Kar Kay Rastaa Bahir Ka Dikhlana Muhabbat Hai! Kisi Kay Zakham Sehlanaa Kisi Rotayhuay Dil Ko Behlana.. Muhabbat Hai! Kay Metha Boal, Methi Baat, Methay Lafz, Sab Kiya Hhai? Muhabbat Hai! Muhabbat Aik Hi Bas Aik Hi Insaan Ki Khatir Magan Rehna Hama Waqt Uski Bataon, Khushboan Mai, Dolna Kab Hai Muhabbat Sirf Uski Zulf Kay Bal Kholnaa Kab hai.. Muhabbat Kay Hazaroan Rang Laakhoan Istaaray Hain Kisi Bhi Rang Mai Ho Ye Mujhay Apna Banati Hai Ye Meray Dil Ko Bhaati Hai! |
||
23
Replies
1357
Views
0 Bookmarks
|
Page #: 1/2 |
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
Na rakh Umeed-E-Wafa kisi parindy sey WASI Zara par kiya nikl aein apna hi Aashyana bhool jatey hein |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
Ek aarzoo hai puri parwardigar kare, Men dair se jaon wo mra intzar kre. Apne hathon se sanwarun zlfein uski, Wo shrma kr mhabat ka iqrar kre. Lipat jay mjhse aalm-e-madhoshi men, Or josh-o-janun men mhabat ka izhar kre. Ho shab-e-wisal aesi ya RAB!, K bheegi zulfon se mujhe bedaar kre. Jab use chor k jana chahun Wasi, Wo roke or ik raat ka israr kre, Qasam khuda ki main kisi or ki ho nhi sakti, Ye wada-e-wafa wo bar bar kre. |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kr Lia Us Ne Hmaray Baad B Akhir Guzara Kr Lia Us Ne Hmara Zikr To Us K Labon Par aa Nahin Sakta Hamen Ehsas Hy Hum Se Kinara Kr Lia Us Ne Wo Basti Ghair Ki Basti Wo Koocha Ghair Ka Koocha Suna Hy Ishq B Ab To Dobara Kr Lia Us Ne Suna Hai Ghair Ki Bahon Ko Wo Apna Ghar Samajhta Hai Lagta Hai Mera Ye Dukh Gawara Kr Lia Us Ne Bhula Kr Pyar Ki Qasmen Wo Waday Torh Kr Wasi Kisi Ko Zindagi Se b Pyara Kr Lia Us Ne..!! |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
Kitni saada Kitni pyari Kaanch ki choorhi jesi larhki College k kamry mein bethi Janay kya kuch soch rahi thi Main bhe Oss k pas hee betha Oss ko ghoor se dekh raha thaa Kiya Qissa hai? Main ne pocha? Oss ki ankhein bheeg gaein Dheemi si awaaz mein boli Dekho?.. ? Chorhi toot gai |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
Dosti Ka Dawa Krne Wale Kuch Aise Log Bhi Hein Wasi Jinhein Hum Azeez tou Hein Mgr Apni Masrofiat K Baad. |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hain Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon Magar Junhi Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain Her Ek Muflis K Maathe Per Alum Ki Daastanen Hain Koi Chehra Bhi Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaate Hain Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Tere Kooche Se Ab Mera Taalluq Wajbi Sa Hay Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
tum meri ankh k tewar na bhula paoge ankahi bat ko samjhoge to yad aunga ham ne khushyon ki tarah dukh bhi ikathe dekhe safah-e-zist ko paltoge to yad aunga isi andaz mein hote the mukhatib mujh se khat kisi aur ko likhoge to yad aunga sard raton k mahkate hue sannaton mein jab kisi phul ko chumoge to yad aunga ab tere ashk main honthon se chura leta hun hath se khud inhen ponchoge to yad aunga shal pahnayega ab kaun decembar mein tumhen barishon mein kabhi bhigo ge to yad aunga aj tum mahfil-e-yaran pe ho magrur bahut jab kabhi tut k bikhroge to yad aunga hadse ayenge jiwan mein to tum ho k nidhal kisi diwar ko thamoge to yad aunga is mein shamil hai meri bakht ki tariki bhi tum siyah rang jo pahnoge to yad aunga |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna dua wo karte k ham asman hila dete hamein ye zom raha ab k wo pukarenge unhen ye zid thi k har bar ham sada dete wo tera gam tha k tasir mere lahje ki k jis ko hal sunate use rula dete tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete tumhari yad ne koi jawab hi na diya mere khayal k ansu rahe sada dete samton ko main ta-umr kosta Syed wo kuch na kahte magar honth to hila dete |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
Samandar main utarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain teri aankhoun ko parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain tumhaara naam likhney ki ijaazat chin gayi jub say koi bhi lafz likhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain teri yaadoun ki khushboo khirkiyoun main raqs karti hay teray gham main sulagta hoon tou aankhain bheeg jaati hain main huns k jhail laita hoon judaayi ki sub hee rasmain galey jub us k lagta hoon tou aankhain bheeg jaati hain najaaney hogaya hoon isqadar hassaas main kub say kisi say baat karta hoon tou aankhain bheeg jaati hain woh sub guzrey huay lamhaat mujh ko yaad aatey hain tumhaarey khut jo parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain main saara din bohat masroof rehta hoon magar joonhi qadam chaukhat pay rakhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain hur ik muflis k maathey par alam ki daastaanain hain koi chehra bhi parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain barey logoun k oonchey budnuma or sard mehloun ko ghareeb aankhoun say takta hoon tou aankhain bheeg jaati hain teray koochey say ab mera talluq waajibi sa hay magar jub bhi guzarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain hazaaroun mausamoun ki hukmraani hay meray dil par wasi main jub bhi hunsta hoon tou aankhain bheeg jaati hain!! |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
Chahay tu kam main la, Chahay nikama kar day Main tera hoon, teri marzi mujhay jaysa karday Main tera bemar hoon azloon say, Na mar jawoon kahieen Ek nazar dekh lay mujh koo mujhay acha kar day.!!!!!! Mujh say bas itni he khuwahish meray maleek ke hay Es k dil ko main Lubha don mujhay aysa karday.!!!! Jo tera ho ga zamanay say wo kat jaye ga Tu to jis shaks ko chahyee tanha kar day Ayesa noor ayee k dunia mera chehra dekhay.!!! Tu jo perlkoon ka meray Chehray pay saya kar day Wo khuda tujh say faqeeroon ke tu sun layta hay Us say kehna k mujhay ishq main Ruswa karday.! Mujh ko deta hay wo ezat, yeh karam hay uska Teray bas main ho agar tu mujhay Ruswa karday |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
Mohabbat Farz Jaisi Hai Nibhaana Seekh Jaoge Dilo Pe Qarz Jaisi Hai Chukaana Seekh Jaoge Labo Pe Phool Jaisi Hai Khilaana Seekh Jaoge Nazar Mein Aag Jaisi Hai Lagaana Seekh Jaoge Tum Tak Faasla Jo Hai Mitaana Seekh Jaoge Kabhi Jo Dil Mein Aa Beithe Zamaana Bhool Jaoge |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
Shehr-e-Muhabbat hijr ka mousam,ehed-e-wafa or mein Tu to is basti se khush khush chala gaya , or mein ?? Tu jo na ho to jaise sab ko chup lag jati hai Apas mein kya batein kertey raat, diya or mein Sair-e-chhaman adat thi pehley ab majboori hai Teri talash mein chal pertey hein bad-e-saba or mein Jisko dekho teri hava mein pagal phirta hai Werna hum mashrab to nahi they khalq-e-khuda or mein Aik to wo humraaz mera hai phir tera maddah Bas tera hi ziker kia kertey hein Zia or mein Aik zamaney bad Faraz ye shair kahey meine Ik muddat se miley nahi hein yaar mera or mein |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
Abhi tu ishq mein aisa bhi haal hona hai K ashk rokna tum sa mahaal hona haai Har aik lab per hain mere wafaa k afsanay Teray sitam ko abhi la-zawaal honaa hai Tumhein khabar hi nahin,tum to lot jao ge, Tuhare hijar mein aik lamha saal hona hai. Humari rooh pe jab bhi azaab utrein ge, Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hai. Kabhi to roye ga wo bhi kisi ki bahon mein, Kabhi to uski hansi ko zawaal hona hai. Mile gi hamko bhi apne naseeb ki khushiyan, Bas intazar hai kab ye kamal hona hai. Har ek shakhs chalay ga humari raahon par, Muhabaton mein humain wo misaal hona hai. Zamana jiske kham-o-paich mein ulajh jaye, Humari zaat ko aisa sawal hon hai.. Yaqeen hai mujh ko k wo lot aaye ga, Usay bhi apne kiye ka malaal hona hai |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
Jane kis cheez ki wo mujhko saza deta hai, meri hansti huyi aankhon ko rula deta hai, Kis tarah baat likhun dil ki usse, wo aksar, doston ko mere khat padh ke suna deta hai, Saamne rakh ke nigaahon ke wo tasveer meri, apne kamre ke charaaghon ko bhuja deta hai, Muddaton se to khabar bhi nahi bheji usne, uski aadat hai wo apno ko bhula deta hai |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do, Har lamha mar ke aaj phir jee jaane do, Isse mahobbat ne dil ko aaj phir dhadkaya hai, Mujhe ishq ki baaho mein so jaane do, Tadap ki aag hai judaai ki baahon mein, Mujhe aaj iss mohabbat se mil jaane do, Meri saans chalti hai tere naam ki aahat pe, Mujh benaam ko iss naam mein kho jaane do, Kasam tujhe chalne wali hawaon ki meh , Mujhe iss mohabbat ki aag mein jal jaane do |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Hoga. Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Hoga. Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hogi. Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Hoga Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy. Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Hoga. Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoga. Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho Gi Tujhy. Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Hoga. Hoo Kay Nidhal Mere Yadoon Say Tuu Nay Jana. Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoga. Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab. Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chhupaya Hoga |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
Mohabbat phir mohabat hai? Kabhi dil se nhi jaati, Hazaron rang hain is k, Ajab hi dhang hain is k, Kabhi sehra, kabhi darya, Kabhi jugnu, kabhi aansu, Hazaron roop rakhti hai, Badan jhulsa k jo rakh day, Kabhi wo dhoop rakhti hai, Kabhi ban ker ye ek jugnu, Shab-e-gham k andheron mein, Dilon ko aas deti hai, Kabih manzil kinaarey per, Piyasa maar deti hai, Azziyat hi azziyat hai, Magar ye bhi haqiqat hai, Mohabat phir mohabat hai, Kabhi dil se nhi jaati?. |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
Tumhain Janan Ijazat Hai K in Tareek Rahon Par Thakan Si Khud Mein Pao to Andheron Se Kabhi Dil Dol Jae Thak Si Jao To Mere Jalte Hue Lamhon Mere Bekangal Hathon Se ChOra K Apne Hathon Ko Fiza Ki Naghmagi Se tum Nae Geeton Ko Chun Lena Haseen Palkon Ki Nokon Par Nae Khawab Bun Lena Koi Gar Pooche Mera To Usse Zikar Mat Karna Mere Jeevan Ki Jalti Dopahar Se Begharz Ho Kar Tum Apni Chandni Raton Mein Jugnoo Palti Rehna Meri Tanhaiyon Ki Wehshaton Ki Fikar Mat Karna Tumhein Is Ki Ijazat Hai Mere Sab Khat Jala Dena Mere Tohfoon Ko Darya Mein Baha Dena Meri Har Yad Ko Dil Se Khurachna Or Mita Dena Tumhain Bilkul Ijazat hai K Jab Chaho Bhula Dena Magar Itni Guzarish Hai Agar Aisa Na ho Janan To Acha Hai Na !! |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
Eik Masoom Takaddus Me Bhigoya Huwa Lams, Kitna Pakiza Hay Ehsas Me Dhoya Huwa Lams. Ye Tere Ki Khushbu Ka Sonehra Ehsas, Jis Terha Chand K Haaley Me Paroya Huwa Lams. Us K Hontoon Ko Me Chhu Loon To Gumaan Hota Hay, Jese Jannat K Gulaboon Me Daboya Huwa Lams. Jo Meri Rooh Me Utrey He Chale Jaate Ho, Ik Nae Rang Me Ubhrey Ga Ye Boya Huwa Lams. Bhegi Khusbo Mae Basa, Wasl Me Bhega Bhega, Kitna Masoom Hay Pehlo Me Ye Soya Huwa Lams. Tishnagi Aan Basi Hay Meri Pooroon Me WASI, Dhondta Phirta Hun Muddat Se Main Khoya Huwa Lams. |
||
![]() |
@hamza21 | 20 February 12 |
Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hain Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon Magar Junhi Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain Her Ek Muflis K Maathe Per Alum Ki Daastanen Hain Koi Chehra Bhi Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaate Hain Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Tere Kooche Se Ab Mera Taalluq Wajbi Sa Hay Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain |
||


