@hamza21 | ||
Akely pan se darti hoon juda honay se darti hoon, Meri ankhein batati hain ke main sonay se darti hoon, Meri ungli pakar lena mujhe tanha nahi karna, Ye duniya ek mela hai tumhain khonay se darti hoon, Main hasti hon to ankhon k goshay bheeg jatay hain, Tumhein maloom hai main is tarha ronay se darti hoon, Jab se khwab dekha hai mujhe tum chor jaogy, Main darti hon khwabwon se main ab sonay se darti hoon... |
||
115
Replies
7512
Views
2 Bookmarks
|
Page #: 1/15 |
@hamza21 | 26 January 11 | |
Itna piyar say chaha jaye to pather b apne ho jate hain faraz, Na jane ye fani insan itna ana parast kion hay.. |
||
@hamza21 | 26 January 11 | |
wo jo khud pairv-e-ehd-e-wafa krta tha, mujse milta tha to talqeen-e-wafa krta tha, us k daman me koi phool nahi mery liye, jo meri tangi-e-daman ka gila krta tha, aaj jo usko bulaya to wo gumsum hi raha, dil dhrkny ki jo awaz suna krta tha, aaj wo meri har ik baat k ma'ani pochy, jo meri soch ki tafseer likha karta tha, uski dehleez pe sadyon se khara hoon, mohsin, mujse milne k jo lamhat gina karta tha. |
||
@amnveer | 26 January 11 | |
Wah bhra
|
||
@amnveer | 26 January 11 | |
kitabo mere fasane dhundte hain..nadan hain gujre jamane dhundte hain.. jb wo thai talash e zindgi b thi.. ab toh maut k thikane dhundte hain.. kal khud he nikala tha apni mehfil se.. ab hue se wo diwane dhundte hain.. musafir bekhbr hai teri ankho se.. tere shehr mein maikhane dhundte hain.. tujhe kya pata ae sitm dhane wale..ham toh rone k bahane dhundte hain.. unki ankho ko yu na dekho FARAZ..naye teer hai nishana dhundte hain.
|
||
@hamza21 | 26 January 11 | |
Wohi raaton ki bedaari hai ab tak, Tamanna ka safar jaari hai ab tak, Khayal e zabt aur tark e talluq, Yehi pathar bohat bhari hai ab tak, Akeli chandni raaton main dil ko, Sulag uthney ki beemari hai ab tak, Abhi pichley dinon jo ham pe guzri, Ussi rut ka nasha tari hai ab tak, Badan se ho k jo roohan main utri, Ussi qurbat ki sarshari hai ab tak, Main hijrat kar to loon chaman sy ,,wasi,, Par parindon se meri yaari hai ab tak.. |
||
@amnveer | 26 January 11 | |
yan toh tabeer bta do mere sab khwbo ki..yan koi khwab in ankho ko dikhaya na karo.. tum kisi aur ki kismat mein ho , tum meri nahi..ye agar sach b hai toh muje btaya na karo
|
||
@hamza21 | 26 January 11 | |
Talism e ishq tha sab us k sath hone tak, Khayal e dard na aaya nijaat honey tak, Mila tha hijar k rastay main subha manind, Bichar gaya tha musafir say raat honey tak, Ajeeb rang badalti hay us ki nagri b, Har ik nehr ko dekha faraat honey tak, Wo iss kamaal se khelta tha ishq ki bazi, Main apni fatah samajta tha maat honey tak, Main usko bhoolna chahu to kya karon, Wo mujh main zinda hai khud meri zaat honey tak.. |
||
@amnveer | 26 January 11 | |
ukh fasana nahi k tujh se kahen..dil bhi mana nahi k tujh se kahen.. aaj tak apni bekhyali ka sabab..khud b jana nahi k tujh se kahen.. ek tu harfashana tha magar ab zamana nahi k tujhse kahen..be tarha dil hai, aur tujh se dostana nahi k tujh se kahen.. ai khuda dard e dil hai bakhshish e dost.. ab o dana nahi k tujh se kahen
|
||
sufi Forum
Bookmarks
sufi