
![]() |
@imakshay | |
HOUSHE FULL (30th aprill)- sajid khan ne film ke starts me 1970s aur 1980s ke hamare chahete directers ko samarpit kiya hai, jinhone comercial cinema ko badhava dete huye HOUSHE FULL ke mayno ko sarthak banaya hai, jaise Manmohan desai , prakash mehra aur feroz khan. Housefull se darshak kewal do chizo ki ummid kar sakte hai comedy aur unlimited intertainment. Chahe wo kalpanik hi kyo na ho Housefull title hi hame ek dramatic duniya ki yaad dilati hai. Ye kahani hai Aarush(akshay kumar) ki jo duniya ka sabse unluckyt insaan hai , aur use viswas hai ki agar use sachcha pyar mil jayega to uski sari peresaniya dur ho jayengi. Isliye wo amir aur successfull bussinessman kishor kamat(randhir kapur) ki beti(jiya khan) se shadi karta hai jabki mady(dipika) arush se pyar karti hai. Aur lara dutta bhi arush se shadi karna chahti hai. Ye sabhi ek hi ghar(house) me rahte hai, arush ki life me complications tab aati hai jab mady ka bhai major krishna(arjun rampal) aur lara k dady mr.patel(boman irani) bhi usi ghar me aa jate hai. Arush aur uska buddy(ritesh) is problem ko kaise solve karenge? Shanker ehsan loy ka music achcha hai. Hey baby ki tarah iske bhi climax me dramatic moments piroye gaye hai. Film ke comedy factor damdar hai aur agar film ki likhawat bhi utni hi achchi hoti to bat ban sakti thi. Actors ka abhinay natural hai khaskar arjun rampal ka. Dipika padukone ne OSO aur love aaj kal ke baad fir surprise kiya hai. Kul milakar housefull un logo ko pasand aani chahiye jine hey baby, golmal returns aur kambakht ishq achchi lagi ho, my ratings for housefull is **** ( 4stars out of 5stars)- by TARAN ADARSH. |
||
0
Replies
234
Views
0 Bookmarks
|


