
![]() |
@sohel77 | |
Dosto is topic me hum mashhur shayer ALLAMA IQBAL ki ghazle, najmen,dua ashar post kar sakte hain.unke bare me kuch malumat hai wo is tarah hai. SIR MOHAMMAD IQBAL Sir Muhammad Iqbal (Urdu) born ( November 9, 1877 April 21, 1938) was a Muslim poet and philosopher born in Sialkot , British India (now in Pakistan ), whose poetry in Urdu and Persian is considered to be among the greatest of the modern era ,[1 ] and whose vision of an independent state for the Muslims of British India was to inspire the creation of Pakistan. He is commonly referred to as Allama Iqbal (, Allama lit . Scholar). After studying in England and Germany , Iqbal established a law practice, but concentrated primarily on writing scholarly works on politics , economics , history , philosophy and religion. He is best known for his poetic works, including Asrar -e -Khudi which brought a knighthood Rumuz -e -Bekhudi , and the Bang -e - Dara , with its enduring patriotic song Tarana -e -Hind . In Afghanistan and Iran, where he is known as Iqbl -e Lhor ( Iqbal of La ) , he is highly regarded for his Persian works. Iqbal was a strong proponent of the political and spiritual revival of Islamic civilization across the world, but specifically in India ; a series of famous lectures he delivered to this effect were published as The Reconstruction of Religious Thought in Islam . One of the most prominent leaders of the All -India Muslim League, Iqbal encouraged the creation of a state in northwestern India for Indian Muslims in his 1930 presidential address. [2 ] Iqbal encouraged and worked closely with Muhammad Ali Jinnah, and he is known as muf*akir- e- Pakistan ( The Thinker of Pakistan) , Shair -e -Mashriq ( The Poet of the East) , and Hakeem- ul-Ummat (The Sage of the Ummah ) . He is officially recognised as the national poet in Pakistan. The anniversary of his birth (Ym -e Weldat- e Muammad Iqbl) on November 9 is a holiday in Pakistan. |
||
29
Replies
1357
Views
0 Bookmarks
|
Page #: 1/2 |
![]() |
@aysha111 | 15 May 11 |
I like him so much. . .particulerly i like his poem ''lab pe aati hai dua banke tamanna meri''
|
||
![]() |
@rahebar | 16 May 11 |
Sohel bhai acha topic banaya aap ne. Allama Iqbal shayri dunya k king hai, in k naam se topic hona zaruri hai. |
||
![]() |
@sohel77 | 16 May 11 |
lab pe ati hai dua ban k tamnna meri. zindagi shamma ki surat ho Khudaya meri. dur duniya ka mere dam andhera ho jaye. har jagah mere chamakne se ujala ho jaye. ho mere dam se yun hi mere watan ki zinat. jis tarah phul se hoti hai chaman ki zinat. zindagi ho meri parwane ki surat ya rab. ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab. ho mera kam garibon ki himayat karna. dard -mandon se zaifon se mohabbat karna. mere Allah burai se bachana mujhko. neik jo rah ho us rah pe chalana mujhko. |
||
![]() |
@rahebar | 16 May 11 |
*** Allama iqbal *** Tere ishq ki inteha chata hon, meri saadgi dekh kya chata hon. Sitam ho k ho wadai be hijabi, koi baat sabr aazma chata hon. Ye jannat mubarak rahe zahedon ko, k main aap ka samna chata hon. Zara sa to dil hon magar shauq itna, wahi lan tarani sunna chata hon. Koi dum ka mehman hon aye ahle mahfil, chraqay saher hon bujha chata hon. Bhri bazm me raz ki baat kah di, bada be adab hon saza chata hon. =================== |
||
![]() |
@sohel77 | 17 May 11 |
ham mashriq k musalmanon ka dil magrib mein ja atka hai wahan kuntar sab billori hai , yahan ek purana matka hai is daur mein sab mit jayenge, han baqi wo rah jayega jo qayam apni rah pe hai, aur pakka apni hat ka hai ae shaikh-o - brahman sunte ho kya ahl -e -basirat kahte hain gardon ne kitani bulandi se un qaumon ko de patka hai |
||
![]() |
@sohel77 | 18 May 11 |
nahi tera nashe mann khusre sultani k gumbad par. tu shahin hai basera kar pahado ki chatano par. |
||
![]() |
@sohel77 | 18 May 11 |
![]() Wohi guftagu ka andaz wohi, Shaista, lehja. ,Neelam, jaam hai ,Feroza, deedar lehja. . Zuban mein, Tarannum, -e -,Nighat, ghazali Naghma dil awaz, Seema, lehja ,Shireen, kalaam per, Shama, ,Mehjabeen, ,Tabassum, se Roshan, Aara, jamal lehja. . ,Naseem, chali tou pheyl gai, Khushbu, charsoo Aur, Gul, - e- Rukh se, Nuzhat, Mehak, lehja. . Pyar ki, Tehreem, ko Sehar tak andaz likha Aur, Farheen, kay chaman sa ujla lehja. |
||
![]() |
@aysha111 | 18 May 11 |
MashaAllah. . . . Sohel ji. . .ghazal ke sath bahut he pyari image post ki hai aapne.
|
||
![]() |
@rahebar | 18 May 11 |
Sohel bhai bahot aala ghazal aur image hai, aap ki To jitne tarif karo to utni kam hai. |
||
![]() |
@aasim07 | 18 May 11 |
bahot umda ghazal hai. mujhe ghazal to yad nahi magar 1 sher post kar raha hun. masjid to banali shab bhar me imaa ki hararat walo ne. mann apna purana papi hai barso me namazi ban na saka. |
||
![]() |
@sohel77 | 18 May 11 |
wow.aasim bhai bahot khub.
|
||
![]() |
@sohel77 | 19 May 11 |
nahin minnat - kash-e - tab- e- shanidan dastan meri khamoshi guftagu hai, bezubani hai zaban meri ye dastur- e -zaban- bandi hai kaisi teri mahfil mein yahan to bat karne ko tarasti hai zaban meri uthaye kuch waraq lala ne kuch nargis ne kuch gul ne chaman mein har taraf bikhri hui hai dastan meri ura li kumariyon ne tutiyon ne andlibon ne chaman walon ne mil kar lut li tarz- e -fugan meri tapak ai shama ansu ban k parwane ki ankhon se sarapa dard hun hasrat bhari hai dastan meri ilahi phir maza kya hai yahan duniya mein rahne ka hayat - e -jawidan meri na marg -e - nagahan meri |
||
![]() |
@sohel77 | 27 May 11 |
Sitaaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hai, Abhi Ishq Ke Imtihaa Aur Bhi Hai. . Taahi ZindagiSe Nahii Ye Fazaaye, Yahaa Saikado Kaaravaa Aur Bhi Hai . Kanaa'at Na Kar Aalam-e-rang-o-bu Par, Chaman Aur Bhi, Aashiyaa Aur Bhi Hai. . Agar Kho Gayaa Ek Nasheman To Kyaa Gham, Maqaamaat-e-aah-o-fugaan Aur Bhi Hai. . Tuu Shahin Hai Parwaaz Hai Kaam Teraa, Tere Saamane Aasmaan Aur Bhi Hai. . Isi Roz-o-shab Me Ulajh Kar Na Rah Jaa, Ke Tere Zamin-o-makaan Aur Bhi Hai. . Gaye Din Ki Tanhaa Thaa Me anjuman Me. Yahaan Ab Mere Raazadaan Aur Bhi. |
||
![]() |
@solid898 | 27 May 11 |
hi friends my name is Iqbal hussain |
||
![]() |
@rahebar | 4 June 11 |
IQBAL TEREY DAIS KA KIA HAAL SUNAON! Bebaki-o-Haq Goi se ghabrata hai Momin, Makkari-o-Farebi pe itrata hai Momin, Jis rizq se parwaz mein kotahi ka darr ho, Wo rizq ab badhay shoq se khata hai Momin, Kirdar ka, Guftar Ka, Aamaal ka Momin, Qail nahi aisay kisi janjal ka Momin, Sarhad ka Momin hai tou koi Punjab ka Momin, Dhonde se bhi milta nahi, Quran ka Momin, IQBAL TEREY DAIS KA KIA HAAL SUNAON! |
||
![]() |
@sohel77 | 5 June 11 |
nyc ghazal bhai.
|
||
![]() |
@aysha111 | 5 June 11 |
MashaAllah rahebar ji.
|
||
![]() |
@01awan01 | 5 June 11 |
Nahi sajday kiye hum ne kabhi gairon ki chokhat pe Hme jitni zarorat ho KHUDA se mang lete hain |
||
![]() |
@sohel77 | 5 June 11 |
nyc sharing bhai.
|
||
![]() |
@sohel77 | 7 June 11 |
Iqbal bada updeshak hai mann baton me moh leta hai. guftar ka ghazi ban to gaya kirdar ka ghazi bann na saka. |
||


