
![]() |
@raju4all | |
Ik taza hikayat hai ..........!!! Sun lo to inayat hai Ik shakhs ko daikha tha taron ki tarha hum ne Ik shakhs ko chaha tha apnon ki tarah hum ne Ik shakhs ko samjha tha palkon ki tarah hum ne ......Wo shakhs qayamat tha kya us ki karain batain Din usky liye paida aur uski hi thin ratain Kum milna kisis sy tha hum sy thin mulaqatain Rang uska shababi tha zulfon main thin mehkarain Ankhain thin k jadu tha palkain thin k talwarain Dushman b ager daikhain so jaan sy dil harain Kuch tum sy wo milta tha baton main shubahat main Haan tumsa hi lagta tha shokhi main shararat main Lagta b tumhi sa tha dastoor-e-mohabat main Wo shahs hamain ik din apnon ki tarah bhoola Taron ki tarah dhooba phoolon ki tarah toota Phir hath na aya wo hum ne to bohat dhonda Tum kis liye chonky ho kab ziker tumhara hai Kab tum sy taqaza hai Kab tum sy shikayat hai Ik taza hakayat hai....!! Sun lo to inayat hai...!! |
||
0
Replies
926
Views
0 Bookmarks
|


