
![]() |
@raees.k | |
9
Replies
29464
Views
0 Bookmarks
|
![]() |
@raees.k | 16 January 12 |
Lagtaa nahin hai dil meraa ujday dayaar mein kis ki bani hai aalam-e-naa_ paayedaar mein . kah do in hasraton se kahin aur jaa basein itni jagah kahaan hai dil-e -daagdaar mein . umr-e- daraaz maang kar laaye they chaar din do arzoo mein kaT gaye do intezaar mein . kitnaa hai bad_naseeb Zafar dafn key liye do gaz zamin bhi na mili kuu-e -yaar mein |
||
![]() |
@raees.k | 16 January 12 |
khulta nahin hai hal kisi par kahe bagair par dil ki jan lete hain dilbar kahe bagair . main kyunkar kahun tum ao k dil ki kashish se wo ayenge daure ap mere ghar kahe bagair . kya tab kya majal hamari k bosa len lab ko tumhare lab se milkar kahe bagair . bedard tu sune na sune lek dard-e -dil rahta nahin hai ashiq-e -muztar kahe bagair . taqdir k siwa nahin milta kahin se bhi dilawata ai ?Zafar? hai muqaddar kahe bagair |
||
![]() |
@rahebar | 16 January 12 |
bat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi jaisi ab hai teri mahfil kabhi aisi to na thi, le gaya chin k kaun aaj tera sabr-o-qarar beqarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi, chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin jaise ab ho gai qatil kabhi aisi to na thi, un ki ankhon ne Khuda jane kiya kya jadu k tabiyat meri mael kabhi aisi to na thi, aks-e-ruKh-e-yar ne kis se hai tujhe chamkaya tab tujh mein mah-e-kamil kabhi aisi to na thi, kya sabab tu jo bigarta hai Zafar se har bar khu teri hur-e-shamail kabhi aisi to na thi. |
||
![]() |
@rafeeq02 | 17 January 12 |
wah wah... umar daraz laye the ...maang ke char din do aarzo me kat gaye do intzar me ...bahot hi umdah sher bhai waise puri ghazal umdah hai |
||
![]() |
@mahfooz | 17 January 12 |
bahot badhy poetry hai....jaise hi bahadur shah zafar ka naam dekha waise hi mere dimag me yahi sher aaya... umre daraz mang kar laye the char din do aarzu m kat gai do intezar me... bahot badhy sher hai... ![]() |
||
![]() |
@raees.k | 17 January 12 |
bhai zafar ki har gazal umda hai.
|
||
![]() |
@raees.k | 17 January 12 |
tum na aye ek din ka wada kar do din talak ham pare tadpa kiye do do pahar do din talak . dard-e -dil apna sunta hun kabhi jo ek din rahta hai us naznin ko dard-e- sar do din talak . dekhte hain khwab mein jis din kisi ki chashm-e- mast rahte hain ham do jahan se bekhabar do din talak . gar yaqin ho ye hamein ayega tu do din k bad to jiyen ham aur is ummid par do din talak . kya sabab kya wasta kya kam tha batlaiye ghar se jo nikle na apne tum Zafar do din talak |
||
![]() |
@raees.k | 17 January 12 |
kije na das mein baith kar apas ki bat chit pohnchegi das hazar jagah das ki bat chit . kab tak rahen khamosh k zahir se ap ki ham ne bahut suni kas-o -nakas ki bat chit . muddat k bad hazrat-e -naseh karam kiya farmaye mizaj-e -muqaddas ki bat chit . par tark-e- ishq k liye izhar kuch na ho main kya karun nahin ye mere bas ki bat chit . kya yad a gaya hai Zafar panja-e-nigar kuch ho rahi hai band-o -mukhmmas ki bat chit |
||
![]() |
@shahbaz4 | 17 January 12 |
yar tha gulzar tha bad-e -saba thi main na tha layaq- e-pa- bos-e-jan kya hina thi main na tha . hath kyon bandhe mere chala agar chori hua ye sarapa shokhi-e- rang-e- hina thi main na tha . main ne pucha kya hua wo ap ka husn-o -shabab hans k bola wo sanam shan-e-Khuda thi main na tha . main sisakta rah gaya aur mar gaye farahad-o -qais kya unhin donon k hisse mein qaza thi main na tha |
||


