
![]() |
@100cute | |
![]() GOING TO SHARE URDU GHAZALZ |
||
313
Replies
949
Views
0 Bookmarks
|
Page #: 1/16 |
![]() |
@100cute | 16 August 12 |
Tere qareb aa kay bari uljhano main hon, Main dushmanon main hon k tere doston main hon, Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftago, Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main hon, Mujh se bichar k tu bhi to roeygaumer bhar, Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main hon, Tu hans raha hai mujh pey mera haal daikh ker, Or phir bhi main shareek tere qehqahon main hoon. |
||
![]() |
@100cute | 16 August 12 |
Toota hai meray pyar ka bandhanto kia howa Barsa hay meri aankh se saawan to kia howa Yun bhi to saari duniya se kat kar jiya hon main, Tu bhi howa hai ab mera dushmanto kia howa, Seenay mein dard aankh mein aansu sajay to hain, khali hay teray pyaar se daman tokia howa Mujh ko yaqeen hai k mohabbat baaye gi, Nafrat mein kat gaya mera bachpan to kia howa mujh ko bhi pyaar oonchi uraanonse hay, Muqaddar mein nahi koi nashaiman to kia howa |
||
![]() |
@100cute | 16 August 12 |
Aana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai Usay Meri Mjhe Uski Zarorat Ab B Baki Hai Koi Mushkil Agar Darpaish Aye Laut Ana Tum Tumhare Waste Dil Mie Aqeedat Ab B Baki Hai Bala Ki Sard Mehri Hai Meri Har Baat Mie Lekin Mere Seenay Mien Chaht Ki Hararat Ab B Baki Hai |
||
![]() |
@100cute | 16 August 12 |
Tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai Tum agar aankh churao to ye haq hai tumko Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai Mere dil ki mere jazbaat ki qeemat kia hai Uljhe uljhe se khayalat ki qeemat kia hai Mai ne kyun pyar kiya,tum ne kyun na pyar kiya Inn pareshan sawalaat ki qeemat kia hai Tum jo ye bhi na batao to ye haqhai tumko Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai Tumko dunia k gham-o-dard se fursat na sahi Sab se ulfat hai ,mujh se hi mohabbat na sahi Main tumhara hon wohi mere liye kya kam hai Tum mere ho k raho ye meri qismat na sahi Aur mere dil ko jalao to ye haq hai tumko Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai |
||
![]() |
@100cute | 16 August 12 |
Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo, Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo, Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan, Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo, Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo.. |
||
![]() |
@100cute | 16 August 12 |
koi mujh ko mera bharpur sarapala de meray bazu,meri ankhe,mera chehra la de naya mausam meri binai ko taslim nahe meri ankho ko wohe khawab purana la de koi khahish nahe tuj se ay meri umar e rawan mera bachpan,mery jugnu,meri gurya la de |
||
![]() |
@100cute | 16 August 12 |
Jab kabhi tera dil ghabraey ager tujhe meri yad aay tu lou ana, Ager tera sath koi choray ager koi tera dil turey tu lout ana, Kuch waqat achca guzra hai sath tumare who waqat jab yaad aay tu lout ana, Yahe waqat akser sath nai dete dil walon ka, pas reh kar b ager koi sath na de tu lout ana, Na jane teri itni yad q atti hai, Ager yahe pegaam pohnch jaye tu lout ana, |
||
![]() |
@100cute | 16 August 12 |
Aalam-e-Hijr Mein Soya Hun, Na Sona Chaahun Mein Teri Zaat Se Mayoos Na Hona Chaahun Gul Tere Dil Mein Khilain Aur MehekJaon Mein Isi Rishtay Mein Har Insaan Ko Pirona Chaahun Kiun Ganwaara Ho Tere Dard MeinBhee Shirkat-e-Gair TU Jo Yaad Aaye Tou Tanhaayi Mein Rona Chaahun Justuju Ke Lye Rehta Hai BahaanaDarkaar Kho Ke Paaya Jisay, Paakar Ose Khona Chaahun Chaah Raha Hai Mere Andar Gham-e-Anjaam Ka Abar Khush Bhee Hota Hun Tou Aankhon Ko Bhigona Chaahun Mein Hun Ik Tarfa Bhikaari, Koi Meri Bhee Suno Raat Ke Farsh Pe Kirnon Ka Bichona Chaahun Yun Tou Ik Phool Ki Patti Se Behel Jaata Hun Mein Machal Jaon Tou Sehra Ka Khilona Chaahun Mera Mansab Nahee Paighambar-e-Fun Bannay Ka Mein Tou Ahsaas Ko Lafzon Mein Samona Chaahun Is Zamaanay Ka Ajab Tarz-e-Tassawaf Hai Ke Mein Qatray Mein Samandar KoDubona Chaahun |
||
![]() |
@hamza_g | 16 August 12 |
Os Ne Gulaab Chooh Ke Jo Dekha Meri Taraf Aisa Laga GUlaab Ka Mosam Thehar Gaya..! Soye Tou Shab Ke Qaafilay Aankhon Mein Chal Paray.. Jaagay Tou Jaisay Khwaab Ka Mausam Thehar Gaya..! Pal Bhar Mere Sawaal Ka Mausam Nahee Raha. Laikin Tere Jawaab Ka Mausam Thehar Gaya! Os Ne Kaha Aankh Mein Gubaar KaMosam Kiun ???? Mein Ne Kaha Azaab Ka Mosam Thehar Gaya! Sehraa Mein Wo Saraab Ki Soorat Mila Phir Yun Howa Saraab Ka MausamThehar Gaya! |
||
![]() |
@hamza_g | 16 August 12 |
Khoob Kartay Ho Dil Lagi Sahaab Aur Os Per Ye Be Rukhi Sahaab Pyaar Aur Wo Bhee Ham Karain Tum Se ? Ham Ko Pyaari Hai Zindagi Sahaab Ab Wo Saanson Ka Silsila Bhee Nahi Le Lo Jo Hain Bachi Kuchi Sahaab Tum Jataatay Ho Pyaar..Vyaar Magar Ham Ko Lagtay Ho Ajnabi Sahaab Is Mein Kuch Aap Ka Bhi Hissa Hai Ye Jo Palkon Pe Hai Nami Sahaab Ye Andheron Ka Ik Tamaasha Hai Aap Kehtay Ho Roshni Sahaab Ab Wo Qisson Mein Mil Sakain Shaayad Pehlay Hotay Thay Aadmi Sahaan Aaj Kal Ho Kis Ke Chakkar Mein ? Baat Loogon Se Ye Suni Sahaab Aap Hain Bawafa, Tou Yun Hee Sahi Aap Ki Baat Maan Li Sahaab Tum Ko Bhoolay Tou Ye Laga Ham Ko Dard Mein Kuch Howi Kami Sahaab Dushmani Ne Thakaa Dia Ham Ko Ham Se Karlo Ab Dosti Sahaab Baat, Kia Hai Jo Khaaye Jaati Hai Tum Ne Poochi Na Kuch Kahi Sahaab |
||
![]() |
@hamza_g | 16 August 12 |
Meri tanhai barhate hain chale jate hain, Hanss talaab pe ate hain chale jate hain, Is liye ab mein kisi ko nahin jane deta, Jo mujhe chorr ke jate hain chale jate hain, Meri ankhon se bahaa karti hai unki khushu, Raftgaan khawb mein ate hain chale jate hain, Shadi-e-marg ka mahol banaa rehta hai, Aap aate hain rulate hain chale jate hain, Kab tumhe ishq pe majboor kiya hai hum ne, Hum to bass yaad dilate hain chale jate hain, Ap ko kaun tamashaayi samajhta hai yahan, Aap to aag lagate hain chale jate hain, Hath pathar ko barhaaon to sagan-e-dunya, Hairti ban ke dikhate hain chale jate hain.. Abbas Tabish |
||
![]() |
@100cute | 16 August 12 |
Tamam sheher ko heraan karne wala hoon, Main apne hone ka aelaan karne wala hoon, Kahin gira ke teri yaad ka yeh kuh-e-giraan, Safar ko aur bhi asaan karne wala hoon, Yeh sisilsa meri ankhon pe hi nahinmokoof, Mein tera sheher bhi viraan karnewala hoon, Abhi woh morr nahin aya is kahanimein, Jab mein sab ko pareshaan karnewala hoon, Yeh kis ne raat mujhe neend se jaga ke kaha, Chiraag-e-khawab tujhe daan karne wala hoon, Tamaam umar kahan hai woh merikismat mein, Bass aik raat ka mehmaan karne wala hoon.. |
||
![]() |
@100cute | 16 August 12 |
Sheher Mein Teri Paziraai Na Honay Dongi TU Mera Hai Tujhay Harjaai Na Honay Dongi Chup Rahon Gi Jo Kahay Ga Koi Tujh Ko Majnoon Is Sy Bardh Kar Teri Ruswaai Na Honay Dongi Yaad Aaon Gi Tujhay Achhay DinonKi Soorat Main Mukammal Teri Tanhaai Na Honay Dongi Janti Hon Ke Mera Hona Hay Us Say Mashroot Apnay Dushman Ki Main Paspaai NaHonay Dongi Achhay Lagtay Hain Mujh Ko Parinday Lekin Us Ko Unka Bhi Tamannaai Na Honay Dongi..!! |
||
![]() |
@100cute | 16 August 12 |
Bicharte waqt in ankhon ka bhar jana zaruri tha, Tumhare bin mera chup chaap mar jana zaruri tha, Main hans kar jhel leta dil pe saare waar qismat ke, Muje bakhabar kar dete agar jana zaruri tha, Meri aankhon me apne aks ko tum dekh na paye, So mera beniyazi se guzar jana zaruri tha, Qabal iske ke dono badgumani mein ulajh jate, Mere humdum mera tujhse bichar jana zaruri tha, Main jeewan k safar me hans k sab kuch seh gya lekin, Jo tum bichre tu phir mera bikharjana zaruri tha. |
||
![]() |
@100cute | 16 August 12 |
Pyar woh aur mere dil mein barhaa deta hai, Kabhi rota hai kabhi mujh ko rulaadeta hai, Kaun aata hai meri ankhon mein jugnu le ker, Khawhishain kaun mere dil mein jaga deta hai, Pehle karta hai bare naaz se be-barg o samar, Phir meri rooh mein phool woh khilaa deta hai, Woh mera chand meri ankhon se aujhal ho kar, Ik sitara meri palkon pe sajaa deta hai, Us ki har roz ki mulaqat se dar lagta hai, Roz milta hai to ik zakham neya deta hai, Apni qurbat mein bhi rakhta hai woh furqat ki fizaa, Mera apna hi to hai mujh ko sazaa deta hai, Aatish-e-gham se mere dil ko jalaata hai Nadeem, Woh ajab shakhs hai sholay ko hawaa deta hai |
||
![]() |
@100cute | 16 August 12 |
Khaali Kaaghaz Pe Hurf Sajaaya Karta Tha Tanhaai Main Sheher Basaaya Karta Tha Kaisa Paagal Shakhs Tha Saari Saari Raat Deewaaron Ko Dard Sunaaya Karta Tha Ro Deta Tha Aap Hi Apni Baaton Par Aur Phir Khud Ko Aap Hansaaya Karta Tha Jalnay Lagti Lahoo Main Judaai Tou Ro Daita Tanhaaion Ki Khaak Uraaya Karta Tha Chehray Say Tera Rog Chupaata Tou Hans Daita Aankhon Main Teri Yaad Manaaya Karta Tha Yaaro Be Waqt Hua Pyaar Usay Lay Dooba Jo Loogon Ko Pyaar K Gur Sikhaaya Karta Tha.. |
||
![]() |
@100cute | 16 August 12 |
Silsila Sa Janaab ! Banta Gaya Ik Haqeeqat Wo Khwaab Banta Gaya Aks Paani Mein Dekhnay Ke Lye Kaisay Chehra Gulaab Banta Gaya Ham Ne Koi Sawaal Tak Na Kia Wo Mukammal Jawaab Banta Gaya Pehlay Unwaan Tha Wafa Ka Jo Shakhs Baad Mein Wo Kitaab Banta Gaya Neend Ka Tootna Bhee Apni Jaga Khwaab Bhee Ek Azaab Banta Gaya Dekhnay Mein Tha Ek Lafz Magar Ishq Poora Nisaab Banta Gaya Ham Haqeeqat Samajh Rahay ThayJisay Rafta Rafta Saraab Banta Gaya Saaray Aalam Mein Ham Howay Tanha Sab Ka Wo Intekhaab Banta Gaya Pehlay Dil Torna Bura Tha Batool Baad Mein Ye Sawaab Banta Gaya |
||
![]() |
@100cute | 16 August 12 |
Pyar ka geet sunaye to kuch baat bane, Aane wala aaye to kuch baat bane, Aksar rote rote meri raat katey, Woh aakar behlaye to kuch baat bane, Dil kya toota pyar ki kaliyan rooth gayin, Koi kali muskaaye to kuch baat bane, Kab tak us ko dhoondon kali raton mein, Jugnu hath mein aaye to kuch baat bane, Dil mein jo behta hai daryaa yadon ka, Aankhon se beh jaye to kuch baat bane, Us ki chahat us ke us ke pyar mein aaj Hira, Deewani kehlaaye to kuch baat bane |
||
![]() |
@100cute | 16 August 12 |
Hazaron dard seeney mein chupaye phir raha hon mein, Teri furqat ka gham dil se lagaye phir raha hon mein, Lutaa dala hai mene apna sab kuch teri chahat pe, Fakat apni anaa baaki bachaye phir raha hoon mein, Teri tasveer, tere khat, teri har ik nishani, Abhi tak apne seeney se lagaye phir raha hoon mein, Nazar teri kisi din to parre gi mujh pe ae zalim, Tamasha is liye khud ko banaye phir raha hoon mein, Bhuja sakta nahin koi hawaye-tund ka jhonka, Diye aese wafaa ke jalaye phir raha hoon mein, Urooj ankhain meri purnam hain jis ki bewafayi per, Usi ke khawb ankhon mein basayephir raha hoon mein |
||
![]() |
@100cute | 16 August 12 |
Umar bhar ka maan toota, aur kya, Morr aya, sath choota, aur kya, Kon sach kehta hai, sach sunta hai kon, Main bhi jhoota, tu bhi jhoota, aurkya, Jaan se jaana zaroori to nahin, Aashiqui mein sar to phoota, aur kya, Rote huye laal pathar ho gaye, Rafta rafta rang choota, aur kya, Reh gaya tha yaad ka rishta faqat, Akhrish yeh pul bhi toota, aur kya, Us ki ankhain bhi kabhi sach boltin, Dil to tha jhooton sa jhoota, aur kya, Ghair to they ghair apne aap ko, Sab se barh kar hum ne loota, aur kya, aao dekho to zara baagh-e-wafaa, Ab koi gul hai na boota, aur kya, Fitna samaani mein yaksaan hain Faraz, Apna dil ho ya kahuta, aur kya.. |
||


