
![]() |
@dr.aamir | |
Collection Of sOme Best Ghazals.. |
||
31
Replies
3091
Views
1 Bookmarks
|
Page #: 1/2 |
![]() |
@dr.aamir | 15 July 12 |
Wo Chahto Ki Esi Misal Deta Hai, Awargi Ko Apnayat Mai Dhal Deta Hai, Wo Khush Kalam Hai Is Kadar,bat Karny Mai, Ke Harf Harf Ko Husn-o-jalam Deta Hai, Mai Uska Sath Jo Mango,zindagi Bhar Ke Liye, Baray Haseen Tareeqy Se Wo Taal Deta Hai, Ye Jan Kar B K Mujy Wo Pyar Nahi Karta, Wo Dekhta Hai Yuon Hai K,uljhan Mai Daal Deta Hai, Sawal Jaise Panha Mangty Hoon Aaankhon Se, Jawab Nigaah Se Wo Kalam Deta Hai.. |
||
![]() |
@dr.aamir | 15 July 12 |
Pyaas Wo Dil Ki Bujhaanay Kubhi Aya Bhee Nahee Kaisa Baadal Hai Jis Ka Koi Saaya Bhee Nahee ? Be-Rukhi Is Se Badi Aur Bhalaa Kia Hogi ? Ik Muddat Se Hamain Osne Sataaya Bhee Nahee Roz Aata Hai Dard-e-Dil Pe Wo Dastak Dene Aaj Tak Ham Ne Jisay Paas Bulaaya Bhee Nahee Sun Lia Kaisay Khudaa Jaanay Zamaanay Bhar Ne ? Wo Fasaana Jo Kubhi Ham Ne Sunaaya Bhee Nahee Tum Tou Shayar Ho Qateel Aur Wo Ik Aam Sa Shakhs Osne Chaaha Bhee Tujhe Aur Jataaya Bhee Nahee |
||
![]() |
@dr.aamir | 15 July 12 |
Goya Andaaz-e-Taazeem Hai Ameeron Jaisa Mere Ander Ka Hai Insaan Faqeeron Jaisa Ham Ne Chehray Pe Sajaa Rakhi Hai Sheher Ki Ronaq Dil Ka Aalam Hai Veeraan Jazeeron Jaisa Os Ke Ausaaf-o-Khasaail Ne Mujhe Jeet Lia Meray Mureedon Mein Tha Shakhs Wo Peeron Jaisa Is Se Pehlay Thi Aseeri Bhi Rehaayi Jaisi Ab Ke Aazaadi Mein Hai Haal Aseeron Jaisa Os Ko Ganwa Ke Hain Khasaaray Ab Tak Mohsin Wo Jo Ik Shakhs Mere Saath Tha Heeron Jaisa |
||
![]() |
@dr.aamir | 15 July 12 |
Ek Diya Dil Mein Jalaana Bhee, Bujhaa Bhee Dena Yaad Karna Bhee Ose Roz Bhula Bhee Dena Kia Kahoon Ye Meri Chaahat Hai Ke Nafrat Oski ? Naam Likhna Bhee Mera, Likh Ke Mitaa Bhee Dena Phir Na Milnay Ko Bicharta Hun Tujh Se Laikin Murr Ke Dekhuun Tou Palatnay Ki Duaa Bhee Dena Khat Bhee Likhna Mayoos Bhee Rehna Os Se Jurm Karna Bhee Magar Khud Ko Sazaa Bhee Dena Mujh Ko Rasmon Ka Takalluf Bhee Ganwaara Laikin Jee Mein Aaye Tou Ye Deewaar Gira Bhee Dena Os Se Mansoob Bhee Karlaina Puraanay Qissay Os Ke Baalon Mein Naya Phool Sajaa Bhee Dena Soorat-e-Naqsh-e-Qadam, Dasht Mein Rehna Mohsin Apnay Honay Se Na Honay Ka Pataa Bhee Dena |
||
![]() |
@dr.aamir | 15 July 12 |
Gumnaam Dayaaron Mein Safar Kiun Nahee Kartay ? Ujray Howay Loogon Pe Nazar Kiun Nahee Kartay ? Ye Khwaab Ye Khushion Bharay Hanstay Howay Ye Khwaab Ye Khwaab Mere Dil Pe Asar Kiun Nahee Kartay ? Khwaahish Ke, Tamaaniat-e-Ehsaas Ke Panchi Kuch Roz Mere Ghar Mein Basar Kiun Nahee Kartay ? Subhon Se Hain Maghloob Tou Phir Zaim Kaisa Hai ? Raaton Pe Hain Ghalib Tou Seher Kiun Nahee Kartay ? Ye Loog Musalsal Hain Jo Ik Khauf Ke Qaidi Is Khauf Ki Deewaar Mein Dar Kiun Nahee Kartay ? Kiun Aap Uthaatay Ho Udaasi Ke Ye Asbaab ? Shaamon Ke Ghulaamon Ko Khabar Kiun Nahee Kartay ? |
||
![]() |
@dr.aamir | 15 July 12 |
Qadar-e-Johar Hai Jo Pindaar Samait Mujhko Parkho Mere Mayaar Samait Roz Maangain Ye Dua Khaana-Badosh Ghar Na Ujray Dar-o-Deewaar Samait Kitni Banjar Howi Fasl-e-Aawaaz Sheher Chup Chaap Hai Baazaar Samait Kaash Loogon Ki Tarah Soye Chaman Hum Bhee Jaayein Kubhi Dildaar Samait Kon Karta Qad-o-Qaamat Ka Hisaab ? Ik Qayaamat Tha Wo Raftaar Samait Jin Ki Haibat Se Hiraasan Lashkar Be-Nishaan Ab Hain Wo Talwaar Samait Bujh Jaayein Kaheen Aankhain Meri Yaad Aa , Mashal-e-Rukhsaar Samait Khaak Urti Howi Sadyon Se Udhar Qaaflay Guum Howay Saalaar Samait Hawas-e-Darham-Dinaar Ki Khair Loog Biknay Lagay Kirdaar Samait Mein Ke Mohsin Hun Shaheed-e-Naamoos Dafan Karna Mujhe Dastaar Samait |
||
![]() |
@dr.aamir | 15 July 12 |
Tumhaari Anjuman Se Uth Kar Deewaanay Kahan Jaatay ? Jo Waabasta Howay Tum Se Wo Afsaanay Kahaan Jaatay ? Nikal Kar Dair-o-Kaaba Se Agar Milta Na Maikhaana Tou Thukraaye Howay Insaan Khuda Jaanay Kahaan Jaatay ? Tumhaari Be-Rukhi Ne Laaj Rakh Li Baadaah Khaanay Ki Tum Aankhon Se Pila Daitay Tou Paimaanay Kahaan Jaatay? Chalo Acha Howa, Kaam Aagayi Deewaangi Apni Wagarna Ham Zamaanay Bhar Ko Samjhaanay Kahaan Jaatay ? Qateel Apna Muqaddar Gham Se Begaana Agar Hota Tou Apnay Paraaye Hum Se Pehchaanay Kahaan Jaatay ? |
||
![]() |
@dr.aamir | 15 July 12 |
Justajuu Khoye Howon Ki Umar Bhar Kartay Rahay Chaand Kay Hamrah Hum Har Shab Safar Kartay Rahay Raaston Ka iLm Tha Na Ham Ko Simton Ki Khabar Sheher-e-Na-Maaloom Ki Chaahat Magar Kartay Rahay Ham Ne Khud Se Bhee Chhupaya Hai Aur Saaray Sheher Ko Tere Jaanay Ki Khabar Deewaar-o-Dar Kartay Rahay Wo Na Aaye Ga Hamain Maaloom Tha, Os Shaam Bhi Intezaar Os Ka Magar Kuch Soch Kar Kartay Rahay Aaj Aaya Hai Hamain Bhee Un Uraanon Ka Khayaal Jin Ko Tere Zaim Mein, Be-Baal-o-Par Kartay Rahay |
||
![]() |
@dr.aamir | 15 July 12 |
Wo Chahto Ki Esi Misal Deta Hai, Awargi Ko Apnayat Mai Dhal Deta Hai, Wo Khush Kalam Hai Is Kadar,bat Karny Mai, Ke Harf Harf Ko Husn-o-jalam Deta Hai, Mai Uska Sath Jo Mango,zindagi Bhar Ke Liye, Baray Haseen Tareeqy Se Wo Taal Deta Hai, Ye Jan Kar B K Mujy Wo Pyar Nahi Karta, Wo Dekhta Hai Yuon Hai K,uljhan Mai Daal Deta Hai, Sawal Jaise Panha Mangty Hoon Aaankhon Se, Jawab Nigaah Se Wo Kalam Deta Hai.. |
||
![]() |
@dr.aamir | 15 July 12 |
Wo jo khud Pairvi-e-Ehd-e-Wafa karti thi Mujse milti thi to Talqeen-e-Wafa karti thi Us k Daman mein koi Phool nhi mery liay, Jo meri Tangi-e-Daman ka gila karti thi Aj jo usko bulaya to wo gumsum he rahi, Dil dharakny ki jo Awaz suna karti thi Aj wo meri har ek baat k Maani poochy, Jo meri soch ki Tafseer likha karti thi Uski Dehlez pe sadyon se khara hn Aemi Mujhse milny k jo Lamhat gina karti thi |
||
![]() |
@dr.aamir | 15 July 12 |
Chaand Kay Saath Kayi Dard Puranay Niklay Kitnay Ghum Thay Jo Teray Gham Kay Bahanay Niklay Fasal E Gul Ayi, Phir Ik Baar, Aseeraan E Wafa Apnay Hi Hoon Ma Nahanay Niklay Hijar Ki Chout Ajab Sang E Shikam Hoti Hai Dil Kay Bafaiz Zameenon Sa Hazanay Niklay Dil Na Ek Eent Sa Tameer Kia Taajmahal Tou Na Ek Baat Kahi Laakh Fasanay Niklay Dasht E Tanhai Hijraan Ma Khara Soochta Hn Hai Kia Log Meray Lia Nibhaanay Niklay Main Na Amjad Usay Bay Wasta Dekha Hi Nahe Wo To Khushboo Bhi Ahat Kay Bahany Niklay |
||
![]() |
@dr.aamir | 18 July 12 |
Karray Safar Mein Agar Raasta Badalna Tha Tou Ibtedaa Mein Mere Saath Hee Na Chalna Tha Kuch Is Lye Bhee Tou Sooraj Zameen Pe Utraa Hai Pahaarion Per Jami Barf Ko Pighalna Tha Utar Ke Dil Mein Lahuu Zeher Kar Gaya Aakhir Wo Saanp Jis Ko Meri Aastee.n Mein Palnaa Tha Ye Kia Ke Tohmatain Aatish-Fishaan Ke Sar Aayein Zameen Ko Yun Bhee Khazaana Kubhi Ugalna Tha Mein Lagzishon Se Atay Raaston Pe Chal Nikla Tujhe Ganwa Ke Mujhe Phir Kahan Sambhalna Tha ? Ajab Naseeb Tha Mohsin Ke Baad-e-Marg Mujhe Charaagh Ban Ke Khud Apni Lehad Pe Jalna Tha. |
||
![]() |
@dr.aamir | 18 July 12 |
Kaun Kehta Hay k Maut Aayi Tou Mar Jaonga ? Main Tou Dariya Hoon Samandar Mein Utar Jaonga Tere Pehlu Se Jo Uthoonga Tou Mushkil Yeh Hay Sirf Ek Shakhs Ko Paonga Jidhar Jaaonga Ab Tere Shehar Mein Aaonga Musaafir Ki Tarah Saaya-e-Abr Ki Maanind Guzar Jaonga Tera Paimaan-e-Wafa Raah Ki Deewar Bana Warna Soocha Tha Jab Chahonga Mar Jaonga Chaara SaazooN Se Alag Hay Mera Miyaar k Main Zakham Khaonga Tou Kuch Aur Sanwar Jaonga Zindagi Shamma Ki Maanind Jalaata Hoon Bujh Tou Jaonga Magar Subha Tou Kar Jaonga! |
||
![]() |
@dr.aamir | 18 July 12 |
Dono Jahan Teri Mohabbat Main Haar K Wo Ja Raha Hai Koi Shab-e-Gham Guzaar K Viraan Hai Maikada Khum-o-Sagar Udaas Hai Tum Kya Gaye K Rooth Gaye Din Bahaar K Ik Fursat-e-Gunah Mili, Wo Bhi Chaar Din Dekhe Hain Ham Ne Hausale Parvar-Digaar K Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya Tujh Se Bhi Dil Fareb Hain Gham Rozgaar K Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj Faiz Mat Puch Val-Vale Dil-e-Na-Kardahkaar K. |
||
![]() |
@dr.aamir | 18 July 12 |
Tum pait pe laat to mar chuke, Ab kitne paaon pasaro ge, Tum roti Kapraa kya do ge, Tum log kafan bhi utaaro ge, Yeh baazi bhook ki baazi hai, Yeh baazi tum hi haaro ge, Har ghar se bhooka nikle ga, Tum kitne bhookey maaro ge.. |
||
![]() |
@nari68 | 8 August 12 |
Nice yar
|
||
![]() |
@adnaan69 | 15 November 12 |
![]() |
@nitasha0 | 24 November 12 |
![]() |
@bismaa | 11 January 13 |
Khirhki, Chand, Kitab Aur main, Muddat Se ik Baab Aur main, Shab Bhar Khelen Apas mein, Do Ankhain ik Khawab Aur main, Mouj Aur Kashti, Sahil par, Dariya mein Gardab Aur main, Shaam, Udasi, Khamoshi, Kuch Kankar, Talaab aur main, Har Shab Pakray Jatay hain, Ghari Neend teray Khawab Aur main. . !! |
||
![]() |
@adnaan69 | 11 January 13 |
bahot khoob, nihayat aalaa meyaar ki haamil hai.
|
||


