
![]() |
@22saif | |
Mirza Asad ullah Khan Ghalib k chahne walon k lye topic unhein k naam |
||
48
Replies
6514
Views
1 Bookmarks
|
Page #: 1/3 |
![]() |
@01awan01 | 14 November 11 |
Ghame_e_jana hai Na gham_e_dunya GHALIB..., Aik bay naam c udaaSi hai or kuch b nhi...! |
||
![]() |
@smam | 18 November 11 |
Ghalib sahab ki shayri ..us daur ki dilli ki akkas hai ...waha ki tahzeeb ki tarjuman ... Pata nahi koi meri baat se muttafiq hoga ya nahi magar jis shaks ke waha saat aulade hui aur koi bhi zinda na bachi ..us shaks mai kya jaan hogi ...us ghum ke ba wajood ghalib sahab ki sense of humour apne daur ke tamam danishwaro se saaf alag dikhai deti hai ...us shaks ne kabhi dusri shadi karne ka nahi socha .mujhe lagta hai tamam nok jhok ke bawajood ghalib ne apni begum se muhhbat ki aur unki izzat ki ..aur unke saath pura pura aulado ka ghum banta .. Ghalib shahab ki shayri apne aap mai ek misaal hai ...ghalib juwa bhi khelte the aur sharab bhi pete the ..kabhi is baat per parda nahi dala .usko sharmandagi ka ba'is nahi banaya ...ghalin ki zindagi ki koi baat chupi nahi ..... Ghalib ki kusum pursi ki zindagi ...ghalib ka udhar lena ..udhar na chuka sakne ke liye pur mazah bahane tarshna phir apni qiffat ka izhar karna...jazbati taur per mujhe ghalib ke qarib lejata hai ....kaash meri haisiyat hoti ke tab main ghalib ke sare qarz chuka deta ....ab haall ye hai ke main aur hamari urdu nasal ghalib ki qarzdaar hai .... YE MASAYIL E TASSAWUF YE TERA BAYAN GHALIB .. TUJHE HUM WALI SAMJHTE JO NA BADA QWAAR HOTA ..... ghalib ki shkisyat aur unki shayri ko jisne samjha bawjood unkekamzor pahloowo ke unka garvida hogaya .. Kamaal hafeza ..haq bayani aur ameeq darje ke taqayel ke hamil mirza ghalib jinhone sari zindagi takleef aur gareebi mai kati apne aap mai karishma se kam nahi .. Baniye aur thekedaro se udhar lene main nahi katrate magar kisi afsar ka ahsaan ya kisi badi shaksiyat ki sifarish kabhi na li ..asal shahana andaaz ke mailk.. JUNG BAHADURR NIZAM UL MULK NAJAM UD DAULA DABEER UL MULK ASAD ULLAH KHA GHALIB ...... GULZAR KI YE MANDARJA BALA RAQM NAZM KE UNKE TARUUF KE LIYE SABSE MAUZO HAI .. BALLI MARO KI WO PAICHIDA DALILO KI SI GALIYA .. SAAMNE TAAL KE NUKKAD PER BATEEROKE QASIDE .. GUDGUDAI HUI PAAN KI PEEKO MAIN WO DAAD WO WAH WAH... CHAND DARWO PE LATJE HUE BOSIDA SE KUCH TAAT KE PARDE .. EK BAKRI KE MAMYANI KI AAWAZ . AUR DHUNDLAI HUI SHAAM KE BENOOR ANDHERE .. AISE DEEWAR SE MUHN JOD KE CHALTEY HAI YAHA .. CHODI WALAN KI KATRE KI BADI BI JAISE ... APNI BUJHTI HUI AANKHO SE DARWAZEY TATOLEY.. ISI BE NOOR ANDHERI SE GALI QAASIM SE EK TARTEEB CHIRAAGO KI SHURU HOTI HAI .. EK QURAN E SUKHUN KA SAFAH KHULTA HAI . ASAD ULLAH KHHAN GHALIB KA PATA MILTA HAI ... |
||
![]() |
@01awan01 | 18 November 11 |
meaningful sharng smam bhai thankx 4 sharng tis info vd us
|
||
![]() |
@smam | 18 November 11 |
U welcome.....aur agar dost mante ho to thanks mat kaha karo bhai .
|
||
![]() |
@01awan01 | 18 November 11 |
ainda u ko thankx ni bolon ga bhai chinta mt kro ![]() |
||
![]() |
@01awan01 | 19 November 11 |
Na Tha Kuch To Khuda Tha Kuch Na Hota To Khuda Hota Duboya Mujh Ko Hone Ne Na Hota Main To Kya Hota |
||
![]() |
@sima77 | 22 November 11 |
Vry informative sharing smam bhai realy appreciable. Thumbs up-
|
||
![]() |
@sima77 | 22 November 11 |
Log muntazir hi rahey K hamein tootta hua dekhain ~~GhaLiB~~ Hum bardasht kartey kartey pathar k ho gaye .. |
||
![]() |
@01awan01 | 27 November 11 |
Dil pe karte hain dimagon pe asar karte hain ham ajab log hain zehnon main safar karte hain jab sarape pe kahin us ke nazar karte hain mir sahab ki tarah umr basar karte hain bandishen ham ko kisi hal gavara hi nahin ham to vo log hain divar ko dar karte hain vaqt ki tez-kharami hamain kya rokegi janbish-e-kalk se sadiyon ka safar karte hain naqsh-e-pa apana kahin rah main hota hi nahin sar se karte hain mohim jab koi sar karte hain ham-nashin khub hai ye mahafil-e-yaran ke yahan vo saliqa hai ke aibon ko hunar karte hain kya kahen hal tera ai mutamaddin duniya janvar bhi nahin karte jo bashar karte hain ham ko dushman ki bhi taqlif gavara na hui log ehbab se bhi sarf-e- nazar karte hain marqadon pe to charagan hai shab-o-roz magar umr kuchh log andheron main basar karte hain tazakara mir ka Galib ki zaban tak aya aitaraf-e-hunar, arbab-e- hunar karte hain |
||
![]() |
@01awan01 | 3 December 11 |
Woh jo jaagte hain Tanha Raaton main kisi k liye Ghalib Wohi Jaante hain kisi ko khone ka Dard kya hota hay..!! |
||
![]() |
@01awan01 | 3 December 11 |
Shidat-e-Dard say Sharminda Nahe meri wafa GHALIB, Jin say Rishtay Gehry hoon Wo Zakham bhe Gehry dety hen..! |
||
![]() |
@01awan01 | 5 December 11 |
Yeh Acha Nhi k Hum Achay Nhi Ghalib Kisi ko Dukh to Nahi Hota Hum Se Bicher Janay k Baaad...!!!! |
||
![]() |
@01awan01 | 8 December 11 |
sadagi par us ki mar jane ki hasrat dil main hai bas nahin chalta k phir khanjar kaf-e-qatil main hai dekhna taqrir ki lazzat ki jo usne kaha main ne yah jana k goya yah bhi mere dil main hai garche hai kis kis burai se wale ba in hama zikr mera mujh se behtar hai k us mahfil main hai bas hujum-e-na umidi khak main mil jayagi yah jo ik lazzat hamari sai- e-behasil main hai ranj-e-rah kyon khenchiye wamandagi ko ishq hai uth nahin sakta hamara jo qadam manzil main hai jalwa zar-e-atash-e-dozakh hamara dil sahi fitna-e-shor-e-qayamat kis ki ab-o-gil main hai hai dil-e-shorida-e-Galib tilism-e-pech-o-tab raham kar apni tamanna par k kis mushkil main hai |
||
![]() |
@01awan01 | 11 December 11 |
kitney majboor hain taqdeer k hatoo Ghalib na tjhe paney ki aukat rakhte ha na tjhe khone ka hosla |
||
![]() |
@01awan01 | 18 December 11 |
Jab laga tha TeeR tab Itna Dard na Huwa,, GHALiB. Zakham ka Ehsaas tab hua jab KAmaan dekhi apno K Hath main |
||
![]() |
@01awan01 | 19 December 11 |
Lafzoon Ki Abroo Ko Yoon Na Ganwaa Ghaalib Jo Manta Nhi Usay Kehna Fazool hy !! |
||
![]() |
@01awan01 | 19 December 11 |
tu wo zalim ha jo dil me reh ker b mera na ho saka GHALIB or dil wo kafir ha jo mujh me reh ker b tera ho geya |
||
![]() |
@01awan01 | 23 December 11 |
Wo Aaye Meri Qabar Pe Apne RaQeeb k Sath , GhaLib Kon Kehta Hai Muslmano Ko Jalaya Nahin Jata. |
||
![]() |
@sima77 | 26 December 11 |
Wow! Vry nyc brothr ,love it realy.
|
||
![]() |
@sima77 | 26 December 11 |
Ghalib Wo Din gaiy ab Ye Hamakat Kon Krta hai..?? Wo Kia Kehty hen Us Ko? Han Mohabbat Kon Krta hai..? |
||


