
![]() |
@01awan01 | |
As salam o alaikum ![]() |
||
386
Replies
12915
Views
0 Bookmarks
|
Page #: 1/20 |
![]() |
@01awan01 | 10 November 11 |
Geele Kaghaz ki tarah hai zindagi apni Koi likhta bhi nahi koi jalata bhi nahi Is qadar Akeele ho gay hain hum aaj kal Koi satata bhi nahi koi manata bhi nahi,,,, |
||
![]() |
@01awan01 | 10 November 11 |
Jab Teri Raah Meri Raah Se Milti Hi Nahi, Phir Mera Saath Nibhane Ki Zaroorat Kya Hai, Apni Masoom Tamannaon Ko Rehbar Na Bana, Khwaab Phir Khwaab Hain... khwabon Ki HaQeeQat kya hai Ye Nayi Raah Tujhe Raas Nahi Aayegi...!!!!! |
||
![]() |
@01awan01 | 10 November 11 |
Itanaa Maanuus Na Ho Khilvat-e-Gam se apanii Tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to Dar jaayegaa Tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge Aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa |
||
![]() |
@01awan01 | 10 November 11 |
agarche wo mujhe gardanta nahi lekin.... mere wujood se inkaar bhi nahi karta... ajab nahi k banata hai pul samandar par... ajab to ye hai....kabhi paar bhi nahi karta....!!! |
||
![]() |
@01awan01 | 10 November 11 |
Ratoon ko uth uth kar khuwabon ka tasawar karti thi Aankhon main khuwab sajaye Hone ka tasawur karti thi Neend k gahre jhonkoon main Chalne ka tasawor karti thi pat jhar k be mahni mousam main Pholon ka tasawor karti thi Woh kasi pagal larki thi !!! |
||
![]() |
@01awan01 | 10 November 11 |
din guzar gayaa aitabaar mein raat kaT gayii intazaar mein.... vo mazaa kahaaN vasl-e- yaar mein lutf jo milaa intazaar mein....!!!! |
||
![]() |
@01awan01 | 10 November 11 |
Jab kabhi wo hoga apni zaat me Tanha TO YAD AOUNGA Na chala Qadam se Qadam koi 7 TO YAD AOUNGA May uski aankhon ka ishara b samajh letA hon Na samajh saka koi dil ki bat ''TO YAD AOUNGA Din ka hr ik pal guzrega jb us pe kathin Or Tanha kate gi rat TO YAAD AOUNGA |
||
![]() |
@01awan01 | 10 November 11 |
Yun Bhi Hum Door Door Rehte Thay Yun Bhi To Dil Main Ek Kadorat Thii Tum Ne Rasman Bhula Diya Warna Is Takaluf Ki..... Kia Zarorat Thii....!!!! |
||
![]() |
@01awan01 | 10 November 11 |
koi ye kaise bataye k wo tanha kyun hai.. wo jo apna tha wo ab aur kisi ka kyun hai yehi dunia hai to phir aisi ye dunia kyun hai yehi hota hai to aakhir......yehi hota kyun hai??? |
||
![]() |
@01awan01 | 10 November 11 |
Guzar Gaye Hain Jo Khushbu-e-Raigaa'n Ki Tarah Wo Chund Roz Meri Zindagi Ka Hasil Thay Abb Unn Say Door Ka Bhi Waasta Nahi NASIR Wo Hum Nawa Jo Meray Ratt-Jagoo'n Mein Shamil Thay |
||
![]() |
@01awan01 | 10 November 11 |
tum baray log ho seedhay he guzr jaty ho warna kuch tang c galliyan b hein bazar k sath ek meri anaa ha , ek anaa kis ke ha?? ye kis nay dewaar bna di meri deewar k sath??? |
||
![]() |
@01awan01 | 10 November 11 |
Badla jo waqt gehri rafaqat badal gai suraj dhala to saey ki surat badal gai ek muddat tak main us ki zaroorat bana raha phir yun huwa keh us ki zaroorat badal gai |
||
![]() |
@01awan01 | 10 November 11 |
![]() |
@01awan01 | 15 November 11 |
Phool Khiltay Hain Baharon Ka Samaa Hota Hai Aisay Mausam Main Tou Pyaar Javaan Hota Hai Dil Ki Batoon Ko To Honton Say Nahin Kehtay Yeh Afsana To Nigahon Say Bayan Hota Hai |
||
![]() |
@01awan01 | 15 November 11 |
Tujh Hi Ko Apny Dil Main Basaya Aur Bsaya Kuch B Nai Jidhar Daikha To Hi Nazar Aya, Aur Nazar Aaya Kuch Bhe Nai Dunya Walon Nay Khamkhaw Badnaam Kar Diya Mujay Mein Nay Bus Tera Dil Churaya Aur Churaya Kuch Bhi Nahi |
||
![]() |
@sima77 | 16 November 11 |
hmmm..... Vry nyc bro
|
||
![]() |
@sima77 | 16 November 11 |
Palat kar aankh num karna humain hargiz nahi aata Gaey lamhon ka gham karna humain hargiz nahi aata Muhabbat ho to be had ho jo nafrat ho to bey payaan Koi bhi kaam k*m karna humain hargiz nahi aata.!! |
||
![]() |
@sima77 | 16 November 11 |
Jub Bi Milti Hai Mujhy Ajnabi Lagti Q Hai Zindagi Roz Naye Rang Badalti Q Hai Tujh Se Bichray Hain Tou Ab Kis Se Milati Hai Hamen Zindagi Dekhye Kya Rang Dkhati Hai Hamen ..! |
||
![]() |
@01awan01 | 16 November 11 |
nice ![]() |
||
![]() |
@01awan01 | 16 November 11 |
Deedar-e-sanam ko tarasta hon.. ma badal nahin par barasta hon.. veran dil ma khulne se sorat uskii.. rote rote achanak hi hansta hon.. chilla othon ya rahon Khamoosh!! Dono surat ma hi phansta hon.. ao safar karan shahr-e- sagar ka.. hr mor kahey ma wahin ka rasta hon!! |
||


