![]() |
@tanveer6 | |
soon uery soon TANVEER'S BEST URDU POETRY will be here |
||
48
Replies
8660
Views
0 Bookmarks
|
Page #: 1/3 |
![]() |
@tanveer6 | 7 December 12 |
Kion BeWafa Ka Qissa Chair Kar PochteY Ho HaaL-E-DIL Zinda Hun Kya Itna Kaafi Nahi Hai
|
||
![]() |
@tanveer6 | 7 December 12 |
HUM LUT CHUKEY HAIN LOG HUMAIN KYA LOOTEIN GEY. JO THA JAAN SE B PIYAARA WO TO AAJ KISI AUR KI JAAN HAI
|
||
![]() |
@tanveer6 | 7 December 12 |
Kuch istarah meri palkon ko apni palkon se mila ley
|
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
chhalak ke kam na ho aisii koii sharaab nahiin nigaah-e-nargis-e-r'anaa teraa javaab nahiin * zamiin jaag rahii hai ki inqalaab hai kal vo raat hai koii zarraa bhii mahv-e-Khvaab nahiin * zamiin us kii falak us kaa qaayanaat us kii kuchh aisaa ishq teraa Khaanamaa_Kharaab nahiin * jo tere dard se maharuum hai yahaan un ko Gam-e-jahaan bhii sunaa hai ki dastayaab nahiin * abhii kuchh aur ho insaan kaa lahuu paanii abhii hayaat ke chehare pe aab-o-taab nahiin * dikhaa to detii hai behatar hayaat ke sapane Kharaab ho ke bhii ye zindagii Kharaab nahiin. |
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
Teri Doli Uthay gi Meri Mayeeyat Uthy Gi. Phool Tuj Pay bi Houn Gay Phool Muj Pay bi Houn Gay. *Farq Sirf Itna Sa Hy* * Tu Saaj kay Gai Mujy Sajaya gaya. Tu bi Ghar ko Chali main bi Ghar ko Chala. Tera Ghar Tha Bara mera Ghar tha Choota. *Farq Sirf Itna Sa Hy* * Tu Uth kay gai Mujy Uthaya gaya. Saheliyan Teri bi thi Dost Meray bi thi. Mehfil Wahan bi lagi Loog yahan bi thy. *Farq Sirf Itna Sa Hy* * Un ka Hansna Wahan Tumhari Taraf orr rona yahan Meri taraf. Qazi Udher bi Tha Molvi Idher bi tha. Do Bool teray parhy Do Bool meray parhy. *Farq Sirf Itna Sa Hy* * Tera Nikah Parhaya gaya mera Janaza Garhaya gaya. Tujy Apnaya gaya mujy Dafnaya gaya. *Farq Sirf Itna Sa Hy* * |

diidah ashkbaar hai apnaa aur dil-e-be-qaraar hai apnaa * chashm-e-giryaaN se, chaak-e-daamaaN se haal sab aashkaar hai apnaa * haa-o-huu meN har ek khoyaa hai kaun yaaN Gham-gusaar hai apnaa * sirf ek vo haiN sab ke muKhtaar un pe kyaa iKhtiyaar hai apnaa * bazm se un ke jab se niklaa hai dil Gharib-ud-dayaar hai apnaa * hai yahii rasm-e-maikadaa shaayad nashaa un kaa, Khumaar hai apnaa * kyaa Ghalat sochte haiN (Z...G) sher kahnaa shaar hai apnaa.. * |

main to aavaaraa shaayar huun merii kyaa vaqa'at ek do giit pareshaan se gaa letaa huun * gahe gahe kisii naakaam sharaabii kii tarah ek do zahar ke saaGar bhii charhaa letaa huun * tuu ke ik vaadii-e-gul_rang kii shah_zaadii hai ek bekaar se insaan ke liye vaqf na ho * tere Khvaabon ke jaziiron mein barii raunaq hai ek anjaan se tuufaan ke liye vaqf na ho.. * |
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
YE ISHQ nahi aasaan mere humnawa*YE sukh deta hai har per marney k bad
|
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
Jb b kisi ne sacha piyar kya wo barbad howa***Ishq karney k bad aashiq abaad rehney kaabil nahi rehta
|
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
ALL.IS.WELL.YES*NOT**
|
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
kitanii pii kaise kaTii raat mujhe hosh nahiin raat ke saath gaii baat mujhe hosh nahiin * mujh ko ye bhii nahiin maaluum ki jaanaa hai kahaan thaam le koii meraa haath mujhe hosh nahiin * aansuon aur sharaabon mein guzar hai ab to main ne kab dekhii thii barasaat mujhe hosh nahiin * jaane kyaa TuuTaa hai paimaanaa ki dil hai meraa bikhare bikhare hain Khayaalaat mujhe hosh nahiin. |
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
phir vahii maange hue lamhe, phir vahii jaam-e-sharaab phir vahii taariik raaton mein Khayaal-e-maah_taab * phir vahii taaron kii peshaanii pe rang-e-laazavaal phir vahii bhuulii huii baaton kaa dhundhalaa saa Khayaal * phir vo aankhen bhiigii bhiigii daaman-e-shab mein udaas phir vo ummiidon ke madafan zindagii ke aas-paas * phir vahii fardaa kii baaten phir vahii miiThe saraab phir vahii bedaar aankhen phir vahii bedaar Khvaab * phir vahii vaaraftagii tanhaaii afasaanon kaa khel phir vahii ruKhsaar vo aaGosh vo zulf-e-siyaah * phir vahii shahar-e-tamannaa phir vahii taariik raah * zindagii kii bebasii uff vaqt ke taariik jaal * dard bhii chhinane lagaa ummiid bhii chhinane lagii mujh se merii aarazuu-e-diid bhii chhinane lagii * phir vahii taariik maazii phir vahii bekaif haal phir vahii besoz lamhen phir vahii jaam-e-sharaab * phir vahii taariik raaton mein Khayaal-e-maah_taab.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
Teri Doli Uthay gi Meri Mayeeyat Uthy Gi. Phool Tuj Pay bi Houn Gay Phool Muj Pay bi Houn Gay. *Farq Sirf Itna Sa Hy* * Tu Saaj kay Gai Mujy Sajaya gaya. Tu bi Ghar ko Chali main bi Ghar ko Chala. Tera Ghar Tha Bara mera Ghar tha Choota. *Farq Sirf Itna Sa Hy* * Tu Uth kay gai Mujy Uthaya gaya. Saheliyan Teri bi thi Dost Meray bi thi. Mehfil Wahan bi lagi Loog yahan bi thy. *Farq Sirf Itna Sa Hy* * Un ka Hansna Wahan Tumhari Taraf orr rona yahan Meri taraf. Qazi Udher bi Tha Molvi Idher bi tha. Do Bool teray parhy Do Bool meray parhy. *Farq Sirf Itna Sa Hy* * Tera Nikah Parhaya gaya mera Janaza Garhaya gaya. Tujy Apnaya gaya mujy Dafnaya gaya. *Farq Sirf Itna Sa Hy* * |
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
phir vahii maange hue lamhe, phir vahii jaam-e-sharaab phir vahii taariik raaton mein Khayaal-e-maah_taab * phir vahii taaron kii peshaanii pe rang-e-laazavaal phir vahii bhuulii huii baaton kaa dhundhalaa saa Khayaal * phir vo aankhen bhiigii bhiigii daaman-e-shab mein udaas phir vo ummiidon ke madafan zindagii ke aas-paas * phir vahii fardaa kii baaten phir vahii miiThe saraab phir vahii bedaar aankhen phir vahii bedaar Khvaab * phir vahii vaaraftagii tanhaaii afasaanon kaa khel phir vahii ruKhsaar vo aaGosh vo zulf-e-siyaah * phir vahii shahar-e-tamannaa phir vahii taariik raah * zindagii kii bebasii uff vaqt ke taariik jaal * dard bhii chhinane lagaa ummiid bhii chhinane lagii mujh se merii aarazuu-e-diid bhii chhinane lagii * phir vahii taariik maazii phir vahii bekaif haal phir vahii besoz lamhen phir vahii jaam-e-sharaab * phir vahii taariik raaton mein Khayaal-e-maah_taab.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
kabhii to aasmaan se chaand utare jaam ho jaaye tumhaare naam kii ik Khuubasuurat shaam ho jaaye * hamaaraa dil savere kaa sunaharaa jaam ho jaaye charaaGon kii tarah aankhen jalen jab shaam ho jaaye * ajab haalaat the yuun dil kaa saudaa ho gayaa aakhir mohabaat kii havelii jis tarah niilaam ho jaaye * samandar ke safar mein is tarah aavaaz do hamako havaayen tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jaaye * main Khud bhii ehatiyaatan us galii se kam guzarataa huun, koii maasuum kyon mere liye badanaam ho jaaye * mujhe maaluum hai us kaa Thikaana phir kahaan hogaa parindaa aasmaan chhuune men jab naakaam ho jaaye * ujaale apanii yaadon ke hamaare saath rahane do na jaane kis galii mein zindagii kii shaam ho jaaye.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
nazar nazar se milaakar sharaab piite hain ham unako paas biThaakar sharaab piite hain * isii liye to andheraa hai maikade mein bahut yahaan gharon ko jalaakar sharaab piite hain * hamen tumhaare sivaa kuchh nazar nahiin aataa tumhen nazar mein sajaakar sharaab piite hain * unhiin ke hisse mein aatii hai pyaas hii aksar jo duusaron ko pilaakar sharaab piite hain .. |
||
![]() |
@tanveer6 | 8 December 12 |
jalataa huun hijr-e-shaahid-o-yaad-e-sharaab mein shauq-e-savaab ne mujhe Daalaa azaab mein * kahate hain tum ko hosh nahiin iztaraab mein saare gile tamaam hu_e ek javaab mein * phailii shamiim-e-yaar mere ashk-e-surKh se dil ko GAzab fishaar huaa pech-o-taab mein * rahate hain jamaa kuuchaa-e-jaanaan mein Khaas-o-aam aabaad ek ghar hai jahaan-e-Kharaab mein * badanaam mere giriyaa-e-rusavaa se ho chuke ab uzr kyaa rahaa nigaah-e-behijaab mein * matalab kii justajuu ne ye kyaa haal kar diyaa hasarat bhii nahiin dil-e-naakaamayaab mein * naakaamiyon se kaam rahaa umr bhar hamen pirii mein yaas hai jo havas thii shabaab mein * kyaa jalve yaaad aaye ke apanii Khabar nahiin be-baadaa mast huun main shab-e-maahataab mein * paiham sajuud paa-e-sanam par dam-e-vidaa Momin Khudaa ko bhuul gaye iztaraab mein. * |
||