
![]() |
@tanveer6 | |
Aansoo means Tears, So this is another unhappy form of Urdu poetry. Aansoo shayari is loved by people who are depressed and are in tears. Aansoo shayari is a popular topic in urdu poetry. |
||
31
Replies
1901
Views
0 Bookmarks
|
Page #: 1/2 |
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Na aankh hai nam na chehre pay kurb ke aasaar, Main is saleeqey se roya hoon aaj pehli baar.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Bethe bethe hi ageya na janey kya kheyaal, Pehron lipat kar roye dil-e-nadaan se hum.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Tumhari aankh se behtey yeh ansoo, Mujhe andar se sehraa kar rahe hain.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Gham main aansu na behna barri baat hai, Dil ka kaabu main rehna barri baat hai.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Talkh itni thi ke peenay se zubaan jalti thi, Zindagi aankh ke paani mein mila li mene.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Mere haal pe yeh hairat kesi, dard ka tanha mausam main, Pathar bhi ro parttey hain, insaan to phir insaan huaa.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Main to uss waqat se darta hoon ke woh puch na ley, Yeh agar zabt ka aansuu hai to tapkaa kaisey ?? |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Paaney se khoney ka mazaa aur hai, Band aankhon se roney ka mazaa aur hai.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Guzray lamhaat ki yaadon ne rulaaya us ko, Chaand ko dekhne wo shakhs jo chhat par nikla.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Kaha tha na usey mat zabt karna, Woh aansuu ab samandar ho geya naa.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Woh humain jab tak nazar aata raha taktey rahe, Geeli aankhon, ukhrrey lafzon se duaa dete huye.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Awaaz main thehraao tha aankhon main nami thi, Aur keh rahe they maine sab kuch bhulaa diya.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Sabab roney ka woh poochain to itna kehna Qasid, Mujhe hansna nahin ata jahan par tum nahin hote.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Ghar ki taameer chahey jesi ho, Uss main roney ki kuch jaghaa rakhna.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Kitni besabar zaroorat thi ke us ke ghar ke log, Bech aye hain shajjar kaat ke phall se pehle.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Sach kahoon apni mohabbat pe nidaamat si hui, Jab bhi dekhi teri utri hui surat meine.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Saif yeh din to qayamat ki tarah guzra hai, Jane kya baat thi, har baat pe rona aaya.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
am Khatey Hain, Kam Sotey Hain, Bohat Zeyada Hum Rotey Hain |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Zikr chairr dete hain jab gaye zamanon ka, Woh bhi roney lagte hain, hum bhi roney lagte hain.. |
||
![]() |
@tanveer6 | 31 January 13 |
Doobte chand pe royi hain hazaron aankhain, Main to roya bhi nahi, tum ko hansi kyun aayi? |
||


