
![]() |
@zobi1 | |
Faiz Ahmad Faiz Poetry Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na Thay Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa Kiya Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya Na Thay Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke Ham Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na Thay Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa Na Thay Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna Faiz Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay |
||
46
Replies
1744
Views
0 Bookmarks
|
Page #: 1/3 |
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai ? Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia Faiz Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Faiz Ahmad Faiz Poetry Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge Jo Dil Pe Guzarti Hai, Raqam Kartay Rahain Ge Asbaab-e-Gham-e-Ishq Behem Kartay Rahain Ge Veeraani-e-Dauraan Pe Qaram Kartay Rahain Ge Haan Talkhi-e-Ayyaam Abhee Aur Barhay Gi Haan Ahl-e-Sitam, Mashq-e-Sitam Kartay Rahain Ge Manzoor Ye Talkhi, Ye Sitam Ham Ko Ganwaara Dam Hai Tou Madawaa-e-Alam Kartay Rahain Ge Mey Khaana Salaamat Hai, Tou Ham Surkhi Mey Se Tazeen-e-Dar-o-Baam-e-Haram Kartay Rahain Ge Baaqi Hai Lahuu Dil Mein Tou Har Ashq Se Paida Rung-e-Lab-o-Rukhsaar-e-Sanam Kartay Rahain Ge Ik Tarz-e-Taghaaful Hai So Wo Un Ko Mubaarak Ik Arz-e-Tamanna Hai So Ham Kartay Rahain Ge |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Pindaar Ke Khogar Ko Naqaam Bhi Dekho Ge? Aaghaaz Se Waaqif Ho Anjaam Bhi Dekho Ge? Rungini-o-Duniya Se Mayoos Sa Ho Jana Dukhta Howa Dil Le Kar Tanhaayi Mein Kho Jaana Tarsi Howi Nazron Ko Hasrat Se Jhuka Lena Faryaad Ke Tukron Ko Aahon Mein Chhupa Lena Raaton Ki Khamooshi Mein Chhup Kar Kubhi Ro Lena Majboor Jawaani Ke Malboos Ko Dho Lena Jazbaat Ki Wusat Ko Sajdon Se Basaa Lena Bhooli Howi Yaadon Ko Seenay Se Laga Lena! |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Phir nazar mein phool mehke, Dil mein phir shamain jalin, Phir tassawur ne liya uss bazmm mein jaane ka naam.. |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Bara hai dard ka rishta, Yeh dil ghareeb sahi, Tumhare naam pe aayen ge ghamgusaar chale |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Dono Jahan Teri Mohabbat Main Haar K Wo Ja Raha Hai Koi Shab-e-Gham Guzaar K Viraan Hai Maikada Khum-o-Sagar Udaas Hai Tum Kya Gaye K Rooth Gaye Din Bahaar K Ik Fursat-e-Gunah Mili, Wo Bhi Chaar Din Dekhe Hain Ham Ne Hausale Parvar-Digaar K Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya Tujh Se Bhi Dil Fareb Hain Gham Rozgaar K Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj Faiz Mat Puch Val-Vale Dil-e-Na-Kardahkaar K |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Hum Ke Thehray Ajnabi Itni Madaraton Ke Baad Phir Banain Ge Aashna Kitni Mulaqaaton Ke Baad ? Kub Nazar Mein Aaye Gi Be-Daagh Sabzay Ki Bahaar Khoon Ke Dhabbay Dhulain Ge Kitni Barsaaton Ke Baad ? Thay Bohat Be-Dard Lamhay Khatam-e-Dard-e-Aashiqui Ke Theen Bohat Be-Meher Subhain Meherbaan Raaton Ke Baad Dil Tou Chaaha Per Shikast-e-Dil Ne Mohlat Hee Na Di Kuch Gilay Shikway Bhi Kar Laitay Manajaaton Ke Baad Un Se Jo Kehnay Gaye Thay Faiz Jaan Sadqa Kye An Kahee Hee Reh Gayi Wo Baat Sab Baaton Ke Baad |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain Qareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain Abhi Se Dil-O-Jaan Sar-E-Raah Rakh Do Ke Lutne Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain Tapakne Lagi Un Nigaahon Se Masti Nigahain Churaane Ke Din Aa Rahe Hain Saba Phir Hamain Puuchti Phir Rahi Hai Chaman Ko Sajaane Ke Din Aa Rahe Hain Chalo Faiz Phir Se Kahin Dil Lagain Suna Hai Thikaane Ke Din Aa Rahe Hain |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se Dasht-e-umeed mein gardaan hain dawaney kab se Der se ankh mein utra nahin askhon ka azaab Apne zimey hain tera farz najaney kab se Kis tarah paak ho be-arzu lamhon ka azaab Dard aya nahin darbaar sjanaey kab se Sar Karo saaz ke cherrein koi dil sooz ghazal Dhoondta hai dil-e-shoreeda bahaney kab se Pur karo jaam ke shayed ho isi lahta rawaan Rok rakha hai jo ik teer kazzaa ne kab se Faiz phir kab kisi maktal mein karain ge abad Lab pe veeran hain shaheedon ke fasaney kab se |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Dil mein ab yun tere bhooley howey gham ate hain Jese bichre huye kaabey mein sanam ate hain Ek ek kar ke huye jate hain diye tarey roshan Meri manzil ki taraf tere kadam ate hain Raqs-e-meh tez karo, Saaz ki leh tez karo Suye meh-khana safeeran-e-haram ate hain Kuch humain tou nahin ehsan uthaney ka dimagh Woh tou jab ate hain mayel be-karam ate hain Aur kuch der na guzrey shab-e-furkat se kaho Dil bhi kam dukhta hai, woh yaad bhi kam ate hain |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
aiye hath uthayen ham bhi ham jinhen rasm-e-dua yad nahin ham jinhen soz-e-mohabbat k siwa koi but, koi khuda yad nahin aiye arz guzaren ki nigar-e-hasti zahar-e-imaroz main shirini-e-fardan bhar de wo jinhen tabe garanbari-e-ayyam nahin unki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de jinki ankhon ko rukh-e-subh ka yara bhi nahin unki raton main koi shama munawwar kar de jin k qadamon ko kisi rah ka sahara bhi nahin unki nazron pe koi rah ujagar kar de jinka din pairavi-e-kazbo-riya hai unko himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiq mile jink sar muntazir-e-teg-e-jafa hain unko dast-e-qatil ko jhatak dene ki taufiq mile ishq ka sarr-e-nihan jan-tapan hai jis se aj iqrar karen aur tapish mit jaye harf-e-haq dil main khatakta hai jo kante ki tarah aj izhar karen or khalish mit jaye |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Ahmad Nadeem Qasmi Poetry Mujh se kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya, Dil tujhe dekh ke dharrka to khudaa yaad aaya, Mere dil pe to hai ab tak tere gham ka saaya, Log kehte hain neya daur naye dukh laya, Mera meyaar-e-wafaa hi meri majboori hai, Rukh badal kar bhi tujhe apne muqaabil paya, Charagar aaj sitaron ki kasam kha ke bata, Kis ne insaan ko tabasum ke liye tarrpaya, Log hanstey hain to is soch main kho jata hon, Mauj-e-sailaab ne phir kis ka gharaunda dhaaya, Uss ke andar koi fankaar chupaa betha hai, Jaantey boojhtey jis shakhs ne dhoka khaya. |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Aayina dekh ke, aik aur tamasha dekho, Apne paikar mein mera hussan-e-tamana dekho, Tum ko khush ayi na shayed meri palkon ki nami, Dil mein utray ho to aao mera sehraa dekho, Meri peyason, meri aason, meri ankhon mein kabhi, Mere ban, mere gulistaan, mere daryaa dekho, Naam le ker mera, tum us ko pukaaro to sahi, Is bhare sheher mein jis shakhs ko tanha dekho, Main mohabbat ke safar mein nahin bhatkoon ga kabhi, Apne qadmon se chamakta hua rasta dekho, Main agar yaad na aaon, to chaman mein ja kar, Shaakh ke hath se girta hua pataa dekho.. |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Jo buraayi mere naam se mansoob huyi, Dosto! kitna bura tha mera acha hona.. |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Waqt ik pal ko jo ruk jaye to ehsaan is ka, Chand yaadain mere dil mein se guzarna chahain.. |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese, Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoye kese, Zehen chhalni jo kiya hai, to yeh majboori hai, Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kese, Hum ne maana ke bohat dair hai hashar aney tak, Chaar janib teri aahat ho to soyen kese, Kitni hasrat thi, tujhe pass bitha ker rotay, Ab yeh yeh mushkil hai, tere samne roye kese |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Itna Dushwar Nahi Maut ko Taaley Rakhna Sar Jo kat Jaaye To Dastaar Sambhale Rakhna, Chot khana, Magar Is Tarah K Lodhey Uthey Zulmat Gham Isi Tarey se Ujahely Rakhna Apne Ahbaab ko Seeney Se Lagaye Phirna Aik Khanjar Bhi Jaib Mein Daley Rakhna, Meri Pehchan Mere Peer-e-Hain Zakhm Se Hai Ab Bhi Aezaaz sahi Shaal Do Shaley Rakhna, Dasht Ehsaas Ki Hiddat Bhi Kayamat Hai Nadeem Kuch Zaroori To Nahi Paaon Mein Chaley Rakhna |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon Mein Tujh Ko Kho Ke, Khuda Ki Bhi Justuju Na Karoon Mein Intezaar-e-Tuluu-e-Seher Mein Jeeta Hun Mein Apna Chaak-e-Girebaan Kubhi Raffu Na Karoon TU Sirf Nahi Hai, Waraa-e- Bhi Hai Mein Tujh Ko Paa Ke Bhi Kiun Teri Aarzoo Na Karoon ? Gayuur Hun Ke Ijaara Pasand Hun, Kia Hun ? Mein Tujhe Apnay Khuda Ke Bhi Ruu-Baruu Na Karoon Ye Mashwaray Tou Mere Tark-e-Shair Ke Hain Nadeem Ke Jab Bhi Shair Kahoon, Dil Lahoo Lahoo Na Karoon! |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese, Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoyen kese, Zehen chalni jo kiya hai, To yeh majboori hai, Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kese, Hum ne maana ke bohat der hai hashar aney tak, Chaar janib teri aahat ho to soyen kese, Kitni hasrat thi, Tujhe pass bitha ker rote, Ab yeh yeh mushkil hai, Tere samne royen kese |
||
![]() |
@zobi1 | 14 February 13 |
Na shaaor mein jawani, na khayal mein rawani Koi sun ke kya karega meri dukh bhari kahani Na zawaal nagehani, Na arooj jaawdani Meri zindagi ka unwan, Fakt aik lafz Faani Yeh shikast ka jahanum kahin phir bharak na uthey Mere ishq ke khandar par, na karain woh gulfishani Na gumaan yaar in per, Na jamal e yaar in mein Tere kokab o kamar se na behel saki jawani Mujhe aur zindagi de, ke hai dastaan adhoori Meri maut se na hogi, mere gham ki tarjumani |
||


